Bitcoin Forum
June 14, 2024, 10:46:37 AM *
News: Latest Bitcoin Core release: 27.0 [Torrent]
 
  Home Help Search Login Register More  
  Show Posts
Pages: [1]
1  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: January 16, 2024, 08:47:03 AM
  
The latest of Israel war in gaza

Kuch maheeno se Israel aur hamas k jaari jang k waja se buhut nuqsan hogaya hai .United Nation ke relief chief ne CNN ko bataya k 4 lakh se zyada log bhook k shiddat waja se marne k qareeb hai ...agar unko barwaqt khana air paani nahi puhunchaya to yeh log mar jayenģae.jese k jab jang charh jati hai toh is me qehat k khatra badh jata hai lekin gaza k mamale mai yeh buhut tezi se badh rahi hai.
Hamas k 7 October k hamle k waja se Israel ko gaza per bombing ka moqa mil gaya aur ab tak Israeli bambari k waja se 24000 log mar chuke hai ...aur in mai zyada tar civilian, bache aur auratee hai ...aik taraf toh gaza k log
bambari se mar rahi aur dosri taraf se qehat se mar rahe hai ...dosri taraf Israel ne hamas per ilzam lagaya hai k Israelian hostages jo hamas k qaed mai hai hamas unko sakht jasmani aur zehni azeeyat de raha ...jis me 2 logo k mout hogaye hai Monday koIsrael k kehna hai k hamare 100 se zyada log hamas k qabze mai hai .aur hamas k fighter unko torture kar rahe hai ...hamas aur Israel k jang mai ab tak Israel 1200 k aur gaza k 24000 hazar log mar gaye hai ...Monday ko Israel k aik City raanana mai 2 gariyoo na gariyo na attack kardiya hai jis mai aik Israeli shakhs margaya hai aur 17 zakhmi hai ...Israel police k kahna hai k unho ne dono shaks ko apni custody mai liya hai aur further investigation kar rahee is mamaele per jabka hamas ka kehna hai k yeh amal us bambari ka nateeja hai jo Israel aam Palestinian per bamabari karte hai .
]link
2  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: January 16, 2024, 04:44:22 AM
World Economics Forum Conference
World Economics Forum ne apna 54th conference Switzerland ke aik City Davos mai rakha hai ...Is conference mai poray World se  100 se zyada mulk , baray baray organisation, 1000 se zyada partner companies, civil society ke loog ,entrepreneurs aur media aur news wale shirkat karengay ...
World Economics Forum ka 54th conference ye meeting 15 Jan se start hoga aur 5 days tak hoga ..is baar WEF k meeting ka agenda " rebuilding trust " hai ...is agenda ka maqsad jo dunya mai different countries ya organisation ke darmyan jo jeopolitical issues ke waja sa economy kharab hogae ,unko thek karna ,technology advancement aur economy policies ko behtar karna hai ..
WEF ke meeting ka theme 6 point per hoga jisme economics strength,energy transformation, globalisation, women health, productive Artificial Intelligence and aisi institute ka qiyam jo Economics halat ko behtar banaye..
Is saal is meeting mai Artificial Intelligence per bhi focus kiya hai ...anay wale waqt mai hum AI k significance se inkar nahi kar sakte ..AI ko sekhna k sab se bara faida yeh hai k humai is ma degree k zaroorat nahi ..koi bhi proper study aur mehnat k sath AI ko sekh sakta hai ...aur anay wale waqt mai is skill se aik handsome job hasil kar sakta hai ...


