Dear Gladitorcomeback, apki posts kafi dafa dekhna ka itfaq hua. Mari deeni knowledge boht kam hy is lea ma in behs ko avoid krta hn. Aj ap na jo question raise kae hy ya bilqil he eik non productive behs ke taraf ja rhya hn ap.
Dear Watche Sahib, muje pata nahe k apko ye post q non productive laga. ye Pakistan thread hai aur yaha Shukar hai Allah k ab thak saare Muslaman hee es thread mai hai. hamara deen sirf 10 Muharaam, 12 Rabi ul awal ya saal k chand khad din ya mahine nahe hai balke Islam ek mukammal zabtha hayath hai. Jadeed technology aur taleem hame ye tho batha dethi hai k ye note Jaali hai ya asli magar Halal, Haram k liye hame deen se Roshni lena hoga.
Ap sa request hy ky kuch aisa share krn jis ko parh kr sub ko kuch na kuch fayda ho. Umeed hy ap bura nhi mnyn gy.
Faide tho es post mai bahot ziada hai q k hamara ziada thar kaam online hotha hai aur maal mai ye dikhna zarori hai k maal kaha se aa raha aur kaha kharch ho raha. Baqi dunya k technology wagira wo tho just waqt guzare k leye hai aur asal maqsad tho Dunya ki tmam naimato ko Allah k hukam aur Nabi (SAW) ki tareeqe se estemal Karna hai
ek bari waja ye bee hai k yahi mera field hai aur esi knowledge mai mai laga huwa hoo aur meri koshish hothe hai k jo b faide ki cheez dikhta hoo tho wo mai yaha share karta ho. Ye non productive ka muje mukammal pata nahe chala k es se apki murad kia hai. muje umeed hai meri bathe apko buri nahe lage hoge. ap apne zehen k mutabiq belkul teek honge aur mere faide hee k kiye message kia hoga magar mera post karne aur mera zehen mukhtalif hai .
Monthly Activity Analysis & Report (March)
By: Hamza2424
So coming up next to it baat krte hain top poster kiiii haha so top pe hamre
Sha85 hain with almost 12% haha. 2nd Themepen as expected too finally is baar Umeridress postio 3 pa hain haha bikul bi expected nai that haha agta ha ka is baar prize nai that is waja see umber bhai ne kaha kia faida 1st 2nd ka 3rd le lete hain.
Meri inactive rehne k bad Shan85 ne kaafi acha performance kia hai post k hawale se. quantity aur quality dono mai number le k jaa rahe hai. Bahot afsos huwa k Umer sahib apni consistency kho rahe hai aur jis bath par wo fakhar karte the ab wo na raha.
So random TRX that I think iss baar bi 3 confirm bande Unknown OP, Musa and our topper Shan85.
Congratulations sab ko aur Hamza2424 ka ye work kaafi appreciable hai. es se active members ko kuch na kuch small gift mil jaatha hai. Jab se mai ne yaha posting start kii hai, Unknown Op ko active paya hai aur us waqt shahid wo b meri tarah new the magar aj wo MashaAllah se kaafi tez ho gae hai.
Phelay bar app ny koi kaam ki post ki hay
(just joking)
Ais post ki summary yeh hy k Interest (sood) c bachna chayee kion k Sood bohat c chezioo mein hy jo hum alreay use kr rahaey hein but humein andaza ni jaisa k app nay bataya apni post mein, Asi c credits aur Profit & loss accounts kay baray mein bhi posts kerain takay sab ko knowlegde milay.
Muje Mubarak Bad do SabPehle bar Umer Idrees Sahib se merit hasil kia. mai eska kafi months se wait kar raha tha aur baqi sab ki taraf se tho mil chuke the magar Umer sahib k sides se kuch nahe mel raha tha aur aj wo b achieve huwa.
Ham tho aksar karte rehte hai magar baz ki smaj baz ko aathi hai aur baaz ki dosro ko. apki definition best hai aur ye profit &loss wale k ap k pas i think knowledge ziada ha, agar ap khud post kar se tho hame faida mil jaega.
-------------------
Sawal ko chodain, mujhy to yeh log kuch bi nhi y rhy. like i am making some transactions and yeh log 1 rs bi nhi dy rhy na hi free mint and ne mb wo to kbi kbar dy dety hain but i do not think so that's due to easypasia.
Haha, ap k sath shahid enki koo dushmani ho (Joking) . Asal mai Easypaisa pehle free mints ditha tha 1000 Rs hold karne par aur ab active hai k nahe wo mje ab pata nahe ahr kuch cashbacks sceem b the unki holding walo k leye.
some people kya krty hain ky 1 bndy ny apko qrz diya or apka dil kuch ho gya or ap ny 1 suit ka jodha bi usy diya apni kushi sy to yeh kis zumry my ay ga. like jaiz or najaiz. is pr bi roshni daliya ga. because gift to dy sktain hai na hm log.
G bhai ye tho bahot acha kaam hai balke hadees oar amal hai k usko jo cheez qarz lia ho wo Thora ziada de de ya per koi aur cheez gift de de. bas etna khial rakhe k start mai ye shart na rakha jae per ye mustahsan hai .
حدیث پاک میں ہے : ترجمہ:’’ حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں: ایک شخص نے رسول اللہ ﷺ سے (قرض کی واپسی کا)تقاضا کیا اور( مطالبے میں) سختی کی ،آپ ﷺ کے اصحاب نے(اسے ڈانٹنے یامارنے کا) ارادہ کیا ،آپ ﷺ نے فرمایا: اسے چھوڑ دو کیونکہ حق دار کو مطالبہ کرنے کا حق ہے ، ایک اونٹ خرید کر اسے دے دو،صحابہؓ نے عرض کی:ہمیںاس کے اونٹ سے زیادہ عمر کا اونٹ مل رہاہے (یعنی اس کے اونٹ سے بہتر ہے) ،آپ ﷺ نے فرمایا: وہی خرید کر اسےدے دو ،کیونکہ تم میں بہترین شخص وہ ہے جو قرض اچھی طرح اداکرے،(صحیح بخاری:2390)‘‘۔ اس حدیث کی شرح میں علامہ غلام رسول سعیدی لکھتے ہیں: ’’اس باب کی احادیث سے یہ بھی ثابت ہوتاہے کہ قرض اداکرتے وقت اصل سے زیادہ دینا مستحب ہے، بشرطیکہ اس زیادتی کونہ عقد میں طے کیاجائے اورنہ قرض دینے والے کی طرف سے مطالبہ ہو ،اسی کو حُسنِ قضاء کہتے ہیں،جس کا حدیث میں ذکر ہے،(شرح صحیح مسلم، جلد4،ص:429)