Bitcoin Forum
June 17, 2026, 09:17:10 AM *
News: Latest Bitcoin Core release: 31.0 [Torrent]
 
   Home   Help Search Login Register More  
Pages: « 1 ... 1564 1565 1566 1567 1568 1569 1570 1571 1572 1573 1574 1575 1576 1577 1578 1579 1580 1581 1582 1583 1584 1585 1586 1587 1588 1589 1590 1591 1592 1593 1594 1595 1596 1597 1598 1599 1600 1601 1602 1603 1604 1605 1606 1607 1608 1609 1610 1611 1612 1613 [1614]
  Print  
Author Topic: Pakistan  (Read 7281092 times)
GbitG
Hero Member
*****
Offline

Activity: 1526
Merit: 625



View Profile WWW
June 16, 2026, 05:10:13 PM
 #32261

Assalamualaikum...!

News to bohat achi mili ky Strait of Hormuz open ho gaye hai. Lekin sath my Bairoot par hamla hony ki khabar bhi suni. Or ye hoty hi rehna hai ham sab janty hen. Israel kabhi bhi baaz nai aye gaa.

To mujhy baat ye karni thi. Jab Strait of Hormuz band huwa tha to hangami ijlaas bula kar oil ki qeemton my izafa kar diya gaya tha. Ab ye hamary hukmran kahan so rahy hen. Ab open ho gaya hai to ab hangami ijlaas kiu nai bulaya gaya. Ye kabhi bhi awam ky haqq my nai huwy bass hamesha apna faida hi socha hai. Or jiss tarah oil ki prices up gai thi. Wesy ab down kabhi bhi nai aani. Ab dekhna Rs 5 Rs. 10 kar ky down laaen gy. Ek hi dafa naiii. Pata nai in kamino sy Allah paak mery is payary mulk ko kab rehai ata farmaye ga.  Cry
Wa Alaikum Salam.
bhai yai jo deal or ceasfire ho raha hai yai Iran kai sath ho raha hai Pakistan kai sath nahi aur aik baat yaad rakhai Iran apni sary baatai mana ker phir kuch solid reply dai ga abee aap sirf ai 80 saala zahni mareez Donald Trump kai tweets or bayanaat per nahi jaa saktai. Israel nai bee Lebanon per strikes jary rakhi huee aur Iran itni asan sai nahi manai ga jo marzee ker lo aap log yai latest update hai jo mai aap ko dai raha ho Iran nai wazai kia hai wo toll laita raha ga aur wo kissi bee tarah kissi blackmailling mai nahi aai ga  Iran says it will continue to charge Strait of Hormuz toll jabkai social media per yai sirf dramai ker rahai hai ya ho gia wo gia jabtak Iran nahi chahta kuch bee nahi ho ga.

Bitcoin nai $66K ko cross ker lia hai yai aik achi development hai kiunkai ab lag raha hai thora sa positive rahai ga agar Israel apni hat dharmi chor dai to.
What's up Dude....!!!
Kasaa haa app umeed kartaa hoon khairyat saa hongaa...

Baqi apkee bath bilkul drust haa kaa Iran apnaa saraa mohaidaa pin point saa manwayangaa. Yaqeenan karaa Trump ko bohat jee zaleel keyaa uss naa zindigi bar kabi asaa sochaa b nahi taa like kaa Islamic Republic of Iran itnaa heavy punches kaa sath unhaa Knockouts karaa gaa. Trump naa har possible effort kee kaa Iran ko darayaa jyaa lakin bahi Iranian Hussani haa or Hussani death penalty accept kar laa gaa lakin slaves nahi....

Kahir peace agreement hogyee or sath maa all financial markets rise karnaa lagaa chahaa wo Stocks ho, bonds market ho, commodities ho yaa pir Crypto ho all market surge karnaa lagaa haa.

Han Bitcoin apni hurdle zone ko break keyaa or move towards new Bias ja rahaa haa. Abb agar koi Geopolitical tension rise nahi howaa to Bitcoin mazeed growth kar saktaa haa.Baqi Bitcoin kee update maa already previous post maa da chukaa haa....

Ref_Post....

