Bitcoin Forum
May 23, 2024, 05:36:44 PM *
News: Latest Bitcoin Core release: 27.0 [Torrent]
 
  Home Help Search Login Register More  
  Show Posts
Pages: « 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48 [49] 50 51 52 53 »
961  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 14, 2023, 06:23:04 AM

Last mai yeh BAAT kehna chahunga ky pahly mujy reward dy dai Baad mai apko batawonga ky ma ny answers apni taraf sy likhy ya kahi sy copy kiyaa ha....😜😎

Ma Sha Allah sir ap ka zehn tu buhat taaiz Allah ap ko nazr-e-bad se bachye. Ap ne jo jo answer bataye hain wo tu tek hai ma ne abi check keya ha per aap ka demand pahr ke muje thorii hansi ayee per khair ap ka demand valid hai tu ma aap ko batana chahta hun ke aap ka reward tu tyaar kara hai batwo kahn per dun  hhhhh. reward ma ye tu mention nahe ta ke kia daina hai per agr aap wo mang ahe hain jo ma soch raha hun tu pir ma ap ko wo nahe day sakta q ke wo layni ki abi aap ki umar nahe hai i mean ke abi ap ko driving seekne ki zarorat hai ma car ki bat kar raha hun , baqi abi jo ma ko day sakta hun wo duayen he hai , tu dua ye hai ke Allah ap ko laambi umar de apne pyaro samyt aur khub trakee kare aur os ke bad Allah ap ka ye baita(son) khushyon ke sath baara kare ameen
962  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 13, 2023, 07:45:24 PM
Put your IQ to the test with these tricky riddles

Abi ma baita ta free tu soch thread ka chakr lagun per thread ma sub kuch boring sa lag raha paata nahe waqi ma ayssa ha ya pir meri apni tabyaat tek nahe per khair pir mere zehen ma ek khyal ayaa ke kuch intersting karte hain , Pir ma ne sochna shuru kya ke kia hona chaye pir yadm muje ek khyal aayya ke q na Riddle wala Game kaylte hai,, Pata nahe ap log ko ye passand aye ga ya nahe per pir be ma start karta hun per yahn per ek twist ha ke jo be sahe jawab dayga oss ko as a reward  mele ga per ap ko honestly bata be hoga ke ap ne ye answer khud se kia hai ya pir kahen aur se tu chalye shuru karte hai neeche mai ap ko kuch riddles day raha hun os ma se jo be ap ko aata hoo ap os ko answer kar sakte hai per Reward os ko melega jo kam se kam 7 riddles ka sahe jawab de.

1-I speak without a mouth and hear without ears. I have no body, but I come alive with wind. What am I?

2-The more you take, the more you leave behind. What am I?

3-I am always hungry, I must always be fed. The finger I touch, will soon turn red. What am I?

4-I am taken from a mine, and shut up in a wooden case, from which I am never released, and yet I am used by almost every person. What am I?

5-I am not alive, but I can die. I don't have wings, but I can fly. I don't have eyes, but I can see. What am I?

6-What can run but never walks, has a mouth but never talks, has a bed but never sleeps, and has a head but never weeps?

7-A man is looking at a photograph of someone. His friend asks him who it is. The man replies, "Brothers and sisters, I have none, but this man's father is my father's son." Who is in the photograph?

8-A man is looking at a photograph of someone. His friend asks him who it is. The man replies, "Brothers and sisters, I have none, but this man's father is my father's son." Who is in the photograph?

9-I am a number that when added to its own reciprocal, the result is equal to 5/2. What number am I?

10-What can you catch but not throw?

11-You see a boat filled with people, but there isn’t a single person on board. How is that possible?

Ye riddles etne mushkil nahe hai buhat assan hai agr ap log thora sa zur de zehn ko tu ap jaldi answer ko find kar skte hain  Bust Of Luck
963  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 13, 2023, 10:32:23 AM
Fast X: Kya Yeh Aik Naya Chapter Hoga Fast and Furious Franchise Mein?

Hello kaise hain aap log umeed karta hun ke tel tak honge , Aj may aap ko Hollywood ki ek series ke bare ma baata hun jo buhat famous hai aur aap may takreebn sub logo ne daike bi hoge. Es series ka naam Fast And Ferious hai jes ki her movie records toorti  hai , tu aaj ka news be essi hawale se ke es ke 9 heese tu achuke hain aur ab 10wan heessa be araha haiiiii jes ka naam Fast X hai. Vin Diesel jo es series ka main character hai os ne ek movie ke primier ke moqay per hint deya hai ke ye movie Fast X  ek Triology ho sakti hai means ke es movie ma 3 alaag alaag movies ki story ko ek line pe laya geya hai jo es movie ma hum daik sakenge . Ma aap ko batata chalu ke es movie ki date be achuke , khair abi takk tu es ke promotions chal rahe hai per 19 May ko date fixed hai , 19May ko ye threators may release ki jaye gee.