Brother, World economic forum conference ka buniyadi maqsad inclusive or collaborative approach  k through duniya k jo complex economic masail han un ko discuss kerna koi work-able solution talash kerna ha. Laikin mujhy enki koi khas achievements nazer nhi aati. For example, global warming or developing countries mein brti hoi poverty bry bry masail han, eno discuss toh zarur kerty han mgr enky solution ki trf koi tangible progress nazer nhi aati.
you are right bro ....developing countries mai poverty zyada horahi hai ...lekin un countries mai poverty unke khud k problems ke waja se bari rahe hai ...is conference mai koi agreement nahi hoti just political tension ko remove kiya jata aur trust developing per kaam kiya jata hai ...is conference k health unit bhi apna buhut kaam karti hai ...let say aik mulk hai jis mai poverty zyada ho aur aik aisi organisation bhi is conference mai ho jo poverty ko kaam karna k liye kaam karti ho toh is conference ke waja se woh aik dosre k sath discuss karte hai aur aik hikmatamli tayar karte hai jo helpful ho ..like apne dekha hoga buhut sari technical institute dekhe hoge jo dosre country chalata hai ya NGO's operate karte hai ...toh is ke faide bhi hai aur dosra global warming ya dosri is tarah k issues jo hai os per kaam horaha hai lekin is me waqt lagega ...
3  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: January 15, 2024, 01:04:27 PM
World Economics Forum Conference
World Economics Forum ne apna 54th conference Switzerland ke aik City Davos mai rakha hai ...Is conference mai poray World se  100 se zyada mulk , baray baray organisation, 1000 se zyada partner companies, civil society ke loog ,entrepreneurs aur media aur news wale shirkat karengay ...
World Economics Forum ka 54th conference ye meeting 15 Jan se start hoga aur 5 days tak hoga ..is baar WEF k meeting ka agenda " rebuilding trust " hai ...is agenda ka maqsad jo dunya mai different countries ya organisation ke darmyan jo jeopolitical issues ke waja sa economy kharab hogae ,unko thek karna ,technology advancement aur economy policies ko behtar karna hai ..
WEF ke meeting ka theme 6 point per hoga jisme economics strength,energy transformation, globalisation, women health, productive Artificial Intelligence and aisi institute ka qiyam jo Economics halat ko behtar banaye..
Is saal is meeting mai Artificial Intelligence per bhi focus kiya hai ...anay wale waqt mai hum AI k significance se inkar nahi kar sakte ..AI ko sekhna k sab se bara faida yeh hai k humai is ma degree k zaroorat nahi ..koi bhi proper study aur mehnat k sath AI ko sekh sakta hai ...aur anay wale waqt mai is skill se aik handsome job hasil kar sakta hai ...
link
4  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: January 14, 2024, 03:24:27 PM
Canada new immigration policy for 2024-2026
Hello members ...let me share the new policy of canadian govt for 2024 to 2026 about immigration.
IRCC Immigration , refugees and citizenship Canada aik dept hai Canada ka jo k har saal Canada anay wale logo k plans aur policies banaty hai ..Canada aik aisa mulk jis k apni abadi kam hai aur low birth rate hai jis ki waja se har saal unke abadi kam horahii .jis ki waja se unki mulk mai skill labour mai kami horahii hai aur economy gir rahi hai
..jis ki kami ko pora karne kaliye woh is tarah k plans aor policies banaty hai ..
2023 mai Canada ne 465000 logo ko different countries ko welcome kiya aur ab unho ne 2024 k liye 500000 tak kardiya hai ...yeh tadad zyada hone k waja Canada ma skill worker k kami ko pora karna hai ..
Is program ko Canada ne 4 parts mai divide kar diya hai jis mai economics class ,family class ,refugees class and others class hai ..jis mai economics class ko 281000,family class mai 114000 ,refugees class mai
76000 aur baqi logo ko other class mai rakha hai .
Economics Immigration
Is type k immigration mai kuch program ate hai jaise k federal skilled worker (FSW),federal skill trader class(FSTC), aur canadian experience class(CES) ate hai .
(1) Federal skilled worker
Is tarah k immigration mai wo log Canada ja sakte hai jinks education achi ho ,ya kuch khas skill unko ati ho jinko use karke wo Canada k economy ko aur khud ko strong kar sakee aur English ya French unko ati ho .
(2) Federal Skill Trader Class
Is immigration woh log Canada ja sakte jo k trading mai
skillfull ho .
(3) Canadian Experience Class
Is program mai woh log asaktee hai jo k Canada institute se fresh graduate ho ya canadian work experience ho unke sath .


Family Class
Is program mai wo lag Canada asakte hai jinks wife ya husband Canada mai ho aur dosra partner kisi aur country nai ho toh wo unko apne pass bula sakte hai ..family class mai parents aur grandparents ko bhi bula sakte hai .

