Totally agreed, aur ab yeh cheez takreeban adhe se ziada awaam ko samajh agai hai k aese awaaz uthane se kuch hone wala nahi hai qk jo log individually ya chote groups men awaz uthaenge unke sath b wohi hoga jo abitak awaz uthane aur ahtejaj karne walon k sath hota aya hai baqi aur koi farq nahi padhega. Yeh jungle ka nizaam aur yeh dictatorship sirf tab hi khatam ho skti hai jab boht bada inqelab aye, itna bada k saara mulk gharon se bahar nikal aye aur inko bole k agar maarna hi hai toh sabko maaro hum men se koi peeche nahi hatega, jab goliyan chalne lagen toh log aur aage badhen aur bolen sabko maaro. Kitnon ko marenge aakhir?
Well dear ap ny khoob kaha aur yeh bilkul talkh haqeeqat ha agr koi manny ya na maany, British empire jab Kisi koom ya jagga ko Fatah karna chahty toh phaly usko kamzoor karny ky Liya waha ikhtilafaat paida karta komiyat rang aur nasal pa unko divide karty aur yahi cheez unko unite karny nahi daita aur aisy woh km hokar bhi sab par raj karty, so jab woh yaha Hindustan sy Gai toh army ko yaha janisheen Laga diya aur pahly he din sy unho ny cheezo ko control Kiya jinah ko mara phir uski behn aur phir wafadare Pakistan aur jinah ky pro bandy Mujeeb ur Rehman ko hataya jis par hum sy Bangal bhi alag Howa.
So yahi nazriya British ka divide and rule wlaa formula army bhi apply kar Rahe ha, Baloch aur pashtoon ko paisa provide karky Punjabi ky against use kar rahy ha aur at a same time punjabis ya other ko against pushtoon jis sy dono ky beech nafraty bar Rahe ha aur ik dosry ky hakook ky Liya awaz nahi utaa rahy even kush ho rahy hoty ha jab dosry par zulm hota ha, aur yahi cheez ka faida hy ky army still raaj kar Rahe ha jis din army beech sy Nikal gaya muhabaty bar jai ge saare koomy yakja hoky ik pakistani ban jai ge tab in general's ko chupny ki jagga nahi mily ge aur us din inky raj ka khatam hoga. Aur ik haqeeqe Pakistan Jo jinah apny takreero Mai kehta ya wajood Mai ajai ga.