Bitcoin Forum
June 23, 2024, 03:55:54 PM *
News: Voting for pizza day contest
 
  Home Help Search Login Register More  
  Show Posts
Pages: « 1 ... 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48 49 50 51 52 53 54 55 56 57 58 59 60 61 62 63 64 65 66 67 68 69 70 71 72 73 74 75 76 77 78 79 80 81 82 83 84 85 86 [87] 88 89 90 91 92 »
1721  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 28, 2023, 08:06:36 AM

یہ ایک لیٹیسٹ نقشہ نظر سے گزرا سوچا شئیر کر دو۔۔۔ Tongue

اللحمدوللہ دو چار ہی ملک لال ہیں جن میں اپنی سرزمین پاک بھی شامل ہے۔۔۔ مجھے لگا تھا شروع میں شاید عمران خان کی گورنمنٹ ڈیجیٹل پاکستان کے لیئے کچھ کرے مگر عمران خان نے تو الٹا پب جی اور آنالائن بہت سے معاشی ذرائعے بند کروا دیے تھے۔

اصل حکومت تو کوئی اور کرتا ہے۔۔۔ اب اس کو میں فوج تو نہیں کہوں گا کیوں کے سات لاکھ کی فوج میں چھ لاکھ نناوے ہزار بچاروں کو تو یہ بھی نہیں ہتہ ہوتا کہ کل انکی ڈیوٹی کہاں ہے۔ وہ بچارے کیا پاکستان چلائیں گے۔

اس لیے اسکو اسٹیبلیشمنٹ کہنا مناسب اس وہ سب شامل ہیں جو حکومتیں بناتے اور گراتے ہیں۔

مگر عوام سے انکا کوئی واسطہ نہیں۔۔۔




100% Agreed Shahzad Sir apki bat bilkul Right han humary mulak ma 75 saalo sy Generals ny hukmet ki han js ka koi interest Pakistan ko grow krny ma ni han Jo ba Cheif retire hota mulak ka bahir croro ki property hoti oski bhair ka mulko ma jb oski investment sari dollars ma han to osy dollar k up hony mulak ka taubha hony sy koi interesy ni han or hum ny inko Hero banaiya hva tha jabkh ya to austeen ka sanaap niklay wo to agr Imran khan as tirah nikaly na jaty to hummy kabi inki haqeqt pta ni chalni the ab inki 75 saala hukamet jati hvi nazr ay rahi han to osy or oski party pti ko khtm karny ka lay koshish kar rahy han Baki dinya Dogital world ki tarf teezi sy bhar rahi han or humey han Election hu gy ya ni yahi masla chal raha hu ajj humra haal Bangladesh sy ba bhter han inka 1 takka be 2.48 rs ka hu gya han koi haal nu han mulak sbi tarf mausooi he Allah pak he rahmet kray kary hum sb pr or Is pyary mulak Pakistan par Ameen
1722  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 27, 2023, 10:46:46 AM


Hajj Mubarak sb musalmanon ko or Specialy all Community members ko Allah pak ham sb ko apny daar ki hazari najeeb farmy Ameen Is mubarak mauqe ka apko bhut saari barkatein, maafi aur rohani roshni se nawazay. Or jo haj kr ahu ink Hajj qubool ho aur aap ghar wapas ek paak dil aur ruh ke saath ayein. Hajj sukoon aur khuda se gehri talluq ke saath skoon wli abadt han. Allah pak apko sehat quwwat aur zindagi ke har lamhe mein hidayat se nawazay🕋

لَبَّيْكَ اللَّهُمَّ لَبَّيْكَ، لَبَّيْكَ لَا شَرِيكَ لَكَ لَبَّيْكَ، إِنَّ الْحَمْدَ وَالنِّعْمَةَ لَكَ وَالْمُلْكَ، لَا شَرَكَ


میں حاضر ہوں، اے اللہ میں حاضر ہوں، تیرا کوئی شریک نہیں۔ میں حاضر ہوں۔ بے شک حمد و ثناء تیری ہی ہے۔ بادشاہی بھی تیری ہے۔ تیرا کوئی شریک نہیں۔
Source

