Aslamu Alaikum.
Umeed hai sab sathi achai sai hongai aur apnai payaro kai sath acha waqat guzar rahai hongai in mushkil halaat mai kal sai social media per kuch bahas chal rahi hai Punjab mai targeted police muqablai ho rahai hai aur 2 logo ko maar dia gia hai aik Waseem Abbas kai qatil ko aur aik Laiba Ajaz kai sath scandal kernai walai ko merai hayal sai yai bohut hee galat huwa hai kiunkai qanun ko apnai tareeqai sai kaam kerna chahia takai logo mai qanun kai liai confedence banai na kai ziada hoof phalai.
Pujnab mai jab bee Shareef famili aati hai aisa hee hota hai aur logo ko marwai adalat qatil kia jata hai jo kai kabi bee acha nahi kiunkai is sai kuch bee change nahi ho ga sirf nafrat phalai gee aur mujramo ko mazeed hosla mila ga yai qanun sirf kuch logo kai liai hai baki barai log apnai influence ki waja sai bach jatai hai qanun sab kai liai aik hee hona chahia jis sai sab kai dilo mai is kai barai mai ahtram ho na kai houf.
Aap logo ki kia rahi hai kia yai silsila thick hai ya nahi.
Wa alaikum Salam, well yeh just Punjab Mai nahi KP Mai bhi chal Raha ha aur in recent 5 months Mai CCPO Peshawar ny almost 6 to 8 bary bary mujrimo ko maar diya jinky against already dozen of FIR register te, aur log un sy darty ty, like news sunee ik jagga badmasho ny ghareeb ko ghar rent pa diya aur phir shrab pee ky unky ghar Gai us admi ky smany baite aur biwi ka r***e Kiya, agly din news aye ky woh bandy na Maloom afraad ke firing sy maary Gai, toh yeh I believe definitely ACHA ha as abhi woh Banda ghareeb thoore adalato ky chakar kaathta aur Insaf ussy thoore milna ta as woh ghareeb ta paisa nahi ta uske jaib Mai, so police ny Insaf dilwaya.
Same woh abhi Jo koi yateem bachy ko Lahore Mai ky Karachi Mai ghari ny kuchla aur police ky firing Mai Kuch dino baad woh admi mara gaya toh us bachy ko Insaf mil gaya Jo ky adalat sy possible nahi ta, so police ky aisy step ko Mai definitely appreciate karta hu, I know is sy bad image jata ha, but agr ksii yateem ko iss ghair kanone step sy faida ponchy toh Kya burai. I know kanoon hamesha upper level ko protect karte ha aur police Cha ky bhi Insaf nahi dila skaty abhi agr Kuch positive ho Raha for them against brutal suspect to it's not bad at all.