Today's Shutdown a major Problem
Asslam o Alikum dear community i am not sure that what is ongoing in your areas as according to reports its a complete Shutdown so lets see how much time it takes to revive the whole electric system in Pakistan.
~
Question is ka ye kia ha koi Circuit issue, Political card ya phir kuch orrrr i know is pehle bi 10 ghante ka qreeb Short fall howa tha.
Wasalaikum-o-Salam Hamza bhai pehle tu dua hai Allah ap k dada Abu ko sehat ata farmaey. Aameen
Jee bhai jahan tak bat hai power outage ki tu wese tu ye issue grid failure ka he lagta hai han cyberattack bhi ho sakta which I think is rare since Wapda ka system kitna online hai we all know this.
Agar dekha jae tu
Power Grid Failures aik know phenomena hai aur kai bar bahoot baray level pe power outages ho chuki hia.. apnay parosi mulk
India main 2012 main dunya ka sab bara power outage hua jis ki waja se almost 40 caror affect hoey aik tarah 6% of world population. Aur isi tarah 2022 main national power grid failure
Bangladesh main bhi hua jiss main bhi takreban 14 caror log mutasir hoey.
Aur isk tarah k failure India Pakistan k elawa US aur Europe main bhi ho chuke hian... but han ye bhi aik haqeeqat hia ka hamraay hian ye common hai aur un countries main agar aik bar aisa ho tu proper planning ka bad iss ki power investigation ki jati aur make sure karte hian k aainda aisa nah ho. US main 2003 main bahoot bara power failure hua tha jiss main 40 million log mutasir hoey.
Actually power grid failure aik cascading effect hota hia jo control krna bahoot mushkil hota hia... kahan ata hia duniya ki largest working machine is a "Power Grid System"...chahe ho america ho ya Pakistan... Pakistan k power grids bhi isi tarah connected hian aur saray mil k kaam karte hian... hota kia jab koi grid trip karta hai tu us k alternate k tor par us ka load aik backup ya secondary grid pe shift ho jata hia... aur agar secondary grid ye load nah bradasht kar sake tu wo bhi trip kar jata hia... aur iska sar load iss k backup grid pe shift ho jata hia... yani pehle se failed 2 grids ka load jab tesaray pe jae ga tu wo bhi fail hoga yun ye silsila aik grid se hota hua poray mulk main phail jata hia... jab tak manually isko stop nah kia jae... aur phir inko up karna ka system iss bhi complicated hia....sab grids ko individually independent kar k run krna hota hai jiss main multiple levels pe communication aur confirmation chahiye hoti hian aur ye sab process manual hota hai.
Ye cascading failure ki aik example hia Wikipedia se jo power grids failure pe fit aati hia
You can see kese aik node ya grid keh lain k fail hote he load distribute hota hai which causes failure of whole system.
Ye 2016 ka Pakistan Power Grid Map hai
abhi tak ki reports k mutabiq ye failure QESCO region se start hua aur poray mulk mian phail gia.
aur you are right Hamza bhai ham log ab electricity pe bahoot zaida dependent hian... not only us but whole world is deeply dependent on electricity... aur kaha jata hia k agar koi major "
Solar Flare" tu pori duniya ka Electric Grid System aur Tranmission fail jae tu jo insan ko wapis phatar k dur main puncha degi
--------------
Light ka government to yahi kah rhi hy ky frequency ka issue report hua tha national grid ma. Jiske wajha sa pora mulk andharya ma doob gya.
Is sa eik cheez bari clear hue ky hmara eik "single point of failire" exist krta hy. Yani agr koe hmarya national grid ke frequency ko disturb kr dy to hmari light gai. Aur hum na ghalti sa kuch sekhna to hota nahi.
Chalan ma bhe zara dakh lo kal paper ma kya krna hy.
jee isi baat ka tu rona hia... ham log apne failure se sekhate nahi... her kaam main bus temprory solution dhoandte hian aur "jugar" chahiye... agar isi ki proper investigation ki jae aur check balance rakha jae tu future main iss tarah k failures sa bacha ja sakta hia...
--------------
Shahazad Afzal bhai apka is thread py ana aisa he hy jaisa sokhi zameen py barish ho jya. Ap atya hn aur merits ke barish kr ky chalya jata hn.
Uff itna butter... light hia nahi tu butter se germ karne ki koshish kar rahay hian
nahi bhai ab tu Masha Allah ap sab equally merit share karte hia... which makes me so happy aur mere nah hote hoey bhi her achi post pe merits ki barsaat ho rahi hoti hai... wallah makes me so proud... keep it up guys support and encourage each other.
--------------
Ye saara credit Shahzad Sir ko jaatha hai, Mai ne tho Sirf copy kia hai Japanio ki tarah. PC pe java script ki madad ss advance App bnaya ja sakta hai magar is k Liye coding knowledge hona zarori hai Jo mere pas nahe hai. Basic C++ ka tho pata hai magar advance level par nahe gia.
Ye APP Trusted bee hai? AISA na hi koi account chura le.
Bhai Ye Sirf ek Website hai jis ka short shortcut sa ban jatha hai , I think k safe hee hoga.
You are welcome brother... but actually yehi question mere zehn main tha... but maine main thread main nahi pocha... actually third party apps hamisha he dangerous hoti hian specially when you are in crypto related... so avoid any third party unknow apps.
In my case no third party app is needed shorcuts is from apple and that shortcut script is to creates weblink.
But in andriod case it is creating an APK and whats inside apk your don't know unless your download and manually inspect or decode each apk you download everytime. So I will suggest avoid this spcially on those devices jinn pe ap crypto ya apni financial transactions karte hian