1723  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 26, 2023, 07:44:31 PM
Agr AP Mai sy Kisi ny Director General ISPR ki press conference sunee ho abii, toh USS Mai woh sahib kehh rahy haa ky unhy pahly sy kuch maloom ta ky PTI ny 9 march ky thoor poor ky liya Kya Kya planning banai hai. But itny afsoos ki BAAT haa ky itny strong idary ho ky bhi sabb jaanty hi bhi ussy rook na saky, ya jaan booj ky PTI ky worker ko oksaa ky unhy mooka farahm kiyaa ky AP ayai aur aisaa Kuch kary without any trouble unko allow Kiya iss Sab ky liyaa.
Waisy ik bacha bhi yaha Samaj jata haa ky haqeeqat Kya ha, but unfortunately yeh hamara Pakistan thoore haa yeh toh unka haa hum toh yaha rent pa rehh rahy haa.
Wasiy yaar Kuch bhi ho Khan toh ayai ga dobara aur sabb ki bajaa ky Jai ga agr assassinat nahi howa Tabb.....
G bhai mne dakhi press conference jab be journalist ask this question....ispr k shattat’y taat ho gaye they out of syllabus question sun kr to mje meri university ki first presentation yaad agai 😂 Dgispr ik he bat kr rhay thy 9 may 9 kart or sry media channel ajj kal sb sy phly swal banta han rangers ka Kia kam tha khan ku pakerne ka  DG Ispr sy ab Sirf baatein karwalo or Kuch bh kaam inke Bs ka nahi raha
Modi ny awe ni bola pakistan apni mot ap mer jay ga
KHAN SHB ki hakoomat Hoti tu kisi ki itni jurat nhi thi or Army Kya jwab dy gi usy hm pr zulm krny ay fursat mily gi tu hi Kuch kry gi na
baki press conference kro 9 may say bari ho jao or istahkama Pakistan party main shamil ho jao kuch to prosperity rakhain😏 Dramay bazz fouji
1724  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 26, 2023, 09:33:52 AM
MBBS Gold Medalist Still Remain Jobless 1% Merit and 99% Safarish
Assalamalikum Kuch arsay pehle social media mein aik news bohat viral hui thi. Aik nojawan Muhammad Waleed Malik ne MBBS mein 29 gold medals hasil kiye. Har koi is nojawan par rashk kar raha tha aur usko different platforms par bulaya ja raha tha aur uska interview liya ja raha tha.
Aaj subah mein ne ye post parhi aur mein shocked raha gaya aur foran mere zehan mein aya How is this possible? Aisa kaise ho sakta hai ke itne eligible candidates ko bhi jobs dhondne mein mushkil aa rahi hai


Source

Maine confirm karne ke liye unke social media account ko chk kiya aur waqai uo apni struggles ko wahan discuss kiya hua tha aur na sirf yahi Fiverr ki profile ka link bhi attach kiya hua tha jahan pe woh apni services de rahe hain. Yahan alfaz khatam hain. Yahan banda ab kya afsos kare aur kia system ko badalne ki koshish kare? Mere university ke juniors mere paas aate hain guidance ke liye ke ab degree hamari khatam hone wali hai hum ab kahan apply karain? Aur mein chup ho jata hoon kyunke yha boht sary studnets han university ka mein unke khwab nahin torna chahta. Behad afsos...han wasy asy nazam par
1725  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 25, 2023, 11:19:22 AM
WhatsApp Enhances Video Call Features with Screen Sharing and Recording
Internet ki speed tu ajj kal bohat bether hy agar app fiber use kertay hein tu aur ais liey i guess this will be a good feature. Meray khayal c its high time k whatsapp ko new feature lanay chayee kion k there are other services jo whatsapp c behtar video calling faclities provide kerti hien and in order to remain on top, whatsapp k tezi c enhancements kerni pertain gi.
G bhai Internet ki Speed matter krti han Agr Web WhatsApp Use krni han Pc or Laptop par Fiber internet ki Service waqia han biht lawjab hoti han baki ya whatapp ka Feature boht acha hu ga Zoom or meetings ka lay buri khabr han is ma in app ki tarffic down hu jaye jab whatapp ya completely Roll our kary ga or baki jo be Company apny apko Update ni krti waqat or loog bhoul jaty yan Example Nokia Company ki he dakh lay is waqat ma badsha hoti the Baka Ya meta ki compaign whatapp wegra update krti rahti is lay Top pr han

mai to ab wesy kafi shrminda ho gya hoon ky kasy 1 ky baad 1 cases bnty ja rhy hain, just for money! Yeh baat to mai smjta hoon ky paisy zaroori hain but jo baat mai smjana chahta hoon ky new log jo paisy kamany lgty hain in ky dilo my pta nhi konsa khiyal ata hai ky do numbri kr ky zayada paisa kamaya jay,