Refugees class
Is class mai woh log Canada ja sakte jinko apne mulk mai security issues ho ..like terrorism ya political issues ya
 kuch aur qism k issues ho wo Canada mai ja sakte hai
link
5  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: January 13, 2024, 05:01:53 PM
IMF Grants 700 million US dollars to Pakistan
Pakistan k economy k bigharti hoye halat k pesh nazar International monetaring fund ne pakistan k loan ko approve kiya hai ...pakistan mai 8 Feb ko general election hone wali hai aur uske liye pakistan ka kuch had tak stable hona zaroori hai ..IMF pakistan ko 700 million USdollar dega ...yeh raqam pakistan k maali halat ko behtar banaye ga aur iske sath yeh external economics ke shocks ko bardasht kar paye ga ...
cutive%20Board%20decision,the%20implementation%20of%20sound%20policies. ]link
Bhai janay do gussa... ye sab bus inkai accounts mei jata hai. Agar mulk mei paisa use kernay lag jayen to phr Australia, Belgium, USA , UK mei property kaisay banain.
Ye sab ata zaroor hai but mulk pai 5% sai bi kam lagta hai. Baki sab apni apni jaibon mei bhartay hain aur nikal letay hain.

ab thek keh rahee ho bhai ...pakistan mai paisa buhut ata hai ...lekin phir bhi pakistan tarraqii nahi kar raha ..mere khyal mai iski sab 2 waja hai..aik hamari govt education mai invest nahi karti ..agar hum bahar k mulk jo tarraqii kar rahee unko dekhke toh unki aik aik University k budget hamare cities se zyada hota hai ...aur dosra corruption hai...hamaree mulk mai buhut natural resources lekin woh sab jo qarza hum lete hai unme chala jata hai sur jo paisa qarza k surat mai bahar se ata hai woh kuch specific logo k Jeeb mai jata hai
6  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: January 12, 2024, 10:22:59 AM
IMF Grants 700 million US dollars to Pakistan
Pakistan k economy k bigharti hoye halat k pesh nazar International monetaring fund ne pakistan k loan ko approve kiya hai ...pakistan mai 8 Feb ko general election hone wali hai aur uske liye pakistan ka kuch had tak stable hona zaroori hai ..IMF pakistan ko 700 million USdollar dega ...yeh raqam pakistan k maali halat ko behtar banaye ga aur iske sath yeh external economics ke shocks ko bardasht kar paye ga ...
link
7  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: January 11, 2024, 02:23:04 PM
Bitcoin Hits 40000 $
 
Dunya ke sab se bari currency bitcoin ne January 2024 mai 40000 $ se uper ho chucki hai jo k april 2022 se ab tak ka sab se sab se zyada momentum hai bitcoin k rate mai .agar hum bitcoin ka jo rate ajkal chal raha hai isko 1 Dec 2023 se compare kar de toh 1 Dec 2023 ko bitcoin ka rate 37718 $ chal raha tha . Last Sunday ko bitcoin ka rate 40211$ raha jo ke Monday ko decrease hokar 40022$ hogaya hai.

Ether jo k etheric  k blockchain k sath linked hai usne bhi
pechale aik dherh saal mai apni sab se high rate ko hit kia hai .last Sunday ko ether ka 2228$ tak puncha jo ke Monday ko decrease hogaya 2197$ aur is rate per stick kar
 gaya hai .
link
8  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: January 11, 2024, 01:36:42 PM
GOLD RATES IN PAKISTAN GOES DOWN
[/font][/glow]
Global market mai gold k qeemati 3 dollars gir gai hai .International Market mai wednesday ko 28 gram gold k qeemat 2050$ rakhe gai jo ke 3 dollar gir gai hai is ke qeemat ...jis k waja sa pakistan mai bhi gold ke rate per tola 300 rakhe gai aur naye qeemat 216100 rakhi gai hai ..yeh information local market aur different sarafa market
 se le gaye hai. link

Ye bahut ache news ap ne share kii ha. Gold ki demand ziada ho rahe ha aur agar Bitcoin na hotha tho mere khial ma es waqt es ki mang market ma 2-3 gunah hothe leken crypto ma investment chonke asan ha aur kuch had thak decentralized ha aur sab se ache bath k volatility be es ma ziada ha es leye ziada log es ma lag gae ha.
 
