Banks, financial institutions: National CERT warns of rising AI-powered cyber attacks
....
Assalam-o-Alaikum WaRehmatullahe Wabarakatuh!
Kiya hal chal hai bhai apka? Acha dear, main ek jagah read kar rha tha ke ek country ka ek bank jiske around 60% users ke funds hack ho gyee hain, jo ke obviously bohat bhari choori hai aur sab users badly affected howay hain. Aur eski waja sy, meri information ke according os country ke president ko resign bhi karna par geya tha. Aur meray khayal main ya kafi concerning thing hai abhi ke liya ke agar asa koi cyber hamla Pakistan par bhi hoota hai to bohat bara nuksaan face karna par sakta hai. I really wish ke asa kabhi koi scene na ho, Ameen. As yahan par zayda awan greeb hai aur logon ny apni jama poonji banks main rakhi hoti hai ya soch kar ke anay walay waqat main ya borhapy main jaa kar ya kaam ayeegi. Aur yahee os country ke logo ny socha hoga. That's sad.
Well, hamain chaheya ke hum apni Banks applications main jaa kar apna 2FA on rakhain ta ke hacker kabhi bhi hamary funds chooori na kar skay. Allah Pak Pakistan ko har kism ke nuqsan sy mehfooz farmayee aur eski hefazat farmayee, Ameen Sum Ameen.