Walaikumusslam...!
Ahhh!
Sab sy pehly to ap kaa bohat shukriya ap ny mujy yaad rakah iss moqy par. Wahan Altcointalk par to off topic tha to share kar diya. Bohat hi nice person thy. Or bohat hi barra janaza huwa. Almost sari zindgi wo bahir Spain my hi rahy. 16 years to un ky kaghaz hi nai bany thy. Lekin ab un ky pas nationality thi or iss Eid par apni family ko bhi leny aaye thy. Bass zindagi itni thi. Gaon ky bohat sy ghar un kabhi waja sy chalty thy. Bass ab kaya hi kiya jaa sakta hai. Jab aa jati hai to kuch bhi nai kiya jaa sakta.
Yaqeen many aap ki yeh baat parh kr dil boht udaas hoa. Eid waly din aesa hadsa hona waqai poori family ky liye aik boht bada jhatka hota hai. Allah pak aap sb ko sabrejameel ata farmaye.
Boht afsos hota hai yeh sun kr ky unho ny apni zindagi ka itna lamba hissa bahr struggle krny my guzara aur ab jab wo nationality ly kr apni family ko sath ly jany aye thy to unki zindagi ka safar khatam ho gya. Lekin jesa aap ny kaha ky jab maut ka waqt pakka hota hai to insaan kuch nahi kr skta, bs Allah ka hukam hi chalta hai.
Boht khushnaseeb thy aap ky mamu jinki waja sy boht sy ghareeb gharon ka chulha jalta tha, aese logon ky liye dunya bi dua krti hai aur aese azeem logon ka sadqaejaria hamesha qaim rehta hai. Unka itna bada janaza is baat ka saboot hai ky wo waqai boht mukhlish aur achay insaan thy.
Allah pak unky drjaat bht buland farmaye, unki kabr pr apni khusoosi rehmat nazil farmaye aur unhein jannat ul firdous my aala muqam ata farmaye, Ameen. Aap sb ghr walo ko is mushkil waqt my sabr day bhai. Himmat rkhein.