Baki bro, jis hesab sy ap ny apne total funds diversified kiya howay hain, wo ak achi strategy ho skti ha. As agar Allah na kare koi ak exchange compromise ho bhi jati hai, apke baki funds safe rahain. Eske elawa, agar dekha jaye bro, ab to hardware wallets par bhi trust karna konsa asaan kam hai haha. Just se ya Ledger wala case bana hai aur kafi bhari level ki hacking hui hai. Aur baat rahi AI wali to aapki baat bikul darost hai. Main abhi kal ya maybe parsoo Elon Musk ki statement read kar rha tha, jismain wo keh rha tha AI will steal all financial money, not for humans but for itself. Ab ap hessab lagao ya kitna scary hai.
Aur hum ahesta ahesta crypto ke us phase main enter ho rhy hain, jahan par ya kehna bohat mushkil ho geya hai ke haan ab hum proper safe hain. Kya khayal hai?
Acha, lastly ap ya jo prop firms ki baat kar rhy hain, is ke baray mien main ny bhi sunna howa hai laikn kuch idea nhi; like Casey, un ke sath account register karwa skty hai, this or that. Kya hum in firms ko use karty howay international stock market ki trading bhi kar skty hain? Like, Gold, Tesla, SPCX, or all others?
Investor chota ho ya bara agar wo apnai funds diversification kai sath use ker raha hai aur is ki strategy bee achi hai to phir wo kabi bee maar nahi kha sakta kiunkai is waqat jo halaat hai in mai kissi bee aik cheez mai apni investment rakhna kabi bee acha faisla nahi hai apnai funds ko 3 sai 4 hisso mai taqseem karai aur phir is hisab sai use karai wo ap profit bee bana saktia hai aur ap ka paisa mahfuz bee hai.
Crypto mai profit ratio ziada hai laikin ab is mai risk factor bee ziada hai aur is waja sai gold mai jana ya property mai jana aik acha decision hai currently stocks crash ker rahi hai due to AI hype laikin phir bee kuch aisee companies hai jin mai investment kerna kabi bee nuqsaan ka bais nahi hota is kai baad kuch aur cheezai bee hai jo investment kai liai achi hai aur in mai invest kerna kabi bee nuqsaan ka bais nahi banta.
Gold, Tesla aur SPCX ki bajai agar ham Gold Nvidia aur property with Bitcoin rakhai to yai aik best combo hai.