Source
964  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 12, 2023, 02:49:37 PM
PDM Announces Peaceful Sit-In Against Supreme Court

Pakistan Democratic Movement (PDM) ke cheiif Maulana Fazlur Rehman nay aaj (Friday)  Islamabad kay Supreme Court ke bahir 15 May  ko "aman pasand" sit-in ka ailaan kiya hai, jis may Chief Justice Umar Ata Bandial ko Pakistan Tehreek-e-Insaf (PTI) ke Chairman Imran Khan ko "facilitating" bananay aur "VIP protocol" dene ke liye nishana banaya gaya hai. Yahn per muje ek cheez ki samj nahe aati ke mulana sahab ke zehn ma ye bate kon dalta hai. Ab en ko achi trah pta chal chuka hai ke en ka choran ab nahe chale ga pir be ye log es trah ki ehmakana bate karte hai. En logo ko lagta hai ke es trah kar ke cheif justice sahab per pressure dalenge per muje nahe lag ke es trah hoga, Dusri traf imran khan ne dubara call de hai ke kal sub log apne gali muhale aur village waghira may nekle chief justice ke sath izhar yakjahti ke leye , Jab etne sare log os ke sath honge tu muje nahe lagta ke cheif justice sahab pressureized honge es trah ki bongi harkato se.

SOURCE
965  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 12, 2023, 12:29:44 PM
Amnesty International Urges Pakistan Authorities To Lift Internet Restrictions

Pakistan Telecommunication Authority (PTA) nay announce kia hai ke mobile internet services poray mulk main esssi trah band rehegay jab tak further notice na ho. Broadband(wifi) internet service available hai. Yeh announcement Imran Khan ke arrest hone ke baad hua hai, jis se mulk main jaagary aur afraatafri na mache jes ki waaja se internet system band kia huwa hay. Government fake news ko control karnay ke liye situation ko control karnay ke liye internet service ko band kar deya hai. Amnesty International ney reservations express kiey hain aur authorities ko restrictions ko hatanay aur restrain exercise karnay ke liye kaha hai. Un ka kehna hai ke internet shutdown logon kay right to access information aur free expression ko violate kar raha hai aur yeh human rights violations ke liye ek permissive environment banata hai.

Source




966  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 11, 2023, 09:59:05 AM
Al-Qadir trust case kya hai ?
Imran Khan ko Al-Qadir University Trust ke mamlay may corruption ke ilzamat lagne per Islamabad ke aik adalat mein court appearance ke doraan giriftar kar liya gaya hai. Ye mamla June 2022 se shuru hua tha jab naye coalition sarkar ne Khan aur unki biwi per malik Malik Riaz zameen lenay ke ilzamat lagaye gaye. National Accountability Bureau (NAB) ke mutabiq, Khan ka arrest court mein corruption ke jurm ke liye kiya gaya hai.

Khan ne in ilzamo ka inkar kiya aur kaha hai ke ye siyasi mansooba bandi hai. Unho ne Pakistan ki fauj aur siyasi jamaton ko apne khilaaf milnay ka ilzam lagaaya hai. Khan ne United States ko bhi apne khilaaf sazish ke iraday se milnay ka ilzam lagaya tha, lekin baad mein unho ne is ilzam se mukhalfat ki.
Kuch legal experts ne shubaat zahir kiye hain ke Khan ke arrest ne haal hi mein amend kiye gaye qanoon ke khilaaf tha. Amendments ke mutabiq, NAB ko mulzim ko kayi baar notice dena aur mulzim ka arrest warrant sirf us halat mein jari karna hai jab mulzim maanay se inkaar karta ho. Per abi tu yee haal hai ke khan ke case may aysaa koi raasta follow he nahe kia.

Source
967  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 10, 2023, 05:41:37 PM
Are We Alone in the Universe? A Biophysicist's Perspective


Biophysicist Claudio Grimaldi ne École Polytechnique Fédérale de Lausanne (EPFL) mein kaha keh dunya dusri duniaun mein rehne wale makhlooq se abhi tak rabta nahi kar paai hai, kyunki zameen aisi jagah par mojood hai jahan par koi radio waves nahi hote jo dusri duniaon se aate hain. Grimaldi ka khayal hai keh hamare paas aise sensors mojood nahi hain jo dusri makhlooq ke signals ko detect kar saken aur hamare radio telescopes bhi sahi traf mein mojood nahi hain. Unho ne yeh bhi kaha keh Earth ko dusri makhlooq se rabta banane ke liye bohat intezaar karna hoga,

Grimaldi ne apne study mein sponge jaise porous materials par model banaya hai aur electromagnetic signals ko bhi sponge ke solid matter ke saath compare kia hai, jin signals ko ek planet se dusri jagah par emit kiya jata hai. Un ka khayal hai keh galaxy ke kisi bhi hisse mein ek century mein kam az kam 1 se 5 electromagnetic emissions hoti hain aur yeh supernovas ki tarah rare hoti hain. Grimaldi ne highlight kia hai keh hamare paas dusri makhlooq ke signals ko detect karne ke liye sahi technology mojood nahi hai aur hamain sabar ke sath in signals ka intezaar karna hoga.