Gold investment ma ab wo maza na raha. pehle zamane ma gold ko secure karne k ajeeb ajeeb tareeqe the. koi bartan ma daal k zameen ma chupata tho koi dosra raasta ikhtiar karta. ab advance dor ha aur har koi digital work ko pasand karta ha k har waqt price aur value ankho k samne rahe jis k ley crypto sab se ziada mozzo lagata ha es waqt.
Yes you are right dear...jese k apne bataya k gold ancient time se log saving ke toor per different forms mai save karte the ...kuch log bartan waghera mai istemal karte the phir aik time baad logo ne gold se jewellery bannane start kardi aur usko aur bhi valuable kardiya ..per ab jabke zamana Badal giya hai aur aik modernised era mai hum agae hai toh is era mai cryptocurrencies mai investment karna gold se behtar hai ...brother no doubt cryptocurrencies mai investment karna buhut faidamand hai lekin agar investor k cryptocurrencies ka sahe knowledge na ho toh yeh aik buhut  riskfull investment bhi hai ...is k muqabaly mai agar gold ko hum dekhe to uski market buhut kam fluctuatate hoti ...
9  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: January 11, 2024, 06:50:48 AM
GOLD RATES IN PAKISTAN GOES DOWN
[/font][/glow]
Global market mai gold k qeemati 3 dollars gir gai hai .International Market mai wednesday ko 28 gram gold k qeemat 2050$ rakhe gai jo ke 3 dollar gir gai hai is ke qeemat ...jis k waja sa pakistan mai bhi gold ke rate per tola 300 rakhe gai aur naye qeemat 216100 rakhi gai hai ..yeh information local market aur different sarafa market
 se le gaye hai. link
10  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: January 10, 2024, 11:22:48 AM
Web 3 Antivirus Version 0.12 features


hamara Internet version jo k Web 2 kehlata hai wo Web 3 mai Badal raha hai toh jese k apko pata hai k Web 2 mai jo masale hote the jo user k liye kabhi kabhi buhut problem create karte the Web 3 mai in problems ko solve karliya hai .Web 3 antivirus ke kuch features mai apke sath share kar raha hoo

PHISHING WEBSITES

Web 2 Internet system mai hacker aor scammer aik technique use karte the user ke  data ko churane k liye usko Phishing techniques kehte .is technique mai scammer user ko aik link send karta tha aur jab user us link pe click karta tha toh wo aik website per chala jata aur website usse input mangata tha jab user apne data ko input karta toh wo scammer k pass chala jata .Web 3 antivirus is type ke website ko counter karta hai aor unko warning deta hai aur agar wo phir bhi is tarah k kam karta hai toh wo website automatically khatam kar deta hai

VOLATILE TOKEN LIQUIDITY
yeh features un logo k liye buhut useful hai jo cryptocurrencies mai investment karta hai ...Web 3 antivirus un assets ko jo ke low liquidity hota hai unko characterised karta hai aur user ke investment ko dobnay se bachata hai ..

HONEYPOT ATTACK
Web 3 antivirus ka aik aur feature yeh hai k wo Honeypot attack ko identify karta hai aur unko rokta hai ..Honeypot attack us type k scam ko kehte hai jis mai user ka transactions ko rokna high sale fees ya high purchase fees hota hai ..Web 3 antivirus is tarah k scam ko identify karta hai aor rokta hai ...

Web 3 antivirus ke aur features ko dekhne ke liye neche link per click kare
Link
11  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: November 21, 2023, 02:54:54 AM
Dubai Center For Artificial Intelligence

 Dubai na DCAI ke naam se aik project start kardiya hai jisme 13 different countries se 30 large IT companies ne hissa liya hai ...Dubai ne  8 hafto k liye yeh program AREA 2071 me start kardiya hai ...is project me AI engineers 300 projects par kaam karega jo le 100 se zyada government authorities ko inke kaam me facilitate karega ...
Is project me abhi tak 2 kaam kiye jayegi ..First to yeh project government services ko facilitate kareva aur second yeh news aur media communications ko facilitate karega ...
Dubai news ne kaha hai k yeh project complete hone ke baad wo 72 aur is tarah k project par kaam karega jo Dubai ko modern world me aik alag maqaam per lejayega ...
Reference
12  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: November 20, 2023, 04:47:14 PM
Norway's launching its own digital currency

Is digital world mai jaha sub kuch Badal raha hai ya aik name shakal me convert horaha hai ...toh wo waqt door nahi jab hum aik cashless society me je rahe hongy..