Sawera2255@
Jr. Member
*
Offline

Activity: 42
Merit: 12


View Profile
June 16, 2026, 05:15:18 PM
 #32262

Assalam o Alaikum kesay hain ap sab umeed krte hn khairiat say Hon gay manay abhi abhi daikha hai k Bitcoin pizza day thread ki voting live ho chuki hai jis may har banda apni psnd k 5 pizzo ko vote day skta hai iski last date 5 July rat 23:59 bjy tk hai jaisa k ap sab jantay hai k Pakistani community may say Kafe saray logo nay is contest may participate Kia hai humay chaheyay k apna Keemti vote daynay say phlay apni community may jitnay logo nay pizza day may participate kia Hua hai un sb ki pictures ko aik dfa daikh lain or us k bad Bitcoin Pizza Day contest may majood 146 members k pizza's ko b watch keray us k bad un sab may say jiska pizza apko best lgy un 5 pizza's ko vote keray or meri ap sab say request ha k jis jis k pas 50 ya 50 say plus merits hai un may say koe b apna vote zaya mat keray yeh vote Allah ki trf say amanat hoti ha isko sahe haqdar tk pohnchana zaroori hota hai isleyay humay chaheyay k hum apna vote puri Iman Dari say cast keray meray merits 50 say km honay ki wja say ma vote cast nhi kr skte han lkn apni rayay zaror day skte hn agr meray pas vote daynay ka haq majood hota to ma (2,29,75,124,144,) pizza's number ko vote krte apka meri choice k baray may kya khayal hai or ap sab ka kya plane ha ap kon kon say pizza's ko votes kr rhy hai



Bityar
Member
**
Offline

Activity: 70
Merit: 11


View Profile
June 16, 2026, 05:42:03 PM
 #32263

Happy Islamic New Year

Walaikomsalam iss naye saal kay aghaz par merii taraf say bhee tamam community ko naya islamii saal mubarak. Aap nay bilkul theek kaha hamay apnay iss asal islamic saal kee ahmiyat ko bhee zaroor samjhay or manany kee zaroorat bhee hai kyonkay hamarii pehchan isi say hai. Allah tala say dua hai kay yeh naya saal hamary ibadaton may barkat gharo may sukoon or khaskar hamary mulk pakistan kay liyay taraqii or aman lay kar aye. Ameen

Noorooo
Member
**
Offline

Activity: 84
Merit: 10


View Profile
June 16, 2026, 06:17:13 PM
 #32264



Walaikomsalam iss naye saal kay aghaz par merii taraf say bhee tamam community ko naya islamii saal mubarak. Aap nay bilkul theek kaha hamay apnay iss asal islamic saal kee ahmiyat ko bhee zaroor samjhay or manany kee zaroorat bhee hai kyonkay hamarii pehchan isi say hai. Allah tala say dua hai kay yeh naya saal hamary ibadaton may barkat gharo may sukoon or khaskar hamary mulk pakistan kay liyay taraqii or aman lay kar aye. Ameen
Brother umeed hai aap theek honge aur aap ki zindagi mein sab kuch achha chal raha hoga. Aap 100% theek keh rahe hain ke humein apne Islami naye saal aur Islami mahinon ko ahmiyat deni chahiye kyun ke ye sab se zyada ahmiyat rakhte hain. Baqi cheezon ko celebrate karna aur unhein itni ahmiyat dena zaroori nahi hai. Allah hum sab ko aur hamari family ko is saal khushiyan achhi sehat aur kamyabi ata farmaye aur hamari tamam mushkilat aasaan kare. Ameen.
JunaidAzizi
Hero Member
*****
Offline

Activity: 1274
Merit: 627



View Profile WWW
June 16, 2026, 06:24:08 PM
 #32265

Ap Kya smajty ha kaisy iss situation ko tackle kar skaty ha to get out of that economy death cycle
Ye salo se chalta araha ha har dafa budget es trah ban jata ha jes ma baqi cheezzey tu chore ghareeb bande ko chun chuun ke mar daiti ha aur es dafa be aysa he keya unho ne aur mere nazdez ye age tak jayega ek cycle ha aur es ma hum log phans chuke hain ab es ma se nekalane ke leye ek chain ko kesi ek jagha per thorna hoga , ab es cycle ma nubr 6 mere khayl se es ko agr hum log zyada kare tu bat ban sakti ha baqi chezo ko agr hum log chere tu mulk ka payyaa ruk sakta ha awam se zyada se zyada tax collect keia jaye ayr os se alag alag factories laga deia jaye aur apni export ko barhaya jaye , ek side pe awam ko kafi mushkil hogi per dusri taraf jobs be ayenge , per asal bat ye ha ke kia shafaf tareqe se ye tax use honge ya pir ye be janyenge enke Swiss bank ke accounts ma .