Source
968  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 10, 2023, 08:18:57 AM
Anyway, Today is a big day for me ALhamdullilah I'm 20 now and mere

hahahah bahi muje yaqeen nahe ho raha ke aap abi 20 ke ho gaye , Muje tu ap ki bato se mai ne ek imaage bana leya ta ke ap kamzkm 28 ke tu honge
hahah mind maat ke jeye gaa hhh per abi muje lagta hai ke aap ke jagha seeda hamza ka lafz use karun q ke ma be 20 ka he hun tu es hessab se hum dono mai takaluf nahe honi chayee , mazak ta. and bye the way buhat buhat mubarak ho birthday . Bs dua hai ke hamesha hanste muskurate rahe apne family ke sath aur aur apne parents ka naam rosahn kare.



Quote
Bhai ka ajj Last Sabaq haa Hifz[/b][/i] ka MahsAllah osne apna Hifz complete kar lia haa Allah Pak qbool kare orr bhai koo ospe Amal karne ki toofeq de or Deen ki Khidmat karne ki bii.

Ap ke bahi ko be buhat buhat mubarak ho ,Ma Sha Allah se os ne ek bara kam keya Quran ko Hifz karna har koi nahe kar sakta . Ab aap ki baari hai Quran-e-Kareem ko apni zindagi ka hissa banayen aur uske mubarik ilm se apne aur doosron ke liye fayda uthayen.

Asslam o Alikum!
To whole community kia ho raha ajkal, Hmm junaidAzizi back to posting action keep it up.

Ab tu start leya hai In Sha Allah buhat jaldi taraki kar jaunga agr aap sub community ne support kia tu , gap khuch issues ki waja se ayaa ta kuchh tu solve ho gaye kuch baqi hai ap log dua karte rahe agr Allah ne chaha tu wo be ho ja yenge
969  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 10, 2023, 05:27:40 AM
mardan waqay par 5 ahem nakaat aur hamara muaqqaf

Je bahi may aap ki bat se itefaq karta hun ke mardan ma jo be huwa hai wo nahe hona chahyye taa q ke hame na tu Islam es ki ejaazat dayta hai aur na he Qaoon. Es may ko shak nahe ke jo banda ya bandi "Ghustakh-e-Rasool (S.A.W)" kare ga tu os ki saaza srf mout hai, per kia wo ko maarna awam ka kam ha ya Reyasst ka. May ap ko nechee pakistan aur Isalm ma ayse bande ke leye kia qanoon hai wo batata hun.

According To Law Of Pakistan:

Pakistan ke qanoon mein, Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) ko saza dene ka qanoon "Pakistan Penal Code (PPC) 295-C" hai. Is qanoon ke mutabiq, kisi shakhs ko Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) ka ilzam lagane par maut ki saza ya ummul-qura ki saza di ja sakti hai. Yeh qanoon 1986 mein Pakistan ke qanoon banane ke baad se laga hua hai. Is qanoon ke tehat, koi shakhs Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) ka ilzam lagata hai aur phir us par sabit hota hai tou usey maut ki saza ya ummul-qura ki saza di ja sakti hai.

Lekin, is qanoon ke istemal mein bhi kuch masail aur taqazay uthay jatay hain, jin mein se kuch logon ke nazariye ke mutabiq is qanoon ka galat istemal bhi hota hai.

According To Islamic Rule:

Islam mein Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) ka hukm boht sakht hai. Quran mein Surah Al-Ahzab ki Ayat no. 57 mein Allah Ta'ala farmatay hain:

"Indeed, those who revile Allah and His Messenger - Allah has cursed them in this world and the Hereafter and prepared for them a humiliating punishment."


Is Ayat se saaf zahir hai ke Allah Ta'alah Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) ko laanat deta hai aur unhein dunya aur akhirat mein dardnaak saza ata farmaega.

Hazrat Muhammad (S.A.W) ne bhi apni zindagi mein kai baar Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) ke khilaf qadam uthaye aur un logon ko saza di. Lekin, unke khilaf koi sakht qanoon nahi tha jaise ke hum ajkal ke qanoon ki baat kar rahe hain.

Jab koi Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) ka ilzam lagata hai tou uske khilaf kanooni tareeqay se saboot dene ke baad sakht saza di jati hai. Islam mein bhi, yeh hi tareeqa hai ke agar koi Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) ka ilzam lagata hai tou uske khilaf saboot dene ke baad saza di jati hai.

image source:google

Tu es say saaaf zahir hota hai ke jo banda  Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) kare ga os ki saaza srf maut hai , Pr yahan per ek bat ma aap ko mention karun ke sazza daine ka haaaq srf Reyaast ko hai aaam awaam ka srf etna kam hai ke wo is bande ko pakr kar Qaazi ke samne paysh kare aur jab qaazi muqadma chalye ga aur wo pir sabit ho jaye tu os ke bab oss shaks koo mar deya jayeg..