G bhai muje kaafi afsos k ap sharminda hogae hai q k ap ki misal tho Pakistan thread mai baap ki tarah hai k jab koi ghalti kare tho log baap ko thane dethe hai.etna jaldee apne ache demagh se apne mutabiq na socha kare. mai ne apna saari detail share bee ki the magar ap per bee kuch ajeeb alfaz use kar rahe hai. lalach ka thana b apko hee mubarak ho q k 70 post tho ap ne bnae hai jo sab se ziada the magar chore us topic ko , mai usko nhe cheroga.
Bhai boht achi soch the apki mnay sra case read kiya apka bs osny ghalti ki or saza apko mili lakin baki kasi ko be asi bat ni krni chyee ghalti ks sy ni hoti koi farshta han kia? Ghalti insano sy he hoti han baki Allah pak apko is Naki ka silla zror dy gy parshan ni hu apka koi qusor ni han is sb maa Allah Pak apki mushkil asan kary baki Qudrat ka hr fasila bhter he hota hu skta isma koi bhteri hu jo waqti toor or to ni smaj ayy gee but Inshallah Allah pak khair kary gy. Hm sb apky sath han. Be Brave Man
1726  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 23, 2023, 05:55:38 PM
 Bitcoin broke the $31,000 barrier
Assalamalikum achi khabr Bitcoin ny 31,000$ ki Resistance ko toor diya han bull market ka start hu chuka han mary khyal sy jsay haal hi mein regulatory actions sy azadi milnay aur institution kay interest mein izafa honay ki wajah se hasil kiya hai. Last kuch asy sy Bitcoin ne March 16 se ghoomte rehne ki muddat ke baad yeh range mein tha keh $25k se $30k tak trade ho raha tha. Abi akhri 4 ghanton mein hui liquidation volumes mein Bitcoin Ethereum aur Bitcoin Cash ka mila kar $72.20 million ka hissa tha.


Source

Baki BlackRock jaisay idaray kay application dainay aur EDX Markets institutional crypto exchange ki shuruat ke saath Bitcoin ki qeemat mein izafa hua hai. Jabke SEC ke Binance aur Coinbase ke khilaaf chalanay wali muqadmat ki wajah se cryptocurrency market par asar parha lekin Bitcoin ne apni mazbooti dikhi hai baki Up down market behanve krti he han ya nahe kh Up he jaye ge.

1727  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 23, 2023, 01:26:09 AM
 bohat afsosnak khabar hai its confirmed Now. AllahPak Pakistani Dawood family ke ruh ko maghfirat farmaye Ameen.
 Mary khyal sy Ab tak khela gaya sab se mehnga khalel han Lapta hone wali Titanic abdoz ko 2010 se Logitech gaming controller ne control kiya tha. 😬
 Titan lapta abdoz ne 5 logon se $250,000 pr person charge kiya, lekin is ke steering mechanism ke liye us ke paas bohat hi ghair mamooli intikhab tha. Qkh Rawayati control system ke bajaye tajrubi jahaz ne ek gaming controller istemaal kiya jis ki qeemat sirf $29.99 hai. 2010 se Logitech F710 wireless PC game controller ko abdoz par tashreef le jane ke liye istemaal kiya gaya tha.

Lekin kahani abhi mukammal nahi hui Is ke upperi hisse k abdoz mein darwazon ke bajaye panel bolt kiye gaye thay or controller ship ke liye koi hifazati cable nahi thi aur koi tracking system maujood nahi tha. Dubnay ke 1 minute aur 15 second baad us ka rabita munqata ho gaya. Yeh AI nahi hai jis se hamein darna chahiye qkh yeh hamari hamaqat hai. Ho sakta hai ke yeh nayi film ki mansooba bandi ho. Allah bhter janat han


Source

Ma yaqeen sy kh sakta Agar Titan submarine mein ameer aur crorepati abhi zinda hain toh woh apni bank accounts ke har paise ko badalne ke liye hum aur aap ke saath jagah replace ke liye tayyar honge. Woh apni zindagi ke liye dua kar rahe hoty kh wapas zameen par chaly jaye

