Bitcoin Forum
October 27, 2026, 11:17:28 PM *
News: Latest Bitcoin Core release: 31.1 [Torrent]
 
   Home   Help Search Login Register More  
Pages: « 1 ... 1717 1718 1719 1720 1721 1722 1723 1724 1725 1726 1727 1728 1729 1730 1731 1732 1733 1734 1735 1736 1737 1738 1739 1740 1741 1742 1743 1744 1745 1746 1747 1748 1749 1750 1751 1752 1753 1754 1755 1756 1757 1758 1759 1760 1761 1762 1763 1764 1765 1766 [1767]
  Print  
Author Topic: Pakistan  (Read 7323680 times)
snowpega
Hero Member
*****
Offline

Activity: 1092
Merit: 548


AntiSwap.io - NO AML/KYC EXCHANGER MONITORING


View Profile WWW
Today at 06:44:52 PM
 #35321


Assalam-o-Alaikum WaRahmatullaahi WaBarakaatuhu!

Just joining the discussion, dear. Acha, Hamza, jo baat aap kar rhy ho. Main bhi dekh rha tha social media par ke isreal main elections ho rhy hain, aur ya enkashafat kiya jaa rhy hain ke netenyhu ke jeety ke chances bohat kum nazar aa rhy hain. Aur chnaces zayda hain ke opposition jeet jaye. Khair main ny to es news ko etna follow nhi kiya. Agar ap dono main sy kesi ny kiya hai to mujy bhi update kar dain. Acha baki mujy ya bhi zara batiayeega jo banda opposition main hai wo bhi eshe tarha ka same banda hai ke osko acha consider kiya jaa rha hai as compare to netenyahu? Agar to wo bhi same type ke banda hai aur oske anay sy bhi genocide he hoga to belive me i don't give a shit about it. Bohat saray masoom loog, bachy bazurg, apni janain gawa chuky hain es jung main. So, mari dua hai Allah Pak Muslim umma ki hefazat Farmayee, Ameen!

Cheema02
Hero Member
*****
Offline

Activity: 1302
Merit: 740



View Profile
Today at 06:52:15 PM
 #35322

Iran Says America No Seriously in Talks and Rejects Nuclear Allegations

AssaslamO alaikum
All community member are good
Iran KY Foreign Ministry spokesperson Esmaeil Baqaei ne 26 October 2026 ko kaha ke America negotiations ke hawale sy serious nai ha or diplomacy ke bajaye Iran par apni shartein thop raha hai. Iran ne nuclear weapons banane KY American allegations ko bhi reject kiya or kaha ke in ilzamat ko military action justify karne ke liye istemal Kiya ja rha ha. Iran ne Britain France or Germany ke role par bhi tanqeed ki or kaha ke filhal Europe ki taraf se negotiations KY liye koi nayi wazeh proposal nahi mili. Is surat-e-haal mein America or Iran ke darmiyan diplomatic talks mein rukawatein abhi bhi barqarar hain. link
Walikum Salam Allah pak ka shukar hai bhai America aur Iran ke darmiyan ye sirf nuclear program ka issue ni balky regional influence or security aur economic pressure ki bhi game hai. America chahta hai ke Iran apne nuclear program par sakht restrictions accept kare or osy band kar rahy jabke Iran isy continue krna chahat hai or wo kasi surat is par compromise ni karna chahta hai. Europe is situation ma important role play kar sakta hai but America aur Iran ke darmiyan trust ki kami diplomacy ko mushkil bana rahi hai. Is geopolitical tension ka asar oil prices par para jo kha 100$ pe barel sy bi oper chali ge hai or global trade aur Middle East ke stability par ba par raha hai. I think military pressure ke bajaye america or iran ki negotiations aur agrement hi long-term solution de sakti hai warna iska nuqsan sirf dono countries nahi balky puri duniya ko uthana par sakta hain