Mardan ma os molvi ne jo kia pta nahe os ne Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) keia be hai ya nahe , May ne ek clip suni Molna Sheikh Idrees Saib ki wo bta rahe te ke ap logo ne os molvi ki akhri bat nahe suni , wo bta rahe te ke os ne  Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) nahi ki aur agr ki be hai tu awaam ka kaam ye nahe hai ke os bande ko qatal kare , Un ke mutabiq wo taamam log Tuba kare jenho ne os ko marne mai hessa leya ta,
Aur dusri traf ma ne ek aur video dayki os molvi ki ke os ka janaza lay jaya ja raha ta aur wo os per phool phaynk rahe te kafi tadad mai molvi logo ne shirkat ki ti aur os ke naam ke sath Shaheed be lekha ja raha hai , Tu ma apni bat ko yahn per khtm karta hun ek sawal per ke
kia jo banda Ghustakh-e-Rasool (S.A.W) karta hai oss ka janza hota hai ya nahe?


970  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 07, 2023, 05:38:33 AM
Masha Allah Ap NY Bahot Mehnat Sa Sab Information Di hai But Bhai Masla to a ja k audhar Ka audhar He Hai k Fake News KO Kaisy Verify karyn Har Banda to qualified nai hai Kuch log he qualified hotyn Hai Jo Time Nikal Kar verified karty awal bat to time ki hai Jo kise k Pas HOTA he nai hai k verified Kar ley kiu k is fast dor ma sab Sa mushkil Kam time nikalna hai Or Kuch log Asy Hain Jin KO pata he Kuch nai hai
Meri Nazar ma Hamary idaro KO itna fast hona chaiya k kise b fake news par barwakt karwai ki jay ta k next time fake newsr KO fake news dety waqt 100 bar sochna pary.

Hello Bro , How are you,well I hope you are good of your health , First of all thanks for loving my post, Bro bat dar assal aysi hai ke agr ap koi news daykte hain aur ap ko daarr ho ke pata nahe wo news correct hai ya nahe tu ap oos news ko athentic source se maloom kar sakte hai . Es ke leeye etne bare qualification ki zarorat nahe pharti agrr koi banda srf matric pass ho tu wo kafi hai , Dusri bat time ki hai tu muje nahe lagta news ko confirm karne may zayaada time consume hota hai just five to six steps ma ho jaata ha ,For example agr ap ko kesi se malom pharta hai mbl phones ke news ke bare ma tu ap wo news PTA se confirm karskte hai jake un ke page ko follow kare un ke page pr be os news ke bare ma kuch na kuch hoga, Agr ap Health ke barre ma sunte hai tu National Health Organization (NHO) se confirm kar sakte hai ya piir  WHO se be kar sakte ha ,Agencies tu apna role play kar rahe hai bs hum log sust hai wo tu bar bar kaeh rahe hain ke ap jo be sunte hai os ko pehle confirm kare os ke bad os per yaqeen kare per yahn tu hum log ghalt cheex per blindly yaqeen kar kae forn age share kar dayte hai.

Mere khyal ma agr hum fake news ke es nassur ko srf ek cheeex sse khtm kar sakte hain aur wo ye hain ke hum serf Orginal source ko follow kare es hame sahe aur valid news melege , Tu ma ap ko aur sub community ko ye recommend karta hun ke athentic cheex follow karo har ayre ghare ko follow na kare.
Shukarya
971  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 06, 2023, 07:12:45 AM
Don't Believe Everything You See: Tips for Spotting Fake News

Assalam-o-Alaikum,

Aaj ke daur mein aam tor par social media ki wajah se bahut si afwah (rumours) aur fakhe khabron (fake news) ka phailna bohat aam hai. Bahut se logon ke paas time nahi hota hai ke wo sab kuch verify kar sakein aur iske bajaay wo saari information ko blindly maan lete hain. Aise mein, fake khabron ki wajah se bohat se logon ko nuqsan be ho sakta hai. Isiliye, zaruri hai ke hum log fakhe khabron ko identify karein aur phir unko apne doston aur rishtedaron ke saath share na karein.

Fakhe khabron ko pehchanne ke liye, humein kuch baato ka khayal rakhna chahiye. Sab se pehle, humein hamesha verify karna chahiye ke jo khabar hum padh rahe hain, ya sun rahe hain, wo sach hai ya nahi. Iske liye, humein multiple sources se confirm karna chahiye ke jo humein khabar mili hai, wo sach hai ya nahi. Agar hum kisi bhi information ko verify na kar sakein, to humein us information ko ignore kar dena chahiye.

FAKE NEWS KE SIDE EFFECTS

Aaj kal fake news ki wajah se internet aur social media par is ki buhat zyada banawat ya pir payalwo hota hai. Iska ek bhara side effect yeh hai ke logon mein galat fahmiyaan peda ho jati hain. Agar koi aisi fake news sun kar ya parh kar apni raaye banae ga to us ki soch galat ho jaye gi aur wo kesi ghalat cheeez ko follow kaar lay ga. Yeh aksar siyasi, maagshrati aur mazhabi mamlaat mein khaas tor par kafi nuqsan deh sabit hoti hain.
Fake news ka dusra bara side effect yeh hai ke logon ke andar be-cheeni bhar jaati hai aur dar lagne lagta hai. Log darte hain keh woh is se mutasir ho jayen ge aur in ki zindagi par is ka buura asar hoga. Is ke ilawa fake news ka zehni taur par bhi asar hota hai. Jab logon ko fake news sunai jati hai to un ka dimagh isi baat par zyada tawajjo deta hai. Is ki wajah se woh apni daily routine aur kaam mein be-zaar ho jate hain.

