السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ!Aaj hum aik case study par baat karne ja rahe hain jis ny China ki maeeshat ko badal k rakh dia!1999 mein
China ke aik shakhs jiska naam
Jack Ma tha us ne aik masla us waqt note kiya jab poori duniya mein
business online field mein urooj pakar raha tha.
China ki choti companion ke paas business ko online karne ke
sources kam thay,
Jack Ma ne is gap ko khatam karne ka socha aur
Alibaba.com jaisa platform introduce karwaya.
Aaghaz mein darjano companion ne is platform ko join kiya lekin waqt ke sath sath choti choti companian bhi is taraf rujoo karne lageen. Is waqt China ki
export maeeshat barh to rahi thi lekin un ke paas internet ka
infrastructure kamzor tha. Alibaba platform se bohat si sahoolaten mileen jaisa ke
selling, buying aur
communication tools waghera. Yani aik bohat bara gap fill kar diya gaya. Jahan hukoomati ya banking system na pohanch saky wahan is system ne pohanch kar dikhaya.
2003 mein Jack Ma ne mehsoos kiya ke China mein internet users tezi se barh rahe hain, magar online shopping ke liye koi
local platform nahi. Is waqt America mein
eBay maqbool ho chuka tha, aur China mein bhi us ne apna version launch kiya tha. Lekin eBay ka model maghrabi market ke liye tha. is mein khareedar aur bechnay walay ke darmiyan trust, local language support, aur customer service ki wo satah nahi thi jo China market chahti thi.
Jack Ma ne socha ke agar e-commerce ko maqbool karna hai China mein, to is ko
China culture mein introduce karwana hoga. Isi baat ko samne rakhte hue
Taobao.com launch kiya gaya. Ye aik mukammal
customer to customer (C2C) platform bana. Is ka sab se bara faida ye tha ke is mein
har koi apni cheez bech sakta tha wo chahe kisi bhi tarah ki ho.
eBay fees charge karta tha jabke ye bilkul
free tha aur isi wajah se awaam mein is ko
maqbooliyat zyada mili.
Baad main China ne sab se bara masla jo online system mein hota hai yani
trust ka, wo khatam kiya aur
Alipay ke naam se aik naya system mutarif karwaya. Ye aik
"Escrow payment system" tha. Matlab jab koi customer order deta to wo pehle Alipay ke paas jata jab customer tasdeeq karta tab paisay seller ke paas jatay.
Aaghaz ke chand salon mein Taobao ne logon ko apni taraf mutawajeh rakha lekin
Alibaba team ne dekha ke
villages mein bhi aisay log hain jo bohat achi cheezen bana letay hain lekin internet aur online system ki sahulat na honay ki wajah se peechay hain. Is gapko mukammal karne ke liye phir
2010 mein
Taobao Village mutarif karwaya. Is team ne logon ko system samjhaya bhi sikhaya bhi jis se logon ki maeeshat mein kaafi urooj aaya. basic cheez ye ke
females ko bhi ghar baithe kaam karne ki sahulat mili.
Ye aisay steps thay jinhon ne China ki maeeshat ko badal ke rakh diya. Aaj Cheen aik
business model nahi balkay aik
infrastructure ban chuka hai.
Source link:
https://www.facebook.com/share/p/17LKxeMoUn/