Bitcoin Forum
June 16, 2026, 06:33:39 PM *
News: Latest Bitcoin Core release: 31.0 [Torrent]
 
   Home   Help Search Login Register More  
Pages: « 1 ... 1564 1565 1566 1567 1568 1569 1570 1571 1572 1573 1574 1575 1576 1577 1578 1579 1580 1581 1582 1583 1584 1585 1586 1587 1588 1589 1590 1591 1592 1593 1594 1595 1596 1597 1598 1599 1600 1601 1602 1603 1604 1605 1606 1607 1608 1609 1610 1611 1612 1613 [1614]
  Print  
Author Topic: Pakistan  (Read 7280986 times)
GbitG
Hero Member
*****
Online Online

Activity: 1526
Merit: 625



View Profile WWW
Today at 05:10:13 PM
 #32261

Assalamualaikum...!

News to bohat achi mili ky Strait of Hormuz open ho gaye hai. Lekin sath my Bairoot par hamla hony ki khabar bhi suni. Or ye hoty hi rehna hai ham sab janty hen. Israel kabhi bhi baaz nai aye gaa.

To mujhy baat ye karni thi. Jab Strait of Hormuz band huwa tha to hangami ijlaas bula kar oil ki qeemton my izafa kar diya gaya tha. Ab ye hamary hukmran kahan so rahy hen. Ab open ho gaya hai to ab hangami ijlaas kiu nai bulaya gaya. Ye kabhi bhi awam ky haqq my nai huwy bass hamesha apna faida hi socha hai. Or jiss tarah oil ki prices up gai thi. Wesy ab down kabhi bhi nai aani. Ab dekhna Rs 5 Rs. 10 kar ky down laaen gy. Ek hi dafa naiii. Pata nai in kamino sy Allah paak mery is payary mulk ko kab rehai ata farmaye ga.  Cry
Wa Alaikum Salam.
bhai yai jo deal or ceasfire ho raha hai yai Iran kai sath ho raha hai Pakistan kai sath nahi aur aik baat yaad rakhai Iran apni sary baatai mana ker phir kuch solid reply dai ga abee aap sirf ai 80 saala zahni mareez Donald Trump kai tweets or bayanaat per nahi jaa saktai. Israel nai bee Lebanon per strikes jary rakhi huee aur Iran itni asan sai nahi manai ga jo marzee ker lo aap log yai latest update hai jo mai aap ko dai raha ho Iran nai wazai kia hai wo toll laita raha ga aur wo kissi bee tarah kissi blackmailling mai nahi aai ga  Iran says it will continue to charge Strait of Hormuz toll jabkai social media per yai sirf dramai ker rahai hai ya ho gia wo gia jabtak Iran nahi chahta kuch bee nahi ho ga.

Bitcoin nai $66K ko cross ker lia hai yai aik achi development hai kiunkai ab lag raha hai thora sa positive rahai ga agar Israel apni hat dharmi chor dai to.
What's up Dude....!!!
Kasaa haa app umeed kartaa hoon khairyat saa hongaa...

Baqi apkee bath bilkul drust haa kaa Iran apnaa saraa mohaidaa pin point saa manwayangaa. Yaqeenan karaa Trump ko bohat jee zaleel keyaa uss naa zindigi bar kabi asaa sochaa b nahi taa like kaa Islamic Republic of Iran itnaa heavy punches kaa sath unhaa Knockouts karaa gaa. Trump naa har possible effort kee kaa Iran ko darayaa jyaa lakin bahi Iranian Hussani haa or Hussani death penalty accept kar laa gaa lakin slaves nahi....

Kahir peace agreement hogyee or sath maa all financial markets rise karnaa lagaa chahaa wo Stocks ho, bonds market ho, commodities ho yaa pir Crypto ho all market surge karnaa lagaa haa.

Han Bitcoin apni hurdle zone ko break keyaa or move towards new Bias ja rahaa haa. Abb agar koi Geopolitical tension rise nahi howaa to Bitcoin mazeed growth kar saktaa haa.Baqi Bitcoin kee update maa already previous post maa da chukaa haa....

Ref_Post....

