Yahan Government ki 4 seats hoti hain or application laakhon main hoti hain or aakhir par wo seats kiss ko milti hain definitely un ko jin ki sifaarish tagri hoti hai yaa jo khoob paisa khilata hai.
Well jab population bar jai like government ka paas out of control hojai toh best idea yeh ha ka government bill pas kardy ka ab 2 sa zyada bachy nahi hongy ya 1 bacha toh directly population down to earth hojai ga aur government par burden km hojai ga, aur aisa ha nahi ka log isko tackle kardyngy like har koi Birth certificate banai ga toh agr zyada howy toh punished kardo fine kardo phir Mai daikhta hu kaisy barte ha yeh abadi, but government yeh isliya nahi kar Rahe ha usko zyada bandy chahiya taaky zyada tax collect ho but phir zyada logo ko tackle karny ka Liya koi planning na ho aur yaha hum lack kar rahy ha
Baki Mai toh har ksii ko kehta hu bahir jai even mujy mooka mila waha har kimat pa Chala jauonga as waha mairy rights toh hongy mujy safe clear mahool mily ga Baki sab Kuch nafs ko control karky bacha ja skata ha. Isky ilawa waha apko pay bhi apky skill ka mutabiq mily ga warna yaaha kadr nahi aur that's why behtreen log bahir ja rahy ha aur inke badolat woh countries new invensions karte ha as inky ideas aur skills hi yeh cheezy possible karte ha.
Bro hamare government ko kahan birth control aur in sab cheezon ki parhi hai unka bas chale toh sirf bethe rahen aur awaam pe mazeed tax bills aur naye naye tareeke dhondh k paise nikalte rahen aur apne bank accounts aur foreign bank accounts men bharte rahen taa k jab kabhi nobat aye toh asani se mulk chor k wahan jaa k ayaashiyan kar saken. Inko kahan parhi hai mulk kis haal men hai awaam kis haal men hai aur aesa kia kiya ja skta hai jisse awaam k masle aur mushkilaat hal ho saken, bas apne liye karni hai inho ne jo karni hai, awaam ko sirf bewakoof bana sakte hain aek do roads aur aek adh pul bana lenge aur awaam bolengi waah ji waah kaam toh sirf yahi kar rahe hain, hamari awaam bhi toh bewakoof hai.
Baqi bahar jaane ki jahan tak baat hai toh mujhe nahi lagta k aaj k daur men aesa koi bhi shaks hoga jo kahega k mujhe agar opportunity mile toh main yeh mulk chor k nahin jaonga qk rakha kia hai yahan? Na qanoon hai, na bunyaadi sahooliyaat hain, bas chakki men phis rahe hain hum sab aur Allah se dua kar rahe hain k hamari mushkilaat kam karde qk aek yahi raasta bacha hai bas. Toh main bhi yaqeenan yahi kahonga k jis din moqa mila usi din main yahan se nikalna chahonga aur koshish karonga apni sari family ko bhi nikaal sakon thore arse baad.