Yahi zindagi ki qeemat hai. Is ki qadar karein. Is ke liye shukr guzaar rahen Allah Pak ka. Apni zindagi ko behtar banayen jab tak hm sb ka pss waqt hai or Allah Pak ka shukr ada krty rahy

Is abdoz mein woh log maujood hain jo arboon aur kharboon ke malik hain jinhon ne apni marzi se croreon rupay de kar apne aap ko samandar ki lehron ke hawale jasy dawood family ka beta pr baap kiya phir unka zameen walon se rabita munqata ho gaya phir dunya bhar ki Super Power ne unko is takleef se nijat dilane ke liye apni tamam taaqatain koshishen laga di jo nakam hoti hui dikhai di. Is abdoz mein sawar logon ko unka arboon kharboon ka malik hona kisi kaam na aya.

Beshak Allah Pak ne sach hi farmaya hai, "Agar tum mazboot qalion mein bhi ho gaye toh phir bhi maut tumko aa jayegi.
Akhar wo kon si zat hai jis ke samne har taqatwar zero hai Woh hum sab ka malik, Khaliq Haqiqi, Lasharik Allah Tala ki hasti hai.
Allah pak hummry maaf kardy ys sabiq han is waiqa ma last ma ik shar zahen ma ay rha
قدرت کا قانون نرالا دیکھا ،
کوئی روٹی نہ ہونے پر ڈوب گیا
کوئی روٹی زیادہ ہونے پر ڈوب گیا
،
1728  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 22, 2023, 04:48:05 PM
Mujhe un qeemti janoon ka dukh hai magar paiso ka aisa ziaya kisano ki khoon se nikal kar yeh paisa ikatha kiya jata hai, phir aise karnamon pe uraya jata hai.

Baat app ki thiek hy, but jis kay pass 15 crore rupay hien sirf titanic dekhnay k liey tu app sumjhee saktay ho k they must have 200+ crore ya aus c bhi zada kion k insaan ki fitrart hy k wo phelay bohat a paisa save krtha hy aur phir aus save paisay mein c thora sa spent kerta hy on entertainment.

Sulaiman Dawood, jis ki age sirf 19 saal hy, aus ny dunyia mein bohat c chezien aur places dekhi hon gi aur ab wo aun few logooon mein c hoga jis ny titanic ko live dekha hoga.
Bhai apki Theak han but 2 qomi nazariya han... Amirzaday samandar mein sair karne gaye gum gaye (Allah behfazat rakhe) Sara media town town 350 gareeb doob kar mar gaye. Chalo khair ae

Maut toh barhaq hai Magar maut ki jagah par puhnchne ke liye 2lac 50 hazaar dollar kharch kiye jayenge yeh nayi kahaani hai. Woh bhi ek doobey hue jahaz ke malbey ko dekhne ke liye? Magar baat phir wahi hai Maut toh wahi likhi gayi thi Puhnchna toh wahi tha. Allah tala Dawood family ke ruh ko maghfirat farmaaye Ameen

Banany wale ko agar yaqeen na hota apni ijaad par toh woh kabhi na safar karta. 2 Pakistani bhi un 5 logon mein shamil hain jin ki maut ka baqada ilaan kardia gaya hai. Allah hamara hami o nasir ho Aur naghani maut aur afaat se hifazat farmaaye Ameen Summa Ameen.

Mry khayl ma hadse ke zimmedar company ko marhomon ke qareebi rishtedaron ko badi raqam ki tawwun di jaani chahiye.
Kaash Shehzada Dawood ki jagah Nawaz Sharif iss abdoz mein chale jaate beshak yeh 15 crore Pakistan ke khazane se jama karte hum
1729  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 22, 2023, 09:41:09 AM
 Taitank ka malba dekhne ke liye jane wali aik sab marine lapta hoti hai. Is mein duniya ke chand ameer tareen log sawar hain, do Pakistani baap beta bhi hain tourist ki kul tadad shayad 7 hai.

Ain duno news ko dekhnay ka aik aur nazaraya bhi hy. Aik tarah paisa ni hy loogon ky pass woh woh bhi dunyia c chalay gayee aur doorsri taraf aun kay pass itna falto paisa tha k Titanic ma malba dekhnay p zaya kernay gayee thay aur yeh paisa un k liey life ka akri safar hua.

