[2026] 🍕 Bitcoin Pizza Day 🍕 - Pakistan Community Participant's Raffle Draw
[...]
Sir sir sir... Thora dheeraj rakhain. Hahaha.
Sir paihly ap mujhy reward to mil lainy dain. Abhi to Officially reward bhi nahi mila hai mujhy. Abhi like manager ny 20 tareekh kaa kaha hai wo 20 ko send karain gy reward. Baqi agar sab dy dain gy to main kahin na kahin sy kar hi dun gaa.
Ap ny Uptober bhai ko aaj sham tak kaa time diya hai ap uss ko 19 yaa 20 tareekh kaa time dy dain. Uss ky baad agar wo online nahi aaty to phir jo tareeqa ap ny bataya hai uss ky mutabiq number choose kar li jiye gaa.
Or rahi baat reward ki to main issi haq main hun jo ap ny manage kiya hai. Because agar kissi ky paas kuch jaaye bhi reward to kuch to achi amount ho. Like $15 minimum mairy khayal sy acha Idea hai. Yani almost 4k ban jata hai. To chalo koi suit wagera to aaye normal saa. Hahaha so ap ny jo wand daali hai wo bohat achi hai. Issi ko continue kar dain.