Hamza2424
Legendary
*
Offline

Activity: 1680
Merit: 1146



View Profile WWW
June 16, 2026, 06:57:23 PM
 #32266

Bilkul bhai hr kese ki apni majboriyan hy hum unko judge nahi krsktay baaqi bykea k through bike chalana i also know k buri bt nahi hy rizq halal kamanay ka aik source hy lekn agar bike he chalana hy in future toh banda 16 saal education py q waste krta hy 16 years aur sath mein lakhon rupay zaya kro aur phir end mein bike py sawariya kro it doesnt make sense. Allah hum sb ko halal rizq ataa krnay ki taufeeq dy aur humaray mulk pakistan k halat ko behtar karay. Ameen. 
yaar baat yeh hai ky education importance apni jagga hai, bndy ko teacher biwi mil gai agr unpadh hota to kisi ny apni padhi likhi biwi deni bi nhi thi yeh apna riwaj hai agr wo unpadh hota or bahir mazdoori kr rha hota to isy bi an padh hi milni thi or jitni uski umar batao ja rhi hai yeh to hain bi purani generation to tb to baat bi badhi hoti thi padhai ki agr apka beta ya beti padhi likhi hoti thi to us ky liya padha likha rishta hi zarori hota tha.

Ab rhi baat ky kya sirf rishty ky liya hi padhai ki jai ab, bnda wesy na padhy to uska jawab yeh ahi ky padhai bohat si jagoo pr kaam a jati hai mai padhi ki waja sy hi bahir aya hoo or agy ka kuch idea nhi hai haha ky zindagi kaha ly jai gi bs yeh hai ky mehnat nhi chodhni hai agr mehnt chdhy gy to baat nhi bny gi.

hamari education ki demand ab bohat km hoti ja rhi hai, ap kai logo ko khty suny gy ky education is not important although iski important agr na hoti to hamara mulk yaha tk na pnchta ha education my agr sirf theory hai practical nhi hai, bnda jo padh rha hai wo bi practical nhi kr rha to basically he is wasting time. mai ny bi uni life guzari hai mery batch ka hr bnda bndi economy my contribute kr rhy hain.

lkn future ka kisi ko pta nhi hota, ab yeh khna asan hai ky yaar 16 saal padha kr bi yeh kaam krna hai to na hi padhty. lekin hr bndy ko wo padhai kaam deti hai, chahy jo mrzi hai.

▄▄████████████████████▄▄
▄███████▀▀██████▀▀███████▄
████████████████████████
████████▄▄██████▄▄██████

████████████████████████
██▄▄█████████████▄▄██████
██▀▀██████████████████▄▄██
██████▀▀██████████████▀▀██
██████████████████████████
██████▀▀██████▀▀████████
████████████████████████
▀███████▄▄██████▄▄███████▀
▀▀████████████████████▀▀
 
 DΞX.fo 
▄▄██████
█████████
██████████
█████████
██████████
█████████
▀▀██████

▄███████
▄██████████
████████████
█████████████
█████████████
|
▄▄█
▄████▀
▄███▀
▄██▀▄██
█████▀▀
███████
████████
▀██▄████
▄████▄▄
▄█████▀███
▄█████▀████
█████▀███████
▀██▀█████████
|  BTC     XMR  
  DAI     LTC  
   Fees  0.8%    
Abdul Sami786
Jr. Member
*
Offline

Activity: 56
Merit: 13


View Profile
June 16, 2026, 07:41:37 PM
 #32267

Happy Islamic New Year


Assalamu Alaikum

Jaisa ky ap sab janty hain aaj Pakistan main Muharram kaa chaand nazar agya hai. Or abhi Maghrib ky baad officially Islamic New Year start ho gaye hai.

Ham dusra Happy New Year to mnaty hi hain. To main ny kaha ye bhi community main share karna chahye ye sab sy zaroori hai. Or asal main hamara islamic year issi sy hi shuru hota hai.