Sawera2255@
Jr. Member
*
Offline

Activity: 42
Merit: 12


View Profile
Today at 05:15:18 PM
 #32262

Assalam o Alaikum kesay hain ap sab umeed krte hn khairiat say Hon gay manay abhi abhi daikha hai k Bitcoin pizza day thread ki voting live ho chuki hai jis may har banda apni psnd k 5 pizzo ko vote day skta hai iski last date 5 July rat 23:59 bjy tk hai jaisa k ap sab jantay hai k Pakistani community may say Kafe saray logo nay is contest may participate Kia hai humay chaheyay k apna Keemti vote daynay say phlay apni community may jitnay logo nay pizza day may participate kia Hua hai un sb ki pictures ko aik dfa daikh lain or us k bad Bitcoin Pizza Day contest may majood 146 members k pizza's ko b watch keray us k bad un sab may say jiska pizza apko best lgy un 5 pizza's ko vote keray or meri ap sab say request ha k jis jis k pas 50 ya 50 say plus merits hai un may say koe b apna vote zaya mat keray yeh vote Allah ki trf say amanat hoti ha isko sahe haqdar tk pohnchana zaroori hota hai isleyay humay chaheyay k hum apna vote puri Iman Dari say cast keray meray merits 50 say km honay ki wja say ma vote cast nhi kr skte han lkn apni rayay zaror day skte hn agr meray pas vote daynay ka haq majood hota to ma (2,29,75,124,144,) pizza's number ko vote krte apka meri choice k baray may kya khayal hai or ap sab ka kya plane ha ap kon kon say pizza's ko votes kr rhy hai



Bityar
Member
**
Offline

Activity: 70
Merit: 11


View Profile
Today at 05:42:03 PM
 #32263

Happy Islamic New Year

Walaikomsalam iss naye saal kay aghaz par merii taraf say bhee tamam community ko naya islamii saal mubarak. Aap nay bilkul theek kaha hamay apnay iss asal islamic saal kee ahmiyat ko bhee zaroor samjhay or manany kee zaroorat bhee hai kyonkay hamarii pehchan isi say hai. Allah tala say dua hai kay yeh naya saal hamary ibadaton may barkat gharo may sukoon or khaskar hamary mulk pakistan kay liyay taraqii or aman lay kar aye. Ameen

Noorooo
Member
**
Online Online

Activity: 84
Merit: 10


View Profile
Today at 06:17:13 PM
 #32264



Walaikomsalam iss naye saal kay aghaz par merii taraf say bhee tamam community ko naya islamii saal mubarak. Aap nay bilkul theek kaha hamay apnay iss asal islamic saal kee ahmiyat ko bhee zaroor samjhay or manany kee zaroorat bhee hai kyonkay hamarii pehchan isi say hai. Allah tala say dua hai kay yeh naya saal hamary ibadaton may barkat gharo may sukoon or khaskar hamary mulk pakistan kay liyay taraqii or aman lay kar aye. Ameen
Brother umeed hai aap theek honge aur aap ki zindagi mein sab kuch achha chal raha hoga. Aap 100% theek keh rahe hain ke humein apne Islami naye saal aur Islami mahinon ko ahmiyat deni chahiye kyun ke ye sab se zyada ahmiyat rakhte hain. Baqi cheezon ko celebrate karna aur unhein itni ahmiyat dena zaroori nahi hai. Allah hum sab ko aur hamari family ko is saal khushiyan achhi sehat aur kamyabi ata farmaye aur hamari tamam mushkilat aasaan kare. Ameen.
JunaidAzizi
Hero Member
*****
Online Online

Activity: 1274
Merit: 627



View Profile WWW
Today at 06:24:08 PM
 #32265

Ap Kya smajty ha kaisy iss situation ko tackle kar skaty ha to get out of that economy death cycle
Ye salo se chalta araha ha har dafa budget es trah ban jata ha jes ma baqi cheezzey tu chore ghareeb bande ko chun chuun ke mar daiti ha aur es dafa be aysa he keya unho ne aur mere nazdez ye age tak jayega ek cycle ha aur es ma hum log phans chuke hain ab es ma se nekalane ke leye ek chain ko kesi ek jagha per thorna hoga , ab es cycle ma nubr 6 mere khayl se es ko agr hum log zyada kare tu bat ban sakti ha baqi chezo ko agr hum log chere tu mulk ka payyaa ruk sakta ha awam se zyada se zyada tax collect keia jaye ayr os se alag alag factories laga deia jaye aur apni export ko barhaya jaye , ek side pe awam ko kafi mushkil hogi per dusri taraf jobs be ayenge , per asal bat ye ha ke kia shafaf tareqe se ye tax use honge ya pir ye be janyenge enke Swiss bank ke accounts ma .

Pages: « 1 ... 1564 1565 1566 1567 1568 1569 1570 1571 1572 1573 1574 1575 1576 1577 1578 1579 1580 1581 1582 1583 1584 1585 1586 1587 1588 1589 1590 1591 1592 1593 1594 1595 1596 1597 1598 1599 1600 1601 1602 1603 1604 1605 1606 1607 1608 1609 1610 1611 1612 1613 [1614]
  Print  
 
Jump to:  

Powered by MySQL Powered by PHP Powered by SMF 1.1.19 | SMF © 2006-2009, Simple Machines Valid XHTML 1.0! Valid CSS!