Mere khayal mein abhi market mein jaldi decision lene ke bajaye patience rakhna zaroori hai. Bitcoin ki price par sirf Binance security concerns ya FED rate expectations ka asar nahi hota, market sentiment, liquidity aur global economic conditions bhi important role play karte hain. Main samajhta hoon ke buying opportunity mil sakti hai, lekin falling market mein sirf price low dekh kar entry lena risky hai. Behtar hoga ke pehle market stabilization aur reversal confirmation ka wait kiya jaye. Aap ke khayal mein Bitcoin ka next strong support level kya ho sakta hai?
Donald Trump ki shakast aur Nvidia nai aik dam sai hee market per bohut ziada impact dala hai is sath ab AI bee overvalue qarar dee ja rahi hai jis ki waja sai dunya bar mai uncertainty chai huee hai bitcoin price $65K per hai jo kai na to itna bura hai aur na hee acha laikin phir bee kaha ja sakta hai kai mustahkam hai kiunkai jis tarah kai mamlaat chal rahai bohut ziada chances thai bitcoin $50K tak ja sakta tha.
Crypto mai mamlaat ab jis level per hai waha investment kerna thick nahi hai laikin Bitcoin aik aisee investment hai jo kai kafi bahter hai aur is mai hamaisha hee bahter kai chances hotai kiunkai Bitcoin is waqat kafi stable hai aur is mai ab ziada decline hota nazar nahi aa raha baki investment sai pahlai apni research karai aur sirf itna invest karai jeetna aap afford ker saktai hai.