Or main apni saari Pakistan community ko iss naye islami saal ko bohat bohat Mubarakbad paish karta hun. Or dua karta hun ky ye Islami saal ham sab ky liye khushyan or sukh ly kar aaye. Or Allah hamary Mulk e Pakistan ko din dogni raat cho guni taraqi ataa farmaye. Allah ham sab ki life ko khushyon sy bhar dy.
Walikumaslam Bhai bht acha Kiya shere Kar ke is new year or yahe phele month bht shahadaten hui hain ye month soog ka hai 9 or 10 ka roza rakhane ka bht sawab hai  Islamic new year hum sub ke Liye khero barkat ka pegam laye is naye Saal ke phele machine he Jin Jin ki nek hajat puri ho ALLAH TALA AP ki Zindagi or humari sub ki Zindagi khushiyan or kamiyabiyan se bar de Ameen.

Is naye Saal Hume taqawa or nekiyan se bar de ye Saal aman or sakon or khushiyan Wala ho or Jin Jin mulkh me zulm ho Raha hai ALLAH pak is naye Saal me rehem farmaye is naye Saal me Hume ALLAH pak mazed nekiyan or din or Islam me mazboti ata farmaye AP or ap ke ghr walo or ahle khana ko ye Naya Saal bht bht Mubarak ho Bhai g.
JunaidAzizi
Hero Member
*****
Offline

Activity: 1274
Merit: 627



View Profile WWW
June 16, 2026, 07:52:20 PM
 #32268

Bilkul bhai hr kese ki apni majboriyan hy hum unko judge nahi krsktay baaqi bykea k through bike chalana i also know k buri bt nahi hy rizq halal kamanay ka aik source hy lekn agar bike he chalana hy in future toh banda 16 saal education py q waste krta hy 16 years aur sath mein lakhon rupay zaya kro aur phir end mein bike py sawariya kro it doesnt make sense. Allah hum sb ko halal rizq ataa krnay ki taufeeq dy aur humaray mulk pakistan k halat ko behtar karay. Ameen. 
Je je bro ma apki bat ko samaj sakta hun per asal ma hum logo ne ghalat mind set baya huwa ha aur ss wJa se hum log taraqee he nahe kar parahe . Zyada tar logo ko apne daika hoga paiso ke leye education hasil karte hain aur akher ma un ke pas kuch nahe hota per dusri janeb agr hym daik le ke agr koi aysa banda ha jo kuch naya karne ki soch ma laga huwa ha os ko paiso.ki.koi.fikar nahe ha wahi vanda kamayab be ban jata ha aur sub much os ke pas hota ha

Kehne ka maqsad ye ha ke education hame ache bure ma tameez sekati ha hame janwaro se.alag karti ha hame batati ha ke ye cheez q ha aur kia waja ha es ki hone ki agr education ke asal matlb ko chor kar ham serf paiso ke bare ma soche tu hum pir yahi essi trah sara ka sara paisa waste kar ke bykeia chalayenge.

GbitG
Hero Member
*****
Offline

Activity: 1526
Merit: 625



View Profile WWW
June 16, 2026, 11:58:44 PM
 #32269

Happy Islamic New Year


Assalamu Alaikum

....
Wa Alaikum Salam....!!!!

Sab saa pahlaa to maa all members ko new years hee Mubarak badee dongaa. Hamra  ajj 11 Muharam UL Haram 1448 start ho chukee haa. Yaa sir new years nahi haa balkaa Ak zindigi kaa agaz haa. Allah naa hama Khush quismatee saa year kaa agaz he iss month saa Dee jo Islamic history ka sab saa behtar month haa Yani kaa Muharam.

Kabi kabhat sochtaa hoon ka yar itee khoobsorat month saa year kaa start Allah naa hamaa Dee haa but sath maa jab Karbalaa yad atee haa to pir Dil khoon kaa ansoo rotaa haa kaa yar inn zalmoo naa isee blessings month maa Junat kaa saradro koo zabaaa keyaa..... 🥹🥹🥹

Allah kee Lanat hoon un Zalmoo par (Ameen)

So hama b na sir new years celebrate karana caheyaa balkaa in (A.S) kaa wo mission koo ongoing karnaa cehyaa q kaa unho naa iss iss mission Yani Islam koo bachana ka leya apnaa sara bachaa zabaa keyaa. Ho hama b uss ko Zinda rakhnaa cehyaa

