Is waqat peoples party kafi kamzor hai per wo game ach khail laitai hai magar wo sindgh kai mamlai mai galti ker rahai hai matlab agar waha 2 sai 3 provinces ban jatai hai in ka koi nuqsaan nahi per in logo nai is ko ego ma masla bana lia hai jo kai in kai haq mai nahi jai ga dosri taraf ab Bilawal bee Imran Khan kai haq mai bol raha hai matlab double game ho rahi hai.
Well Mai smajta Hu People party itne ahmaq nahi ho skate ky inko soobky banny pa koi nuksan na ho aur waisy just ego ka masla bana ky establishment ky Sath Takkar Lai, definitely woh kamzoor hongy waha tabhi unko dar ha aur yeh bayanaat usse ke akasi karta ha. Different news channel pa daikh raha ta ky Punjab aur even KP ky muqably Sindh Mai taleem sy door bachoo ke tadaad zyada ha aur Sath Sath compared to both province Sindh ka growth bhi Kam ha, like Punjab toh choro KP toh terrorism sy barbaad ha aur usky comparison Mai bhi jab results na ho sindh kai toh it's clear Indication waha kaam nahi ho Raha just
Butto ky name pa vote Lai rahy ha.
Ik video viral daikhe Hoge ky waha ky senator rasty Mai ik 100watt light Laga ky uska iftitah kar rahy ha like seriously aur jia butto ky nary lag raha ha do it's clear woh waha nakaam howy ha aur ab establishment ke toopy apni taraf aaty daikh ky woh PTI aur Imran Khan ky Sath add hoky unke daal Mai Pana Lai rahy ha. Warna woh kabhi bhi Khan ky hami nahi hoskty.
@zainbhai is waqat is mulak mai jo kuch ho raha hai aap ko bee pata hai aur mujai bee Peoples Party completely hatam ho chuki hai zinda hai sirf andron Sindh mai kiunkai waha in ka control hai dako aur badmash sab in kai hia Zardari nai is ko is tarah hatam kia hai jaisa haq banta hai issi liai yai aur provinces kai helaf hai in ka control kamzor ho jai ga aur yai log waha per kissi aur ko gusnai bee nahi dair rahai issi sai pata chalta hai yai kia ker rahai hai.
Baki ab establishment ko bee paseena aa raha hai kiunkai sab kuch in kai control sai bahir ho raha hai aur yai log is waqat bohut hee kamzor hai idhar Maryam aur chacho ki larai shuru ho gai hai jis sai Qaf league ka bee dancha phr sai zinda ho sakta hai aglai kuch din bohut hee aham hai Allah sab per raham karai aur is mulak kai liai bee bahter karai.