Fragrance1122
Member
**
Offline

Activity: 168
Merit: 14


View Profile
Today at 06:52:58 PM
 #35323



W salam
Mere khyal main Pakistan our Afghanistan ke talook ko mazbot karni ka lia ak dosre par barosa karna hai or security ki masli ko Hal karna Zarore hai or ye dono mulko ka aman ka lia zarore hai Pakistan or Afghanistan ke ak log hai ak ki Mosam hai or dono Muslim country hai iske liwa har kisam ki maghdanyt sa mala Mal hai or sab se bara masla tejarat ka hai jb koi masla hojata hai to border band hojata hai or logo ke lako ke nuksan hojate hai dono mulko ko mughida hona chahia jis ma tamam rules hongye or is par amal karna be zarore hai to es se dono mulko ko faida hoga ga or logo ko rozgar mila ga.
Brother ap ke bath bhi tek hai magar mujhay lagtha hai ky ye afghani logo ky dil kabhi bhi pakistanio ky liye saaf nahi husaktay.Jes tarah india paksitan ka dushman hamesha rahega ose tarah ye Afghanistan bhi pakistan ka dushman hamesha rahega.Ye Afghanistan aik bhut bara namak haram mulk hai,Is mulk may sirf in ky political people or army nahi bal ky is mulk ky tamam log Pakistani logo say nafrath karthay hai.Ye asay log hai ky agar inka bas chaltha thu ye Pakistan ku Palestine bana dengay.Mujhay nahi lagtha ky Pakistan or Afghanistan ky relations kabhi bhi tek hongay.

May aapki baat say 100 feesad itefaq karta hun.. Meray aik dost ka shop hay nowshera road par aik market hay jisko log sherinkoto kehtay hain.. Wahan par Afghani log buhat hay.. Mera dost kehta hay ka Afghani yahan karobar krtay hain lekin kabhi bhi Pakistan ka acha nahi kehtay.. Doosri baat agar meri or aapki dosti hay or beech may Afghani agya dosti may tho 2 din baad wo dosti dushmani may tabdeel hojayegi.. Inkay nature may sharpasandi hay.. Usnay aik afghani kay sath qist bhi shuro Kya tha or ab wo bhag gya hay..

Khair may phir bhi kahunga k musalman hay tho isliye qadar karni chahiye kyunke aik muslman doosray muslaman ka bhai hay.. Bs ihtyat kay sath unkay sath mamilat thay krnay chahiye..
AgriTrack
Full Member
***
Offline

Activity: 686
Merit: 178



View Profile
Today at 08:04:37 PM
 #35324

Aslamualikum umeed hai ke AP sub member thek ho ge AJ me ne logo se b suna or social media pe b dekha hai Socha ye sub member ko btaya jaye Jo ke E-Taxi Scheme Jo mariyam Nawaz sharif sahiba Punjab Government tarf se lonch Kar di Gai hai Jo koi sood nahi asan kiston ke sth de Rahe hain sub se bari Khush khabari UN ke Liye hain Jo karate gi Kari le ke chalate hain faida in ko zeyada hai or or sub ke Liye b Khush khabari hai Jo nahi le sakta wo asani se le sakta hai Is scheme ka maqsad logon ko electric taxi ke zariye rozgar ke naye mauqay dena hai Electric vehicles ka istemal barhne se fuel ke kharch me kami or environment ko behtar banane me b madad mil sakti hai Mere khayal me agar is scheme ko transparent tareeqe se implement kiya jaye to bht se logon ke liye rozgar ka acha zariya ban sakti hai AP logon ki kya raaye hai Kya Punjab Government ki E-Taxi Scheme aam logon ke liye faidemand sabit hogi .
Wa Alaikum Assalam warahmatullahi wabara katuhu, E-Taxi Scheme aik acha qadam ha lekin iski asal kamyabi is baat par depend kartie hy ke ye kitni achi tarah chaltie ha. Is se pehlie bhi Shahbaz Sharif ke daur mein taxi scheme shuru hui thiee lekin wo zyada kamyab nahi ho sakie. Ab dekhna ye hai ke Maryam Nawaz Sahiba ki government is scheme ko kis tarah chalate ha. Is scheme mein 1100 electric taxis denei ka plan ha jin mein 1000 fleet owners aur 100 individual drivers ke liyee ha. Government down payment mein bhi madad karegi aur baqi raqam asan qiston mein ada karni hogie.