Publictalk792
Hero Member
*****
Offline

Activity: 1064
Merit: 681



View Profile WWW
Today at 12:51:48 AM
 #32270

Assalam o Alaikum kesay hain ap sab umeed krte hn khairiat say Hon gay manay abhi abhi daikha hai k Bitcoin pizza day thread ki voting live ho chuki hai jis may har banda apni psnd k 5 pizzo ko vote day skta hai iski last date 5 July rat 23:59 bjy tk hai jaisa k ap sab jantay hai k Pakistani community may say Kafe saray logo nay is contest may participate Kia hai humay chaheyay k apna Keemti vote daynay say phlay apni community may jitnay logo nay pizza day may participate kia Hua hai un sb ki pictures ko aik dfa daikh lain or us k bad Bitcoin Pizza Day contest may majood 146 members k pizza's ko b watch keray us k bad un sab may say jiska pizza apko best lgy un 5 pizza's ko vote keray or meri ap sab say request ha k jis jis k pas 50 ya 50 say plus merits hai un may say koe b apna vote zaya mat keray yeh vote Allah ki trf say amanat hoti ha isko sahe haqdar tk pohnchana zaroori hota hai isleyay humay chaheyay k hum apna vote puri Iman Dari say cast keray meray merits 50 say km honay ki wja say ma vote cast nhi kr skte han lkn apni rayay zaror day skte hn agr meray pas vote daynay ka haq majood hota to ma (2,29,75,124,144,) pizza's number ko vote krte apka meri choice k baray may kya khayal hai or ap sab ka kya plane ha ap kon kon say pizza's ko votes kr rhy hai

وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ

Bilkul voting Shuru ho chuki hy. Or my to sidhi si BAAT Hy apni community ko hi support Karun gaa or entries apni community Ki bohat achi hen. To my vote Abhi to nai Karun gaa. Lekin thora wait Karun gaa. Dekhny gaa kiss kaa palla bhaari Hy or Kaya Nizam Chal raha hy. To dekh KY hi vote Karun gaa.

Happy Islamic New Year


Assalamu Alaikum

Jaisa ky ap sab janty hain aaj Pakistan main Muharram kaa chaand nazar agya hai. Or abhi Maghrib ky baad officially Islamic New Year start ho gaye hai.

Ham dusra Happy New Year to mnaty hi hain. To main ny kaha ye bhi community main share karna chahye ye sab sy zaroori hai. Or asal main hamara islamic year issi sy hi shuru hota hai.

Or main apni saari Pakistan community ko iss naye islami saal ko bohat bohat Mubarakbad paish karta hun. Or dua karta hun ky ye Islami saal ham sab ky liye khushyan or sukh ly kar aaye. Or Allah hamary Mulk e Pakistan ko din dogni raat cho guni taraqi ataa farmaye. Allah ham sab ki life ko khushyon sy bhar dy.
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ

Bilkul Bhai Aaj islami saal kaa pehly din Shuru ho Gaya Hy. Or my ap Ki duaon par dill sy aameen kehta hun. Hamary mulk KY halaat to filhaal bohat kharab hen or ye Kissi taraf kaa BHI Rukh kar sakty hen. To dual yehi Hy KY Jo yee Aaj Kal power KY nashy my dhut log mulk my qatlo Gharat kar rahy hen Allah in sab ko in KY anjaam tak pohnchaye or Allah sab Ki hifazat farmaye. آمین

█████████████████████████
███████▀▀███████▀▀███████
█████▀░░▄███████▄░░▀█████
███▀░░██████▀░▀████░░▀███
██▀░░▀▀▀████████████░░▀██
██░░█▄████▀▀███▀█████░░██
██░░███▄▄███████▀▀███░░██
██░░████████████████░░██
██▄░░████▄▄██████▄▄█░░▄██
███▄░░██████░░████░░▄███
█████▄░░▀███░░▐▀░░▄█████
███████▄▄███████▄▄███████
█████████████████████████
.
 ROOBET .██████. BET ON WORLD CUP  🗺 ⚽︎.██████.
|

█▄█
▀█▀
████▄▄██████▄▄████
█▄███▀█░░█████░░█▀███▄█
▀█▄▄░▐█████████▌▄▄█▀
██▄▄█████████▄▄████▌
██████▄▄████████
█▀▀████████████████
██████
█████████████
██
█▀▀██████████████
▀▀▀███████████▀▀▀▀
|.
   BET NOW   
Fragrance1122
Jr. Member
*
Online Online

Activity: 42
Merit: 5


View Profile
Today at 07:44:57 AM
 #32271

Happy Islamic New Year


Assalamu Alaikum

Jaisa ky ap sab janty hain aaj Pakistan main Muharram kaa chaand nazar agya hai. Or abhi Maghrib ky baad officially Islamic New Year start ho gaye hai.

