Today Happy Father's Day
Aj ka din bohat hi khass ha beshak ye islamic calender se match nai krta Magar Europe culture se ha to is me apny hi father Ki Khushi bayan krni ha Jo ky Har aik Bety ky liye Khushi hoti ha. Baap vo hasti ha Jo APNI olad ky liye doop or Sakti garmi me bi Kam krta ha. Apny olad ky liye bohat kuch krta ha jab vo baap banta ha to vo APNI Har Khushi ko qurban or deta ha or APNI olad ky liye behtar zindagi banany ky liye din rat Kam krta ha. Baap BHuk bardshat KR leta ha Magar APNI olad ky liye rat ko kana lye kr zaroor ata ha. Baap Ki Kadar hamesha usky Marny KY bad hi milti ha Magar Jo zinda me bi apny baap ky sath piyar krty ha un se galy milty ha vo bohat Khush naseeb ha. Baap ky sath 1 hug krna aik Bety ky liye waqai hi me kafi mushkil hota ha Magar usko kawaish hoti ha ky vo apny baap KY sath hug kry or usky sath apny Duk suk share kry. Jin ky baap ha Allah unka saya apny biwi bacho per qaim raky or jinky baap is dunyia me nai ha Allah unko jannat UL firdos me ala mukam ata farmaye ameen. Happy father's Day all members.
I am not a father, but a son. Never celebrated this day, my father even don't celebrate this day haha. But bro apka paigam acha tha or wesy bi yaar ma bap ka koi din nhi hota unka bagair to koi din nhi hota hr din hi un sy hi hai. Olad walidain ki farmanbardar honi chahiya bs, or hr roz un sy adab, salook, sy baat krni chhaiya. Ajkl jahliat bohat zyaada dekhny ko mil rhi hai social media ki waja sy ku ky hr video to foran share ho jati hai kesy aik baap zameen ky liya apny olad ko maar rha, or olad zameen ky liya baap ko maar rha.
Abhi haal hi ki kbhr suny ko mily ky taqreebn 70 sala baap ny apny 45 tk age ky bethy ko maar dia zameen ky pichy yaar bohat afsoos hota hai lekin duniya mai jaha burai hai waha achai bi hai or hamain sbq seekhna chahiya.
Ku ky walid janat ka darwaza hai or hadees my ata hai ky jis ny baap ko razi kiya us ny Allah ko razi kiya or jis ny Baap ko naraz kiya us ny Allah ko naraz kiya. (Sunan At-Tirmidhi: 1899) Baki fr to pichy kuch bachta nhi hai ab is pr bnda jitni marzi lmbi baat kr lay utni hi km hai
Allah pak sbhi ky walidain ko Sehat or tandurusti wali lmbi zindagi ata frmy or jin ky walidain mai sy koi wafat pa chuky hain unhy jannat ul firdoos my ala muqam ata frmy ameen.