By the way, jab ain duno son aur father ko pata hoga k only 40 hrs left , tu ain ka bus chalta k tu apna sara paisa laga k apni jaan becha letay but yaheen c sabit hua k Paisay c app sab kuch kareed saktay ho but Zindagi ni.
Mujhe un qeemti janoon ka dukh hai magar paiso ka aisa ziaya kisano ki khoon se nikal kar yeh paisa ikatha kiya jata hai, phir aise karnamon pe uraya jata hai. Father or son 15 Core agr gareeb awaam ke de dety to Acha tha lakin jis k pas pase hote ha wo usko ghar me tb tak chane se bhetne ni deta jab tak ya wo kthm na ho jaye ya phr koi nuqsan na ho jaye
Engro Pakistan Company ka sab ko pata hai jab mulk mein ingru ki asad zaroorat hoti hai toh yeh apna samaan storage kar lete hain aur jaan boojh kar mehnga bhejte hain
Baki taitanic aik mnhoos bhri jahaz sy jo first day hi doob gya or apn sath kitny logon ko ly dooba 😢



USA Visa Rejection Rate

Pakistan US visa rejection rate ma 4 times zadya han than India. India mein IT industry ka taraqqi hona bade hisse mein iski wajah se hui hai kyunki wahan IT ke mahir logon ko US aur Europe ke clients ke liye "on-shoring" karne mein aasani milti hai. Pakistan ki IT workforce ko H1-B visa milne ke chances chaar guna kam hai jisse vo international clients ke liye kaam karne ke liye US jaane mein mushkilat ka samna karte hain. Or Pakistan ka nazik door he khtm ni hu rha 75 saalo sy

Source



1730  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 22, 2023, 01:51:44 AM

یقینا ابھی تک سب نے ٹائی ٹن نامی آبدوز کی گمشدگی کی خبر پڑھ لی  ہوگی۔ بی شک ایک افسوس ناک واقعہ ہےمگر یہ ہم پاکستانیوں کے لیے  ایک سوچنے کا مقام بھی ہے۔

ٹائی ٹن نامی یہ آبدوز پانچ مسافروں جن میں دو پاکستنانی بھی شامل ہیں کو لے کر ٹائی ٹینک جہاز کے ملبہ کا نطارہ کرنے کے سفر پر نکلی مگر سمندر میں اترتے ہی اسکا رابطہ منقطہ ہوگیا اور پھر ابھی تک اسکا کا کوئی اتہ پتہ نہیں چلا۔ ویسے تو اس میں 96 گھنٹے یعنی 4 دن کی آکسیجن ہے مگر پھر بھی انکے بچنے کے چانس تقریبا صفر ہو چکے ہیں۔ اور یہ مشن محض پانچ سے چھ گھنٹوں کے لیے تھا۔




G Shahzad Sir Boht Afsos wala waqia han Yeh dono tasweerein dekh kar dil Rhoo raha hai
Sirf 40 ghante ki oxygen reh gayi hai jaldi karo! 7 maqbla vs 700
  Taitank ka malba dekhne ke liye jane wali aik sab marine lapta hoti hai. Is mein duniya ke chand ameer tareen log sawar hain, do Pakistani baap beta bhi hain tourist ki kul tadad shayad 7 hai. Jaise hi pata chala ke sab marine gum gayi hai toh bara rescue operation shuru kar diya gaya. Log abhi doobe nahi 40 ghante ki oxygen mein zinda reh sakte hain lekin iss se pehle ke der ho jaye sab marine ki talash mein American Coast Guards, American Navy, Canadian Armed Forces, Canadian Coast Guards aur Ocean Gateways Expeditions ne mil kar samandar ko khangalna shuru kar diya hai. Allah kare ke log zinda salamat rescue kar liye jayein.

Dusri taraf 700 tarkhin watan ki kashti yunani coast guards ki ankhon ke samne doobti hai yahan saans lenay ke liye 40 ghanton ki mohlat bhi nahi thi yahan toh 40 seconds mein jaan ja sakti thi... yahan aas paas darjnon kashtiyaan ati rahi hain, yunani coast guards maut ka tamasha dekhte rahe phir sat sau janon ko jaan boojh kar doobne ke liye chhod diya gaya. doob marnay ka maqam hai aise mohazzib muashron ke liye




Mai ny yeh news abhi tk nhi suni thi, ha wo 400 logo wali jo dunky lga rhy thy wo news to suni thi, baki Allah maaf kry, or jo khud submarine ly kr gy thy pani my unki hifazat frmy, jitny paiso ki ap baat kr rhy hain yeh bi koi km muqdar nhi hai, ab jis ky muqdar my ho usy wo mil hi jata hai,

Dua hai Allah sy ky jo log dunky lga kr jaty waqt foat ho gy khuda unky gr walo ko sbar dy or unko bi jo is waqt musibt my phansy howy hain. Ameen.

