...
NVIDIA koe chote company nhi aur ya boht he sensitive qism ke devices bnate hy. Ma nhi manta ka aise company jo America ka lea boht ahm ho uska CEO ko Chinese jasoos itne asane sa phansa ly.
Haha, kasa rha mera andaza phir, mai apko pehly bataya ya sab daramy baziyoo chal rhi hain, haha. Chalo khair, abhi ki baat karty hain, ya bohat bareek point hai, agar aap note karain jab sy trump president bana hai tab ny koi na koi drama chal rha hai, kabhi tariff war, kabhi Iran war, kabhi oil supply door close, kabhi China ke sath direct tariff war, aur abhi ya Nvidia wala drama.
aur ab ap sab ke sab mamlat ko dobara repeat kar ke dekhain sab ke sab short time fram ke liya chalai gyee thy taa ke ya log market mai paisa bana sakain aur trump wo banda hai jab har banda paisa lose kar rha tha ya paisa bana rha tha market ko manipulat karty howay. Aur jab sy ya presidnet bana hai, is ki net worth 3 times ho gyee hain, jo ke kafi surprsing baat hai. Well, rather than trading, I think holding zayda behtr hai is tamam cases ho madh e nazar rahty howay. Kiya kehty ho aap?