Fake News Ko Khatam Karne Ya Ignore Karne Ke Kuch Tips:

Yahn per may aap ko kuch zaroori steps peaysh kar raha hun jes ke tekht aap fake news ke barte rujhan ko kaise khtm kar sakte hain.

Verify news sources: News ko share karne se pehle uski source verify karein, kyunki jhooti news kaafi baar social media platforms par bhi asaani se phail jaati hain.

Use fact-checking tools: Fact-checking websites aur apps istemal karein jaise Snopes, FactCheck.org, aur PolitiFact, jo fake news ko verify karne mein madad karte hain.

Don't trust clickbait headlines: Clickbait headlines ki taraf dhyaan na dekar news ka content read karein aur verify karein, kyunki clickbait headlines often misleading hote hain.

Report fake news: Fake news ko report karein social media platforms ya news organizations tak jahaan se aap us news ko receive kar rahe hain.

Educate yourself: Apne aas paas fake news ko pehchaanne ke liye khud ko educate karein aur news ko critically analyze karein.

Abb sawal yahn per ye paida hota hai ke kia pakistan ma es ke leye koi law ya agency mojood ha ya nahi?

TU jee haan, Pakistan mein "Prevention of Electronic Crimes Act (PECA) 2016" naam ka qanoon hai jo keh fake news aur propaganda ko roknay ke liye banaya gaya hai. Is qanoon ke tehat, jhooti khabron ko banane, phelaane aur unke zariye logon ko gumraah karna jurm hai aur is ke karkhanoon par sakht se sakht saza ka hukum hai.

Is ke elawa Pakistan mein PTA (Pakistan Telecommunication Authority) aur FIA (Federal Investigation Agency) jaise qawaneen aur agencies bhi hain jo keh fake news aur propaganda ko rokne ke liye kaam karti hain. In ke zariye social media platforms aur websites par fake news aur propaganda ko remove aur block kiya jata hai aur logon ko is se bachne ke liye taaleem bhi di jati hai

Fake News Se Bachne Ke Liye Aapke Liye Ek Zaruri Paigham

Jaraim ko kam karne ka ek asan tareeqa hai sachchai ko aage kar dena. Agar hum sachchai ki taraf tawajjo denge aur sirf verified sources se information hasil karenge to fake news ka phailna kam ho jayega. Hamen apne saathiyon ko bhi yeh aadat sikhani chahiye aur unhe bhi sahi aur tasdeeq shuda malumat hasil karne ke liye motivate karna chahiye. Ek aur aham tareeqa hai social media ka istemal sahi tareeqe se karna. Social media par jhuthe news phailane wale logon ko report karna aur fake news ko share nahi karna chahiye. Hamen apne social media profiles ko regularly check karna chahiye aur jhuthi news ko spread na karne ke liye alert rehna chahiye. Is tarah se hamen fake news ko rokne mein madad milegi aur sachchai ki taraf jaaane may madad milega.


Image Source:Google
972  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 05, 2023, 05:05:22 PM
ADB ki study ke mutabiq, Pakistan ko climate change ka severe impact ka samna karna parega


Asian Development Bank (ADB) ke Director General for Central and West Asia, Yevgeniy Zhukov, ne Central and West Asia ke sath-sath uske qareebi mulkon ko bhi agah kiya hai ke wo climate change ke severe impacts ko address karne ke liye mil kar kaam karein. Unho ne kaha ke is region mein climate change ke impact ke baare mein sanjedgi se sochna zaroori hai, jis se water scarcity, food insecurity aur conflict ki sorat mein takraao bhi ho sakta hai.

ADB ki taraf se launch ki gayi rsearch ke mutabiq, 2022 mein is region mein climate change ke impacts ko dekhte hue kuch ayysi misaal zahir hui hain jaise ke Pakistan mein devastating floods, Afghanistan aur China mein punishing droughts, aur Central Asia mein scarce water resources ke liye cross-border conflicts ho sakti hai. Zhukov ne is moqe par is baat ka bhi zikr kiya ke Central and West Asia ke mulkon ko greenhouse gas emissions ko cut karna, climate resilience ko badhana, aur natural resources ko manage karna chahiye, taake en impacts ke saamne khud ko tayyar kar sakein.

Article link:
https://www.thenews.com.pk/latest/1067351-pakistan-can-face-severe-impact-of-climate-change-adb




973  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 04, 2023, 05:31:29 AM
Hi dear community.
Asslam o Alikum.
Aik thread dia tha translation ka lia Shahzadafzal sir nee oska kia bana as Unknown OP ne kia tha woo i think ChatGOT se tha baqi Junaid na kia dobara ya phir kisi orr ne wo bi i think Chatgot based hii haa.