Ham dusra Happy New Year to mnaty hi hain. To main ny kaha ye bhi community main share karna chahye ye sab sy zaroori hai. Or asal main hamara islamic year issi sy hi shuru hota hai.

Or main apni saari Pakistan community ko iss naye islami saal ko bohat bohat Mubarakbad paish karta hun. Or dua karta hun ky ye Islami saal ham sab ky liye khushyan or sukh ly kar aaye. Or Allah hamary Mulk e Pakistan ko din dogni raat cho guni taraqi ataa farmaye. Allah ham sab ki life ko khushyon sy bhar dy.
Walakumsalam Sir! Islamic new year aap ko bhi buhat buhat Mubarak ho. Muharram ka machina 4 hurmat walay maheno may say aik hay. Is mahenay may naiki ka sawab bhi zyada hay or gunah ki saza bhi. Ramzan Kay mahenay Kay rozon Kay baad iss mahenay may rozay rakhnay ka sawab zyada hay specially 9 or 10 muharram ko. Allah taala sab musalamano ka haami wa Nasir ho.. ameen
snowpega
Sr. Member
****
Offline

Activity: 966
Merit: 406



View Profile WWW
Today at 08:06:51 AM
 #32272

Happy Islamic New Year
...
Assalamu Alaikum
...
Or main apni saari Pakistan community ko iss naye islami saal ko bohat bohat Mubarakbad paish karta hun. Or dua karta hun ky ye Islami saal ham sab ky liye khushyan or sukh ly kar aaye. Or Allah hamary Mulk e Pakistan ko din dogni raat cho guni taraqi ataa farmaye. Allah ham sab ki life ko khushyon sy bhar dy.
Wa Alaikum Aslam!

Dear Kiya hal hai apka? umeed karta ho ap theek thaak aur khair kheriyat sy honge. Ya neya saal hai aur ya bohat achi baat hai apne poori community mai es post ki awareness ko spread kiya Allah apko jazza dy. Acha apko bhi maloom hai ke ya maheena kis waja sy khass hai aur mashhoor hai. Es maheenay mai hamaree payaree Nabi SAW ke ladly nawasy Hazrat Emam Hussain R.A ki shahadat es maheenay mai howie thi 10 muharam walay din. To hamain chaheya ya maheena hum zayada sy zayada zikar azkaar mai guzarain aur fazool cheezo sy ejtanab karain like social media wageraa Allah Pak hamain zayada sy zayada zikar karnee aur fazooliyat sy door rehny ki behtreen tofeek ata farmayee Ameen!

Allah Pak es Maheenay ke sadkee hum sabke tamam kabeera aur sageera gunnah mauf farmayee aur hum sabko behtreen aur serat e mustakeem ka rasta dekhayee, Allah Pak hum sabke rizak e halal mai behtreen azafa farmyee, jo pareeshan haal hain onki pareeshaneyaa dor farmayee, Jo beemaar hai onko sheefa e kamilaa ata farmayee, Aur jo mai nhi maang saka hum sabkee liya jo behtr bhi ho hum sabke liya Allah Pak bin mangee ata farmaa dy Ameen Sum Ameen Ya Rab ul Alameen! Baki apko bhi neya sal mubarak ho.


██████▄▄████▄▄░
███▄████▀▀▀▀█░███▄
▄███▀████████▀████▄
▄███████████████████▄
█████████████████████
█████████████████████
█████████████████████
▀███████████████▄▄▀▀
▀███▄████████▄███▀
███▀████▄▄▄▄████▀
██████▀▀████▀▀
█▀▀▀▀











█▄▄▄▄
▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀▀
.
Bitcointalk Archive 📚
Visualization ' Search

.
▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄▄
▀▀▀▀█











▄▄▄▄█
Sawera2255@
Jr. Member
*
Offline

Activity: 42
Merit: 12


View Profile
Today at 08:11:38 AM
 #32273

Happy Islamic New Year


Assalamu Alaikum

Jaisa ky ap sab janty hain aaj Pakistan main Muharram kaa chaand nazar agya hai. Or abhi Maghrib ky baad officially Islamic New Year start ho gaye hai.

Ham dusra Happy New Year to mnaty hi hain. To main ny kaha ye bhi community main share karna chahye ye sab sy zaroori hai. Or asal main hamara islamic year issi sy hi shuru hota hai.

