G shukar Alhumdulilah main bhi theek thaak hoon.
G g main eshe case ki baat kar rha hoon. Bro ya bohat hi bhara jhatka hai kisi bhi country ke liya like the majority of the people lost their savings in no time. By the way, main ny apke share kiya howay BBC ke article par sarsari si nazar maari hai; main ya dekny ki koshish kar rha tha ke jo paisa scammed howa hai wo asal main kitna tha in USD. Kam az kam billions mai to hoga hi. Well, I don't know ke ya country well-developed tha ke nhi laikn ya wala scandle kafi khatarnaak tha. Now I don't know abhi wahan ke halaat ksy hain.
Jis level ka scam kiya geya hai, is se country ki economy par kafi asar pada hoga, jiski waja sy rate of poverty bhi increase howa hoga aur inflation alag sy bhar gyee hogi. Jo ke ek country ke liya bohat bhara damage hai. Hopefully ya damag recover ho jaye. Aise hi abhi Pakistan main bhi government ki taraf se high alert jari kiya geya hai ke apni banks app ko safe rakhain as AI ka daur hai, kuch bhi ho sakta hai. Allah Pak Mulk-e-Pakistan ko apni hifaz o Eman main rakhy. Ameen.
Paraguay jo hai aik developing country hai jaisa kai Pakistan hai is tarah kai waqiat bohut aam hotai hai mostly developing countries mai kiunkai qanun itna taqatwar nahi hota kai kuch bahter ker sakai jis ki waja sai powerful log jab chahai kuch bee ker saktai hai in ko puchnai wala koi nahi hota aap BBC ka reference dai rahai hai sirf is waqiai kai liai agar aap Pakistan mai kissi bee newspaper ki history check karai to aap ko pata chal jai ga yaha kitnai huwai hai aur kis kis nai kitna kamaya hai ab sab safaid topia pahan ker naik ho chukai hai.
Rule of law or merit issi liai zaruri samaja jata hai takkai logo ko pata chalai kaisai rahna hai aur kis tarah cheezai manage kerni hai laikin yaha per aisa kuch bee nahi hai jis ki lathi us ki bhanse ka qanun hai jo kai sab kuch kha jata hai. Allah tallah ham sab kai haal per raham karai.