Waalaaiqum Assalam Hamza bahi,

Jee jee bahi ma ne kia hai aap ja ke os ko check kar sakte  hai ke kaise lekha hai mai ne. Mai ne jo translation ke ti wo khud ki ti ,Pehle ma ne es ko roman urdu ma khud translate kia aur pir urdu ma lekh , May chunke laptop use karta hun posting ke leye tu os ma urdu keyboard nahe hai aur buhat mushkil se os ma lekhi jati hai urdu, Tu os ke leye ma chatbot ka saahara leya ha , Baqi jo traaanslation ki ha wo mai ne khud ki ha , Shukarya.
974  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 03, 2023, 05:05:42 PM
US Congressman Adam Schiff expresses concern over human rights violations in Pakistan

US Congressman Adam Schiff nay kaha hai ke Pakistan mein insaaf ke masail barhtay jaa rahay hain aur insaani haqooq ka paamal keye ja rahe hai. Schiff nay overseas Pakistaniyo se poocha ke Punjab mein kya ho raha hai, elections ki timing kya hai aur Supreme Court ka kya scene hai. Schiff nay kaha ke jab bhi hum doosray mulko se baat karte hain toh hum apni values aur insaani haqooq ko priorty per rakte hain. PTI leader Atif Khan ne bhi isi topic par recently US Congressman Ted Lieu aur Brad Sherman ko brief kia tha.Baqi ap es article may phar sakte hain.



Article link
https://www.google.com/url?client=internal-element-cse&cx=014389848304649563256:ureyfztd74a&q=https://www.thenews.com.pk/latest/1065969-worried-about-human-rights-violations-in-pakistan-says-us-congressman&sa=U&ved=2ahUKEwja0NLYwtn-AhWJU6QEHUB7CWgQFnoECAYQAg&usg=AOvVaw0Fi-3mh8NQtN4sL-E1eZGK
975  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 03, 2023, 04:49:11 AM
Monkeypox virus detected in Pakistan: WHO to provide assistance in containment efforts

Pakistan mein "monkeypox" virus ke 2 cases ki tashkhees ke baad, WHO ney kaha hai ke woh is bemari ko roknay mein Pakistan ko madad faraham kare ga. WHO ney Pakistan govt ke saath virus ki paylawo ka jaaiza liya hai aur laboratory tests, entry points aur testing kits faraham karne  main madaad ki jaaegi. Pakistan mein virus ki local transmission ki koi tashkhees nahin hui hai aur is ki international spread ka khatra bhi kam hai. Monkeypox virus insaan se insaan ke beech ya janwaron ke zariye phailta hai aur is ka ilaaj aur prevention ke liye WHO aur Pakistani govt ne sath mel kar ekdamat utane ka andeya deya hain.

Article Link

https://www.thenews.com.pk/latest/1065334-who-to-assist-pakistan-contain-monkeypox
976  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 02, 2023, 06:39:44 PM

WWW.TALKIMG.COM


میں ایک نئی تصویر پوسٹنگ سروس کی معلومات شیئر کر رہا ہوں جو بٹ کوائن ٹالک اور پوری کمیونٹی کے لئے خصوصی طور پر تیار کی گئی ہے۔ کچھ سالوں کے بعد پتہ چلا کہ فورم پر کچھ تصاویر صحیح طریقے سے نظر نہیں آتیں یا بہت دیر سے لوڈ ہوتی ہیں، یہاں تک کہ کچھ تصاویر کچھ مہینوں یا سالوں بعد نظر ہی نہیں آتیں۔ اس پرابلم کو ختم کرنے کے لئے ٹاک ایمج پروجیکٹ تیار کیا گیا ہے

 Purpose  ____________________
                                             [/b]س سروس کا مقصد یہ ہے کہ بٹ کوائن ٹالک فورم کے لئے ایک مفید اور عملی ہوسٹنگ سروس فراہم کی جائے جس سے تصاویر فورم پر دستیاب رہیں اور تیزی سے لوڈ ہو سکی                                                    
 Features ____________________
۔تمام اپلوڈ کیے گئے تصاویر فورم میں استعمال کرنے کے لئے ہیں (اگر کسی صارف کی طرف سے درخواست کی جائے تو اس کا جائزہ لیا جائے گا) -                                                                                                                                  
                                                                  کی تصاویر کو اپلوڈ کرنے کی اجازت ہے (JPG، JPEG، PNG، GIF) صرف فورم کے قابلِ قبول فارم -

تصاویر کا سائز زیادہ سے زیادہ 2.5 ایم بی ہونا چاہ                                                                                                                            ۔ -
                  ۔ایک بار تصویر اپلوڈ کرنے کے بعد اسے ڈیلیٹ نہیں کیا جا سکتا (اگر آپ اپلوڈ کرتے وقت پیدا کردہ لنک استعمال کریں جو صرف اس وقت تک دستیاب ہوتا ہے)۔-
                                                                                                                                             .تصویر کی اجازت نہیں ہےNSFW-
                                                                         صرف سپیم کو روکنے کے لئےمحفوظ کیا جائے  ۔صارف کی معلومات کی کوئی رجسٹریشن نہیں کی جاتی-
                                                                                                             پلوڈ کرتے وقت سسٹم سے تمام معلومات ڈیلیٹ کردی جاتی ہے۔EXIF-
                                                                             صارف کی درخواست کے بعد اور تجزیہ کے بعد صرف اس صورت میں سائٹ پر اکاؤنٹ ہو سکتا ہے-
                                                                                                     تمام تصاویر جو ٹاک ایمج کے لئے مختصر شدہ سرور پر ہوسٹ کی جاتی ہیں۔-