Or main apni saari Pakistan community ko iss naye islami saal ko bohat bohat Mubarakbad paish karta hun. Or dua karta hun ky ye Islami saal ham sab ky liye khushyan or sukh ly kar aaye. Or Allah hamary Mulk e Pakistan ko din dogni raat cho guni taraqi ataa farmaye. Allah ham sab ki life ko khushyon sy bhar dy.



Walaikum Assalam Sir Cryptoyar apnay yeh msg Pakistani community may share kr k bht acha kia Pakistani community may Islamic new year k baray may share kia jaisa k hum sb jantay ha k Muharram k maheny say hmara real Naya Sal start Hota hai lkn hum isko English year ki trha celebrate nhi krtay q k yeh bht Adab o Ehtram ka maheena hai lkn humay yeh zaror krna chaheyay k Ibadat ,naik duaon or hajat k sth islamic nayay Sal ka aghaz keray jo k bht he ba barkat hai Allah keray k  hmara yeh Naya Sal hmaray leyay bay had khushia layay or sb ko Affiat o slamti wali zindage day or apny hifzo aman may rakhay ( Ameen Sum Ameen).





وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ

Bilkul voting Shuru ho chuki hy. Or my to sidhi si BAAT Hy apni community ko hi support Karun gaa or entries apni community Ki bohat achi hen. To my vote Abhi to nai Karun gaa. Lekin thora wait Karun gaa. Dekhny gaa kiss kaa palla bhaari Hy or Kaya Nizam Chal raha hy. To dekh KY hi vote Karun gaa.


Sir Publictalk792 mjy yeh Jan k bht Khushi hoe k ap Pakistani community k logo ko support keray  gay or apna qeemti vote b dain gay mjy lgta ha k hmari community may majood logo ko chaheyay k wo apni community k participants ko support keray or humay chaheyay k hum apna vote jald az jald cast keray ku k kafe saray log aesay hotay hai jo dusro k votes ko daikh k apna vote cast krtay hai zyada tar log aesay b krtay hai k Jin logo ko zyada vote cast huay ho unko he vote kr daytay hai isleyay humay chaheyay k hum apna vote jald az jald cast keray jis say hmari community k participants ko is cheez ka b faida hasil ho sth humay chaheyay k apni community k participants ko itna zyada support keray k at least 2 say 3 position hmaray thread k participants ki ho or yeh hmaray thread k leyay bht zyada fakhar ki bat ho ge.Jazakila.........



BitcoinPak
Member
**
Online Online

Activity: 127
Merit: 60


View Profile
Today at 08:41:09 AM
 #32274

PVARA Proposes 10 Crypto Licenses:

Aaslam-e Aalikum Pakistan Virtual Asset Authority PVARA ne Virtual Asset Services Regulations 2026 ka draft jari kar diya h aur industry se feedback bhi talab kiya hai. Nai regulations ke according Pakistan m kaam karne wali tamam crypto companies ko PVARA se licence lena hoga, jabke mojooda companies ko compliance ke liye 6 mahine ka waqt diya gaya h. Draft m 10 mukhtalif licence categories shamil hain jin m exchanges, custody providers, asset managers aur token issuers waghera shamil h. Is ke ilawa wo foreign exchanges jo Pakistani users ko target karti h unhein bhi local authorization hasil karni par sakti h. Regulations me KYC, AML cybersecurity, customer protection aur risk management ke sakht usool rakhe gaye hain. Stablecoins ke liye 100% reserve backing aur customer funds ko company funds se alag rakhna bhi lazmi hoga. Yeh qadam Pakistan crypto industry par restriction lagane ke bajaye usay formally regulate karke financial system ka hissa banana chahta h


Source
Pages: « 1 ... 1564 1565 1566 1567 1568 1569 1570 1571 1572 1573 1574 1575 1576 1577 1578 1579 1580 1581 1582 1583 1584 1585 1586 1587 1588 1589 1590 1591 1592 1593 1594 1595 1596 1597 1598 1599 1600 1601 1602 1603 1604 1605 1606 1607 1608 1609 1610 1611 1612 1613 [1614]
  Print  
 
Jump to:  

Powered by MySQL Powered by PHP Powered by SMF 1.1.19 | SMF © 2006-2009, Simple Machines Valid XHTML 1.0! Valid CSS!