Aslamu Alaikum.
Umeed hai sab community kai dost in badtareen halaat mai bee apnai payaro kai sath achi zindgi guzarnai ki koshish ker rahai hongai aaj aik news daikhi to laga ham waqai mai na laiq aur na ahal logo mai itna phanse chukai hai kai hamara survival bee asan nahi lag raha kiunkai Prime Minister aik meeting mai hai jis mai faisla hona hai kai 3 din ka lockdown laga dia jai log pahlai hee mar rahai hai aur in ki apni fazul harchia hatam nahi ho rahi laikin yai aal logo kai liai masla barha rahai hai jo kai bohut hee ajeeb lagta hai kiunkai yai aam logo ki paraishani aur maslo sai waqaf hee nahi hai. Jist tarah Sohail Afridi ko treat kia gia hai yai bee bohut hee masal hai laikin ab yai jo mazeed halaat harab ho rahai hai yai kis taraf ja rahai hai is ki samaj hee nahi aa rahi kiunkai dunya mai aur kahi bee aisa nahi ho raha jis tarah yai log ker rahai hai aur halaat ko mazeed harab ker rahai hai baki Allah raham karai ham per.
!.......وعلیکم السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Hmm kal Nanga parbat ne pick show ke tii joo ke dunyia news my shaid publish kar rahe ty jis my petrol ke waja se lockdown hoo gaa waise iss lockdown kaa faida sirf itna hoo gaa ke log 3 days petrol use nahi karne gaye magar 3 days ke earning koo kaise generate kare gaye joo daily basis par 1000 yaa 2000 earn karte haa ab inn koo zaroorat too haa nahi earning waise he awam kaa paisa inn ke pass haa aur waise be salary laity haa too inn koo kiya parwa magar jin kaa daily basis par gar chalta haa unn ke liye ya bohat bara masla haa petrol koo le kar pakistan ke economy itna karab hoo gayi haa ke government se system thek nahi hoo raha haa inn koo chaiye ke ya US and Iran ke darmiyan ak big deal kar waye nahi too dhamki de ke hamare jahaz koo joo roky gaa voo ham se war kare gaa aur I think Iran pakistan ke jahaz koo rok nahi raha agar too US ke navy waha haa too par kuch issues hoo sakty haa magar pakistan kud kamosh reh kar apne liye masly bana chuka haa
Agar hakumat kai pass itna damag hota to kia ab ham is waqat is halat mai hotai in logo kai pass aqal aur damag naam ki koi cheez nahi hai sir per hali dabbai hai jo laiker ghom rahai hai aur logo ka jeena haram kia huwa hai lock down kis liai laya ja raha hai sab kuch hai bas apni ayashio ki waja sai sai oil ki prices bee up down ker rahai hai aur logo ko bee najaiz tang ker rahia hai in ko chahia kai kuch raham kerai aur logo kai liai asania paida karai.
Is qisam kai lock down logo kai liai ziada paraishania paida karai gai aur kuch bee nahi ho ga kiunkai yaha per awam ka mazaj bee aisa hai wo aisai lock down ko kuch bee nahi samajtai sawai tafreeh kai to issi liai hakumat ko bee chahia lock down ki bajai kuch aur ker lai laikin gareebo kai liai paraishani ziada na karai.
Pakistani siasat aur afsar shahi mai jo log hai wo ziada ter ahmaqo ki jannat mair rahtai jin ko kuch bee pata nahi hota kia ker rahai hai aur kis tarah ker rahai hai wo sirf apna interest daikhtai hai aur logo kai liai ziada sai ziada mushkilaat khari kertai hai aur kuch bee nahi.