Norway ka apna CBDC (Central Bank digital currency)
Ko launch kardiya hai ...central banking digital currency bhi same  wahi blackchain technology use karti hai jo bitcoin use karti hai magar CBDC aur cryptocurrencies like bitcoin mai sab sa bada farq yahi hai ka CBDC aik traceable aur centralised aur satable hota hai aur government authorities ko control karte hai jab k ctypto is se different hai is situation mai ....
Reference
13  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: November 14, 2023, 05:11:39 PM
Online scams of bitcoinin 2023


 : Dunya mai hamesha scam hote rehte hai ...aaj kal jo k online trading aur bitcoin trading k zamana aya hai...toh waqt k hisab se scamming ke tarikae Badal gayee ...yaha per kuch tarekee hai jo scammers logo ko scam karne k liye use karte hai ...
Blackmailing "is tareke mai scammer apke personal information ko hasil karte hai aur phir apko Blackmail karte hai k ap inko apne assets ka information dete hai "..
Business opportunity scam " is tarah k scam mai wo apko business badhane ka lalach dete hai k wo apke digital currency ko double triple kar dega"...
 Fake Job listing scam is tarah k scam mai scammerfake job ko list karta hai apne shikar ko talaash karne k liye .is tarah k scam mai wo zyada tar apko kehte hai k pehle ap humai kuch amount send karde registration aur in jese cheezon k liyee."
 Give away scams is tarah k scam mai wo aksar apko gift ya kuch amount dete agar ap unke batayee hoye tareeke per chalte hai aur wo apke information chori kar lete hai"
pump and dump scam   ...is type k  scamming mai log aik coin me investment  karne k liye trend banatee hai social media k different platforms se aur log isme invest kar dete hai ..

Be aware of these type of scams...the scammer use mostly these type of scams to steal your information and investment..

Inshallah soon I will post more about these type of scams ...
source
14  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: November 14, 2023, 04:37:58 AM
Highest revenuein Bitcoin mining in 2023

Bitcoin m revenue generate karne ka jo primarily tarika hai wo reward hota hai jo successful transactions confirm karme se ati hai aur dosra tarika mining arg jo ke high tech comuter equipment hota us se new block banane se at hai.. kuch waqt se scams ke waja se log Bitcoin transactions se log darte the lekin Bitcoin entrepreneurs ne halat ko control karliya aur scams ko zyada se zyada khtm karliya jiski waja se bitcoin investor ka trust bahal howa aur aik din me 12 Nov 2023 k sab se zyada record revenue karliya jo k 44M USD  hai ...

reference
15  Local / Other languages/locations / Re: Pakistan on: November 13, 2023, 02:20:01 AM
Chikengunya Virus
               

American authorities ne chickungunya virus k liye vaccine ko approve kardiya ...jisko lxchiq ka naam diya giya hai ...yeh aik aisa virus hai jo infected mosquitos sa pehlta hai ...is virus k kuch alaamat jo abhi tak medical board ko abhi tak aye hoyi hai wo kuch is tarah hai ka patient ko shadeed joints pain hota hai ...jo ka kabhi kam aur kabhi buhut zyada hota hai ...aur symptoms mai fatigue , rash ,joint swelling,headache,muscle pain aur nausea shamil hai .abhi tak is ke liye koi vaccine nahi banaye gai..American health ne 9 November 2023 ko chickungunya virus ke liye vaccine ko approve kardiya hai ..yeh vaccine 18+ years old ke liye advise kiya hai jo severe condition mai ho
Pori dunya mai is virus se 440000 log affect hogayee hai jin me 350 patients k death ho gai hai...



source  
Pages: [1]
Powered by MySQL Powered by PHP Powered by SMF 1.1.19 | SMF © 2006-2009, Simple Machines Valid XHTML 1.0! Valid CSS!