Assalamualaikum! Hamaray Paros May 35 banday Aik hee Khanadan Kay 14 August Ko Hund Par Gaye Thay Sair Krnay Kay Liye.. Sunnay May Aya K Osmay Say Aik larka jis ka Naam Hamza Tha Darya-e-sindh Kay kinaray moj masti kar Raha tha k achanak oska Paoon phisal Gya Or Dekhtay hee dekhtay Wo Darya kay Darmiyan Puhunch Kar doobnay Laga.. Doobtay Doobtay Osnay Apnay Walid ko Awaz Dee k baba..

Baap Shakeel Mandoori Bachay ki bay basi Dekh kar Khud bhi darya may khood Para.. Or isi Tarah unka Jo Bara Beta tha Sharejeel wo bhi unkay Peechay khood para.. or 3no bay raham Mojon ki Nazar hogaye.. Ye nazara unka poora Khanadan Dekh Raha Tha.. Lekin Bay Bas Thay.. Kal in may Say 2 lashain Nikal lee gayee Shakeel or unkay baray betay Sharjeel ki taham chota beta Hamza Abhi tak Laa pata hay.. aap sab ko batata chalun k 2 beton Kay elawa Shakeel ka or koi waris nahi tha sirf do betiyan or aik bewi hay Ghar par.. sochain un par Kya guzar raha hoga

Kehnay ka mtlb ye hay.. k Zindagi buhat khubsurat Hay.. Stay away from streams, rivers and Canals..
Is say aik or sabaq bhi milta hay.. k khoon kay rishtay kaafi Aziz hotay hain.. Apnay Apnay hotay hain..
Walaikum Aslam
Sab se pehly to bohat hi Zada afsos hoa un bacho or shakaz per Jo is tarah Ki mout me ja pary. Allah Sa Ki magfirat banaye Ameen Bhai jis tarah apny bataya ha ye bohat hi Zada afsurda waqia ha. Hamary gar waly hamay swimming pool me nahany Ni jany dety asy me vo farmaya ky qareeb Ty. Allah Sab ko maf kry or akal de ky ham is tarah Ki galtia na kry. Agar to baap or beta apny choty Bety ko bachany ky liye gye to bohat hi achi bat agar vo bi apny bety or Bhai Ki Jan ky badly Jan deny ja rhy Ty to ye bohat hi Zada Galat ha.
Barhal ye bohat hi Zada udas waqia ha is se sab ko sabak Lena chaiye. Agar ham ASI jaga per ja rhy ha to hamay is tarah Ki galtia Ni krni chaiye q ky Jo Cheez ham 2 feet pichy ho KR dek rhy ha vo 2 feet Kam ho KR bi Nazar a rhi ha. Magar Allah mout ko bahany se bulata ha or Kisi na Kisi per dal deta ha.
Baqi Bhai me ny Deka ha ky ap center me likty ha to ap space dalty ha. Itna SAR drd q ap 1 click kry Apka sentence center me ho Jaye ga. Me Nichy Apko pick Laga rha ho or mark KR rha ho. Or code me bi us formula ko lik deta ho ta ky apky liye easy ho Jaye.