Maa ko izzat naa sirf hamary islam ny di hai bal ky har mazhab ny hi Maa ko ek acha darja diya hai.
Or Islam ny to phir walida ko bohat izzat sy nawaza hai. Main kal hi aik baat parh raha tha.
Wo kissi orat ny poocha aik alime deen sy ky.
Islam ny sirf mard ko hi kiyun hakmiyat bakshi hai. Or orat ko hi kiyun mard kaa paband bnaya hai. Mard ko kiyun nahi bnaya.
To Alime deen ny uss orat sy swal kiya batao ap ky kitny baity hain. To wo orat ny kaha ky mairy 3 baity hain. To Alime deen ny kaha.
Daikho Allah ny ap ko sirf aik mard ki ata'at or izzat karny kaa kaha hai. Lekin wahan hi ap ky 3 baiton ko ap ka farmanbardar bhi bnaya hai. Agar wo ap ki izzat nahi karain gy to jahanum main jaayen gy. To soda kon saa faidy kaa hai?
To soda kon saa faidy kaa huwa?
Happy Mothers day.
Assalam-o-Alaikum!
Kiya hal hai brother. Well, mai just topic reading kar rha tha ke kis baat par sab log baat kar rhy hain, Doll ny jo aj topic shuru kiya hai wo acha hai kafi. Aur apny jo ospar story part share kiya hai wo bhi kafi acha laga mujhy. Like, sach mai es cheez ko le kar hamary mashray mai kafi behas hoti hai ke mard ko ki dominator q banay geya hai, q mard he q, Es mai meray payary malik ke taraf sy he koi behtri hoogi like jo nizaam usne banaya agar hum eski khelaaf warzi karain gy to tabahi ka sheekar ho jayeeingy. Jaha Par Allah Rab ul Izzat ny mard ko darajat sy nawaza hain wahe par meray payaray Rab ny orat ko bhi kafi achy darajaat sy nawaza hai. Laikn aj ke mashray ka Astagfirulla amliya ya bun chuka hai mai orat ho to mai bhi mard ki barabri kar skti ho. Mai bhi dominator bun skti ho mard ke samny. Aur yaha he say tabahi start ho jati hai aur gharoon mai mamlaat kharab hona shuru ho jaty hain.
Orat ko apny mard ki izzat karni chaheya aur oska ehtraam aur jo oska mard osko hukam de oska kaha manana chaheya. Aur at the sametime kard ka bhi farz hai ke apni orat ke haqooq poray poray aada karay jiska Deen ny hukam diya hai. Aur es tarha ya system balance ho kr chal skta hai. Allah Pak sabko naik hedayat dy Ameen! Baki aj mother dy hai, wasy to har din he mother aur father day hota hai aur hamain apne maa baap ki izat karni chaheya aur onke sath bhalayee karni chaheya jasiy bachpan mai onho ny hamary sath ki. Onka khayal rakhana chaheya jasiy wo hamara rakhty hain aur thy. Allah Pak hum sabko hamary Maa Baap ke liya naik aur sawaleeha olaad banayee, Ameen!
Happy Mother's Day, Everyone!