Ameen Faisal bhai Allah Pak in sb ko Jinnat ma alla maqam atta farmhy or ink ghr walo ko sabr jameel dy baki humry media to bilkul sunnata hva koi ink bary ma bat ni kar rhay Iski wajah sb bary loog illegally broder crossing ma included han or passy kama rahy agents k sath mil kar.
Humary bhary 1947 mein achay mustaqbil ke liye Pakistan aate hue mare gaye. Yeh 2023 mein achay mustaqbil ke liye Pakistan se jaate hue mare gaye. 75 saalon mein kitni taraqqi kar li hum ne?

Baki Ya shair pakistan Govt, Established and Media ka lay han
برہمن کا گھر جل گیا، ڈیڑھ ماہ سے سوگ ہی ختم نہیں ہو رہا

 شودر ڈوب کر مر گئے اور کوئی ذکر ہی نہیں300
1731  Other / Beginners & Help / Re: [Merit] Share your best posts/threads with Fillippone to be merit assessed on: June 22, 2023, 01:36:26 AM
Round 1

Re: Trapped in Trading Theories, Dangers of Ignoring Psychology?
Category: opinion/information
Section: Local Board

Re: Unemployment rate list
Category: opinion/information
Section: Local Board
1732  Economy / Services / Re: Sinbad.io Mix Your BTC Quickly AVATAR contest | Win up to $200 on: June 21, 2023, 02:59:46 PM
Reserved..
1733  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 21, 2023, 01:42:22 PM
WhatsApp Enhances Video Call Features with Screen Sharing and Recording

Assalamalikum brother WhatsApp ne video call technology mein mazeed izafa karte hue naye features mutarif karwaye hain. WhatsApp ke naye features mein video call ke doraan screen share karne ke sath sath zoom meeting ki tarah screen recorded video call karne ki sahulat bhi farham ki gayi hai. Boht achi Update han whatapp ki ab Zoom pr meeting karny ki zrort ni pary ge.

Ya B Bta Deyn Kiya Ya Feature IOS Or Laptop ma b mily gai ya pher sirf android par.

Waisy laptop par to phly he slow chatil ha
G bhai filhall ya whatapp ka Feature android devices ka lay rollout hva han jasy kh previos post ma nay reference link share kiya tha ap wha dakh skty han kh abi sarf android wly ka rollout hva han wo ba testing phase han mry khyal sy baki jaldi he IOS ka lay by hu jaye gaa. Dosra laptop pr whatapp web ka mojy idea ni han but slow chalny ki wajah apka internet hu skta han Qkh internet Speed meter krti han agr phone or laptop ki Ma internet Speed theak hu ge than Slow wla issue ni ay ga baki jasy he New Update ay ge Ma zror community ma share kroga
1734  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 21, 2023, 08:13:00 AM


Last 24 hours ma btc ne 7.16% up kia ha jo ke abi $28810 per chal raha ha. SEC ke lawsuit ke bad ye pehli bat etna upar geya ha jo ke tamam market ke leye ek achi khabr ha. Es ke sath sath ye baqi coins ke leye bi kaafi acha ha jes se baqi coin be upar ja rahe hain. Muje tu aysa lag raha ha ke market bullish mode ma change  ho rahe agr bitcoin ne esi trah chalta raha tu shaid wo 23 ke end ke 2 ya 3 maheno ma bullish ho jaye aur agr nahe tu waise be analyst na kaha ha ke 2024 bullish hoga.