 Backups ____________________
سرور خود کار ترین کورس کے ساتھ ویب سائٹ کے تمام کونٹینٹ کا ریگولر بیک اپ لے گا                                                                                                                                 ۔
                                      تجزیہ: ہر ماہ کے آخر میں، پچھلے مہینے کی تمام تصاویر کا مینوئل بیک اپ بناؤں گا جو کسی بھی شخص کے لئے دستیاب ہوگا (کچھ دنوں کے لئے) جو انہیں اپنے پاس رکھنا چاہتا ہے


 Donations & Ad  ______________

                                                                              اس پروجیکٹ کی حمایت کمیونٹی سے حاصل ہونی چاہئے اور فورم سگنیچر کیمپینز کی طرح اسٹیٹ مینٹس سے بھی ڈونیشن حاصل کیے جا سکتے ہیں۔

                                                                                                             ڈونیشن: جو لوگ اس پروجیکٹ کی حمایت کرنا چاہتے ہیں، وہ اپنے بٹ کوائن کی ڈونیشن اس پتہ پر بھیج سکتے ہیں: bc1qhwnncpdd8gfzqwjkk9n052wf7g9mvks3xaa7qa

                                            تشہیر: صرف ہوم پیج پر ایک اشتہار ہوگا جو یوزر سگنیچر کی طرح ہوگا اور اگر کوئی کیمپین منیجر اس پروجیکٹ کو سائٹ پر اعلان کرنا چاہتا ہے تو وہ مجھ سے رابطہ کر سکتا ہے


 Coming Soon  ________________
                                                                                                                                                  ایک خود کار فائل تبدیل کرنے کا نظام جس میں کوئی خاص تاریخ نہیں شامل ہے۔
                                                                                                                                                               کوڈ میں تصویر کا سائز یا چوڑائی بیان کرنے کا امکان بھی ہے BB

 More Details _________________

"جوکر_جاؤس" نے یہ پروجیکٹ منظم کیا ہے جو صارفین کو مکمل حمایت فراہم کرے گا۔ میں آپ کی رائے جاننے کے لئے انتظار کر رہا ہوں۔ یہ پروجیکٹ "کمیونٹی" کے بہتر خدمت کے لئے بنایا گیا ہے۔ چاہے اس پروجیکٹ کو زیادہ مقبولیت ملے یا نہ ملے، پروجیکٹ کا مقصد یہ ہے کہ یہ زیادہ دیر تک چلے تاکہ اپلوڈ کی گئی تمام تصاویر ہمیشہ موجود رہیں

 Useful links __________________
TalkImg
Terms of Service
Privacy Policy

 Local Boards _________________


                                                                                                                          یہ پروجیکٹ صرف "ٹالک امیج" کے صارفین کی حمایت کے لئے بنایا گیا ہے اور اس کی رسمی معلومات
                                                                                                                                         ہمیشہ موجود ہونگی۔ یہاں مقامی بورڈز کے لئے ترجمہ شدہ مواد کی فراہمی بھی موجود ہے

Bengali roksana.hee
Deutsch (German) 1miau
Pilipinas Peanutswar
Polski cygan
Português (Portuguese) joker_josue
Türkçe (Turkish) mindrust

Bahi ap log daiklo es ko ma ne es trah lekhh leya baqi jo ghalti howe ha editing ma tu wo ap bta de ke kaise karo tek q ma ar confuse ho geya hun es ma, aj sara din university me guzra ha wahn pr bi kaam keyya tu es waja baqi muje lagta ap logo ko passnd ayeega .

Edit:
Ik cheez AP sabb ko Batana Chahta hu ky yeh post ma ny English sy roman Urdu ma likh liyaa khud sy, usky Baad through chatGPT iss roman Urdu sy normal Urdu ma translate kiyaa . Usky Baad Jo mistakes tee ussy khud sy teek karky yeh post bana lee








  
977  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 02, 2023, 05:56:57 AM
There’s an image hosting services dedicated to bitcointalk community by joker_josue.

Can someone please translate this post to Urdu for Pakistani Users?

https://bitcointalk.org/index.php?topic=5450546.0

Yes, I can but I need some time. At least 2 days. Due to some reason, I need some time to translate. Bai agar koi orr banda interested ha to phir wo bi kar sakta haa.
Agar koi kar sakta before 2 days then please mujhe pehle mention kar ka bta dee.. Baqi behtar ha ka ye jaldi translate ho jaye agar koi jaldi kar sakte then do it. Warna phir hum to gain hii Hazir hain apki khidmat ma haha..

