Ab tu Binance ne be keh dia hai they monitoring the situation... means wakai dal main kuch kala aagia hai
https://twitter.com/BinancePk/status/1658871362705031168?s=20---------
Mai me be abi abi news dailki aur preshan ho geya ke akhir kia bane ga es mulk ka. Yahan per Anne se pehle Mai me ne Waqar zaka ki video's dayki tu os ma wwo apni koshish ke bare ma Bata rahe te ke Pakistan ma crypto legalize karne me ma ne kia kia keya os time Fawad chuhdry IT minister te os ne case kia court ma aur Jeet geya pir os ne kaha ke Pakistan ma crypto legal kar deya , Abi take tu ma Buhat Khush ta per news pharne ke bad pir se khfa ho geya ke paata nahe ab crypto seekni chahye ya pir nahe?
Ye govt ne pure nezam ko ulat pulat kia aur abi crypto ko pir se ban kar deya aur Jo aysa kare wo punishment ka haqdar Hoga , Abi muje ye samj ma nahe araha ke puri Dunia crypto ma involve hai wahn per legal ha aur wo hum se zyada developed hai tu pir Pakistan ma aysaa ki hai Jo crypto ko legal Karne se khrab ho Raha hai?
Jee yehi masla hia hakomat chahe noon league ki ho ya PTI ki ya PPP ya fauj awam k liye kam koi nahi karta.... aisa koi bhi kaam jiss main awam koi koi faida ho us to foran action le k band kar dia jata...
jo asal masale hian wahan kaam hota nahi ab gario pe own daina ka rawaj Pakistan k elawa kahin nahi aur sab ko pata hia ye mafia kon magar iss tarf aaj tak kisi ne kaam nahi kia.
---------
Pakistan ma koe crypto exchange kaam kr rhe hy? Mera nhi khahal koe crypto exchange Pakistan ma hy. Han bahir ke exchanges jaisa ky Binance ko use krna py pabandi lagyi ja saqti hy.
Bitcoin decentralized form ma koe bhe government ban nahi kr saqti. Government ka control crypto to fiat conversion py ja ky lagta hy. Ya phr centralized exchanges py. Wo to suna ho ga sub na, "not your keys not your coins". Sub log apni crypto apna wallets ma rakhan na ka exchanges py. Is sa apka grip rehya ge apni crypto py.
Officially tu nahi na magar binance baqaida tor pe kam kar raha aur Pakistanio ko support bhi karta ab ye oper wali tweet se pata chalata wo iss news pe nazar rakhay hoey hian.
Apno se tu ye Chinese (CZ) he changay tu kam az kam hosala tu de raha hian k bhai fikar nah karo ap k funds safe hain
---------
I think ais bar kuch zada actions lein gay yeh log. Agar aun ko time mila tu i think they will try to ban the exchanges and app like trust wallet ,metamask.
Jaisay phechlay dino facebook, twitter ban tha ya aus c phely PUBG wageria ban thi, tu yeh log ab crypto sites / app ban kr dein gay.
Zada hua tu shaid crack down bhi shorow ker dein with P2P exchangers wageria. Kuch kah ni saktay ais PDM hakumat ko.
Kuch log kah rahay that k P2P market place p USDT ka rate gira hy ais news c. Miene abhi hec kia, 300 Rs ka rate chal raha hy. Kia ais c phelay rate zada tha
Pata nahi but you right kion k lag raha hia k in mood kuch zaida serious hai i mean pehle ban ban ka keh k practically kuch karte nahi the bus wohi 2 3 jo FIA mostly scammers ko he pakra tha...
likan iss bar lag raha waki kuch karne ja raha hian... but wohi bat hia for example mere apna paisa hia aur main khud apni marzi se bitcoin buy kar raha hon... nah kisi se scam kar raha hon nah kisi se scam ho raha hon... phir iss main kia mere khilaf bhi action hoga? koi clear criteria hona chahiye... but hamarya mulk main aisa ho phir ham America nah ban jain
--------------
Es mai hamara state bank important role play kar rha hai q k sab se ziada nuqsan crypto ki soorat mai bank ka hona hai jo roz roz ameer tar hothe jaa rahe hai es soodi nezam se. Crypto mai log invest karege tho zaahir hai k na tho bank se loan lege aur na wo bank mai paise rakhe ge jis ka asar enho ne en 2 saali mai kami ki soorat ma dikh leya hoga aur crypto ma kaafi log paisa daal rahe hai. Mai ne news pari jia ma wo keh rahe k ham ws leye esko banned kar rahe k ue fraud hai. Aik important waja ye bii hai k hanare Pakistani aksar un projects ma invest karte hai jo k belkul hee 2 number ho aur waqti taur par sirf chand week investment ma apko interest de de aur invite par acha reward de. bas per log dhara dhar paise baghair research k start karte hai aur chand months bad project k bhag jaane k bad sirf rothe ha
I don't think state bank ko ham induvial users ki koi fikar hai ya hamaray 2 4 5 ya 10 lac se inhin koi bara faida hota hia... actually ye tu big fishes ko he target kar rahe hian... aur Pakistan main ban karne se kia hoga? jin k pass lakhon main USD hain agar us ne crypto main invest krna hia tu Pak main baith k thori karay ga us k pass kai option bhi open hon gi..
iss ban se nuksan ham jese chote users ko he hoga.... aur ham tu baqol IK k "cuntiyan" hian na
....
(han wo bhi hian jo ap samaj rahay hian)