G Junaid bhai Bitcoin ki qeemat 8% izafa ke sath hawao ko muqabla kar rahi hai $28000 ko Cross karke $30000 ki resistance zone ki taraf nazar kar rahi hai. Mary khyaal sy jaldy he ua Resistance be complete kar lay ge
 Cryptocurrency btc 27k$ ke level se upar tezi se badh rahi hai jis m ke qareeb bullish trend line ki tasdeeq hai. $29k ke imp resistance level ko paar karne ki salahiyat ke sath Bitcoin ki ralii mazboot hai. Lekin agar resistance ko torne mein nakam rehti hai to downside correction ho sakta hai jahan $27850 ke qareeb gir sakta hai.
Source

1735  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 20, 2023, 12:40:44 PM
MUHAMMAD Is Most Popular First Name in the World

Assalamalikum Alhumdillah Muhammad (PBUH) Haal hi mein ek global index survey mein naam Muhammad phir se duniya ka sabse mashhoor pehla naam sabit hua hai Mashallah subhanallah jiske paas 133,349,300 diloń par qabza hai. Beshak HUZOOR ﷺ jesa na koi tha na koi h or na hi hoga❤️


image Source


1736  Alternate cryptocurrencies / Bounties (Altcoins) / Re: 🚧 [BOUNTY] GlobeDex - Crypto Trading Platform | Earn $GBDX on: June 20, 2023, 03:42:01 AM
PROOF OF REGISTRATION
Forum Username: Cheema02
Telegram Username: @Cheema035
Participated Campaigns: Video, Article and Signature compagin
GBDX Wallet Address: 0x0e6596e9cd2bdfcd63209467acfa4bbffcb1e9b1
1737  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 20, 2023, 03:16:27 AM
WhatsApp Enhances Video Call Features with Screen Sharing and Recording

Assalamalikum brother WhatsApp ne video call technology mein mazeed izafa karte hue naye features mutarif karwaye hain. WhatsApp ke naye features mein video call ke doraan screen share karne ke sath sath zoom meeting ki tarah screen recorded video call karne ki sahulat bhi farham ki gayi hai. Boht achi Update han whatapp ki ab Zoom pr meeting karny ki zrort ni pary ge.


Source

Mary khyaal sy is feature ka benefit kafi achy hu gy or kuch hafton mein mobile aur desktop par WhatsApp istemal karne wale tamam istemal karne wale sb users ke liye available hogi.

1738  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 19, 2023, 09:52:08 AM
BONDEX mining App Update
assalamo alaikum sb ko, umeed krta hoon ap sb khariat sy ho gy, Ap logo ny BONDEX ap ki update ky bary my suna jis


Source

Baki ap logo my sy koi new app ICE mining app ky bary mai janta ho, well, mai ny downloads to kr li hai but still after 24 hours kuch mil nhi rha idk why? like waha pr staking ka option to hai but i avoid that, so mine ky nhi ho rhy hain.
WalikumSalam G bro, iCE Minning app Decentralized Future Verified Project han Ink Twitter Account be Verified han mojy Ya acha Profit dy gaa Inshallah 500$ tak dy ga is lay Phly OM minning app ny mojy 90$ tak ka profit diya han ICE Mimning app my ny bi last month install ki or work kar raha hu Isy install krty he 10 Ice token milty han or than start minninh simple jasy Omega or Bondex ma minning katy han wasy he karni han or hr 24 ghanty ka bad again start krni Minning


image Source

Agr Stake mean minning ni hu rha than ap ICE Minning app ma kuch achivements diya gya han Wo lazmi Complte kary lay or han ba simple han

1. Sb sy phly apko Nickname claim kry lazmi
2. Phr Start earning session app ma krna
3. Osk bad apny apni Profile Picture Update krni han
4. Osk bad Follow on Twitter ka option hu ga Follow kar lay
5. Phr Join Telegram Karna han Apna Username Enter kr dena 5th step Complete hu jaye ga
6. Last step hota invite 5 friends wo chyo to ap Complete kar skty han Apki Minnig Speed Teez hu jaye ge

Ab jinti hu sakti iski minning kry phr KYC k.option ay gy wo wo complte kary than Token List hu ga than sale kar ka Huge Profit mily ga Umeed han Inshallah.
1739  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 18, 2023, 01:58:47 PM
Aoa sabhi community members kese hain
Mere friend ny mujy aik question kardeya jese ke waja sy me kush thori search kar Raha tha.
Wo business man hai os ny kaha k  Tum crypto currency me trading or investment kar rahy ho jese ke koi apni  central body nhi hai or na koi physical body hai agar aj internet band ho jy to AP ke sari investment lose ho jy gi.
Phir aik or sawal keya k phir b is ke currency itni high kuin hai.
Bhai Apke dost ka sawal k jawab Crypto currency mein trading aur investment karne ba ik Online Business han Qkh ye ek naya aur innovative financial system hai. Iski unique baat aye hai ke isma koi central body nahi hai jo apk dost ny kha osy btoo isi wajah se Crypto transparent aur decentralized hoti hai yahi sh sy bari isk khobi han kh interference ni kar skta han. Baki Profit or Loss hr business ma hota han.

