PTA ALERT : PHISHING SCAMS
Asslamualaikom umeed hy aap kheriat say hongay. Pakistan telecommunication authority (PTA) nay aik zarori alert share kiya hy taakay online scams or frauds say bacha jasakay. Aajkal kay halat apko pata hee hongay scams or dokay bohot zyada hogay hy kabhi bee kesee kaysath scam hosakta hy ajkal cybercriminals walay fake emails calls ya messages kartay hy or jab aap unki bato may ajatay hy to pir apki personal ya financial information chori karnay kee koshish kartay hy. Isiliyay pta nay kaha hy kay sab say pelay toh ap say koi bee sarkari idara kabhi bee phone calls kay zaryay ya sms, email ka password, pins, bank details ya otps nahi mangtaa. Toh agar aapko kabi unknown number say call ajay ya message aye toh sab say pehlay us number ya os banday ko achy tarah say verify karein or jab verify hojaye toh hee us say communicate karein. Ghair zarori link par click na karein or aapnay tamam accounts waghaira jo bee ho us par strong passwords lagayen kyonkay thori ssee ihteyaat hee apko nuqsaan say bacha sakti hy.
Source Walikum Assalam.
Asal men jo main masla hai wo yeh hai k jo log padhe likhe hain jo thode boht samajhdar hain aur general knowledge rakhte hain k is tarha ke scams bhi hote hain aur log aapko kaise bewakoof bana skte hain call pe, lekin badkismati yeh hai k hamare mulk ki literacy rate jo hai wo boht ziyada nai hai, mere khayal se takreeban 63% ya uske aas paas hai, ab iska nuqsan yeh hai k jo log ziyada padhe likhe nahi hain jinko ziyada in cheezon ki samajh nahi hai, wo log asaani se aese scams ka shikaar hojate hain kyunke scammers bhi roz ba roz smart hote ja rahe hain aur naye naye tareeqe apnane lage hain logon k sath scam karne ke, aur agar aese men koi masoom sa insan ho jo padha likha na ho wo toh phas hi jaega inki baaton men aa ke.
Aur aaj kal toh in scammers ne aek naya drama shoro kiya huwa hai jismen wo logon ki personal details nikalwa k unko call karte hain aur unko kehte hain k wo ya police se hain, ya FIA se, ya kisi bhi aese adaare ka naam lenge jo qanoon nafiz karte hain, aur kisi qareebi insan jaise bhai cousin ya bete ka naam le k bolte hain usko pakad liya hai aur aap falan thaane ya office ajao lekin usse pehle paise mangte hain ya aesa kuch. Mujhe puri tarha andaza nahi hai lekin maine iske baare men posts videos wagera dekhi hain social media pe.