Lekin charging stations, battery aur maintenance jaise masail ko bhi dekhna hogie. Miera khayal se agar government ne in tamam cheezon ka sahi manage kiya to ye logon ke liye rozgar ka acha zariya ban sakte ha. bro jab mulk mein itne log rozgar ke liye pareshan hain to sirf 1100 taxis hi kyun is scheme ko mazeed barha kar ghareeb logon ke liye zyada mauqay kyun nahi paida kiye jatei ha?

HustleZ
Full Member
***
Offline

Activity: 448
Merit: 220


While they gamble, DCA.


View Profile
Today at 08:50:12 PM
 #35325


Assalam-o-Alaikum WaRahmatullaahi WaBarakaatuhu!

Just joining the discussion, dear. Acha, Hamza, jo baat aap kar rhy ho. Main bhi dekh rha tha social media par ke isreal main elections ho rhy hain, aur ya enkashafat kiya jaa rhy hain ke netenyhu ke jeety ke chances bohat kum nazar aa rhy hain. Aur chnaces zayda hain ke opposition jeet jaye. Khair main ny to es news ko etna follow nhi kiya. Agar ap dono main sy kesi ny kiya hai to mujy bhi update kar dain. Acha baki mujy ya bhi zara batiayeega jo banda opposition main hai wo bhi eshe tarha ka same banda hai ke osko acha consider kiya jaa rha hai as compare to netenyahu? Agar to wo bhi same type ke banda hai aur oske anay sy bhi genocide he hoga to belive me i don't give a shit about it. Bohat saray masoom loog, bachy bazurg, apni janain gawa chuky hain es jung main. So, mari dua hai Allah Pak Muslim umma ki hefazat Farmayee, Ameen!
Walaikum aslam,

Let me join the discussion too, so i think yeh specifically in elections ke liye war nahin ki ja rahi balke yeh ik bigger goal ka small sa task hai, agar elections or awaam ko khush rakhne ke liye hota to ye sirf Pak-India ke tarha 1-2 hafta chal jata lekin yeh ek mass genocide hai and unke preplanned kaam jis ka main goal greater israel create karna hai for their “messiah” dajjal, hamey quran o sunnat yahi ishara deti hai ke woh greater israel create karengy dajjal ke aamad ke liye, allah hamarey imaan ke hifazat kare or ham sab musalmano ko hidayat de or apne hifz o aman me rakhe, ameen

██ ████████           R O L L B I T      │      THE #1 SOLANA CASINO           ████████ ██
█████████████████████████████████████████████████████████████████
|    5,000+ GAMES    |    INSTANT WITHDRAWALS    |    HUGE REWARDS   |    VIP PROGRAM   |]www.rollbit.com██ ████████           R O L L B I T      │      THE #1 SOLANA CASINO           ████████ ██
█████████████████████████████████████████████████████████████████
|    5,000+ GAMES    |    INSTANT WITHDRAWALS    |    HUGE REWARDS   |    VIP PROGRAM   |
Pages: « 1 ... 1717 1718 1719 1720 1721 1722 1723 1724 1725 1726 1727 1728 1729 1730 1731 1732 1733 1734 1735 1736 1737 1738 1739 1740 1741 1742 1743 1744 1745 1746 1747 1748 1749 1750 1751 1752 1753 1754 1755 1756 1757 1758 1759 1760 1761 1762 1763 1764 1765 1766 [1767]
  Print  
 
Jump to:  

Powered by MySQL Powered by PHP Powered by SMF 1.1.19 | SMF © 2006-2009, Simple Machines Valid XHTML 1.0! Valid CSS!