Quote
agar aj internet band ho jy to AP ke sari investment lose ho jy gi
Baki Agar internet Ksi wajah se band hojaye phly to internet band ni hu ga Umeed han agr hu jaye to temporarily trading effect hogi lekin apki investments permanently lose nahi hongi. Crypto currency ki value itni high is lay han qkh isk piche kuch factors hain growing adoption scarcity technology advancements aur investor confidence han dunya ka islay Iska potential future mein aur bhi strong ho sakta hai.

Lakin important bat ya han ism Investment karne se pehly research aur risk management zarori hai. Crypto currency duniya mein ek exciting opportunity hai or boht faidaymand han agar sahi tareeqe se samjha jaye sy invest kiya jaye toh crypto currency ek acha investment option ho sakta hai Asy profit ap ksi or physical business sy Ni kama skaty han.
1740  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: June 18, 2023, 01:14:17 AM
Acha app mein c kon kon newspaper petha hy ? I know k ajj k Newspaper read karnay ka trend bohat kam hogia hay kion k Cable TV aur news channels ki bharmar hy tu asay mein aik din puranni news kon peerthay.

https://epaper.dawn.com/

https://dailypakistan.com.pk/E-Paper

https://e.jang.com.pk/

https://e.thenews.com.pk/

https://www.nawaiwaqt.com.pk/E-Paper

I think agar app yeh saray newspaper rooz dekh lia kerian tu app ko kisi aur source ki zarorat ni rahay gi aur paisay bhi save hon gay  Smiley
G Umar bhai Ma Read krta hu... Newspapers Mujhe bohat khushi hui aapke diye gaye links dekh kar. Yeh sach mein aik zaroori aur behtareen resource hai. Hn Newspaper parhna aaj kal kam ho gaya hai lekin jobs hunting ya university admission ke liye newspaper kaafi ahem medium hai.

Aapne bilkul sahi farmaya hai kiun TV aur news channels ki bharmaar hone ke baad logon ki tawajjo newspaper se hat gayi hai. Lekin purani khabrein bhi kisi ke liye ahem ho sakti hain. Os inko Read krny sy jo Confidence increase hota apk oski Kia bat hai agr English me read kiya jaye to English theak hoti han Ma asa he krta hun....

 Ya bhatreen hu gya apne Pakistani akhbaar ki tamam bade akhbaaron ke links diye hain jinhein hum bookmark kar sakte hain aur rozana visit kar sakte hain. In links par jaa kar hum in akhbaaron ke e-paper ko muft mein padh sakte hain. Isse humein kisi aur source ki zaroorat nahi hogi aur hamare paise bhi bachenge or intouch rahy gy dunyak sath.Shukriya


ISLAM 360 APPLIICATION

Assalam-o-Alaikum omeed karta hun ke aap sub tek honge.

Aaaj kaal technologgy ka era chal raha jes se ghair muslim bar puur faida uta rahe hain aur es ko islam ke khilaf istemal kar rahe hain. Hum muslim be use kartre hain per hamra contribution etna zyada nahe ha belke hum bs serf apna time es ke uper waste karte hain.
Wa alaikum assalam Shukriya apke is application ke baare mein batane ke liye. Islam 360 application waqia he boht zabrdast han MashAllah Quran, tafseer, tarjuma aur Ahaadees ko easily access karne ka mauqa mily ga. Ise hum musalmano ko apni deen par zyada tawajjo mil sakti hai is busy door ma ba jab chay mobile pr dakh skaty hanaur agar kisi Ahaadees par shak ho, toh is app ki madad se uski tasdeek bhi kar sakte hain. Baki Ya app deen ki khidmat ka liye behtareen qadam hai. JazakAllah khair
Pages: « 1 ... 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48 49 50 51 52 53 54 55 56 57 58 59 60 61 62 63 64 65 66 67 68 69 70 71 72 73 74 75 76 77 78 79 80 81 82 83 84 85 86 [87] 88 89 90 91 92 »
Powered by MySQL Powered by PHP Powered by SMF 1.1.19 | SMF © 2006-2009, Simple Machines Valid XHTML 1.0! Valid CSS!