Ma ne abi ye post daike hai ar muje lagta ha ke ma es ko change kar sakta huun agar aap ar  shahzadafzal bahi ejaazat de tu ma es ko kar skta hun , abi ma university ja raha hun IN SHA ALLAH shaam se pehle pehle ma es ko urdu ma change kar ke post kardunga.

Ek bat pochni ti ke es post ko roman urdu ma lekhun ya pir simple urdu language ma translate karun ?

978  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 02, 2023, 04:32:21 AM
WhatsApp's Latest Feature: Voice Message Transcription to Text

Iss article mein bataya gaya hai ke WhatsApp ek naya feature release kar raha hai jis se users voice messages ko text mein convert kar sakte hain. Yeh feature abhi kuch iOS devices ke liye beta testers ke liye available hai, aur iss mein user ke device par maujood local language packs ka istemaal kiya jaata hai taaki end-to-end encryption preserve ho sake. Convert kiya gaya text bhi indexed aur searchable hota hai, jis se users ko voice messages ke andar moujood information ko dhoondhna asaan ho jata hai. Agar users chahein toh yeh feature disable bhi kar sakte hain agar unhein apne voice messages convert nahi karna. Article ke end mein yeh bhi bataya gaya hai ke yeh feature aane waalon hafton mein zyada se zyada users tak pohanchaya jae ga.

Article llink

https://www.thenews.com.pk/latest/1064981-whatsapp-is-rolling-out-exciting-voice-note-feature


979  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 01, 2023, 12:08:47 PM

Mary 300 merit complete hony pa AP sy mujy Mubarak Badi nahi dee jabky Mary happy birthday pa bhi AP ny wish nahi kiyaa mujy. But hum pathan bary dilwaly haa unn sabb ko ignore karky apko Mubarak Badi dy rahy hai[/b]
Assalam-o-Alaikum,
                             Zain Malik Sahab.
Mujhe khushi hai ke aap ne Bitcointalk Forum pe 300 merits pure kar liye hain. Aap ne bohot mehnat ki hai aur apni qabiliyat ko sabit kia hai. Aap ki yeh kamiyabi aap ke lye naye darwaze kholne wali hai. Is maoqe pr main aap ko dil se mubarakbad dena chahta hun aur aap ke janamdin ki mubarakbad bhi dena chahta hun, wo muj see reh geya taa es leye abi day rahaa hun. Aap ne Bitcointalk Forum pe bohot kamyabiyan haasil ki hain aur main dua karta hun ke aap ke saare khwab pure hon. Mazeed tarraqi ke liye dua go hun aur yeh umeed karta hun ke aap ke zindagi ke har mor pe aap ko kamyabiyan haasil hon. Once again, congratulations on this amazing achievement and Happy Birthday!

Ye kuch lines aap ke leye aaarz ha

Zindagi ke har mod par chalna hai,
Kaamyaabi ke is safar mein badhna hai,
Doston ki umeedon ko poora karna hai,
300 merits ke liye mubarak ho tumhein hum dua karte hain
980  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: May 01, 2023, 05:23:55 AM
Brother, yeh bat bilkul sahi ha k Pakistan ki economy ki halatt bht kharab ha or yeh hamary Macro Economic Indicators, such as GDP, inflation or current account deficit se bi confirm hota ha. Mere khayal mein es bori performance ki bri waja Political instability ha or Political instability breeds economic instability. Es liye hamein bht zayadeh mayous nhi hona chaye ku k agr pakistan mein agr Elections ho jatay han or ek mazbout hakumat bun jati ha  toh Pakistan en mushkil halat se nikalna shoro ho jai ga. Insha Allah. Pakistan ki ek bht bri strength takreebun 1 crore  overseas pakistanis han jo Pakistan ko en mushkil halat se nikalny mein bht aham role play ker sakty han mgr woh usi soorat mein ho ga jub political stability restore ho jai gi. Allah se behtri ki umeed rekhein or dua keren k Allah Pak Pakistan ko en mushkil halat se nikaly- Aameen


Ji bilkul, aap ki baat sahi hai keh Pakistan ki economy ki halat buri hai aur iski wajah macroeconomic indicators jaise GDP, inflation aur current account deficit se bhi saaf zahir hoti hai. Political instability ki wajah se economic instability paida hoti hai aur iska asar mulk ki taraqi par parhta hai. Aap ki baat se itefaaq raakta hoon keh agar Pakistan mein elections ho kar mazboot hukumat ban jaye toh mulk ko is mushkil halat se bahar nikalne mein madad milti hai. Overseas Pakistanis bhi Pakistan ki taqat hain aur woh is mushkil halat se bahar nikalne mein ahem kirdar ada kar sakte hain. Lekin aap ki baat bilkul sahi hai keh political stability ke bina ye sab mumkin nahi hai. Humain Allah per bharosa rakhna chahiye aur dua karna chahiye keh Pakistan ko is mushkil halat se nikalne ki taufeeq mil jaye. Aameen.
Pages: « 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48 [49] 50 51 52 53 »
Powered by MySQL Powered by PHP Powered by SMF 1.1.19 | SMF © 2006-2009, Simple Machines Valid XHTML 1.0! Valid CSS!