Jashn-e-Eid Milad-un-nabi (S.A.W.W) Mubarak to Everyone
Assalam o alaikum everyone. Umeed hai sab khairiyat se honge.
Aaj ka din hum sab musalmanon k liye boht special din hai qk aaj k din hamare Aaqa, Sarwar e do jahan, Muhammad Mustafa (SAWW) is dunya k liye rehmat bana kar utare gaye they.. Unke zariye is dunya ko sach aur haq ka rasta mila aur unki puri ummat ko zindgi bhar k liye rehnumai mili.
Hum khush naseeb hain k hum ALLAH k aakhri nabi aur is dunya k sabse behtreen insan k ummati hain jinki puri zindgi adal, insaf, emandari, mukhlisi, aur amanatdari ki behtreen misaal hai aur unke naqshe-e-qadam par chal kar koi bhi insan apni zindgi aur akhirat dono sanwar sakta hai.
Meri taraf se aap sab ko is din ki boht boht mubarakbaad. ALLAH se dua hai k ALLAH hum sabko lambi umar de ta k hum har sal is din ka jashn mana saken aur apne Aaqa Muhammad (SAWW) ki mubarak aamad ko yaad kar saken, Ameen.