Bohat Khamosh Haqiqat......
100% Right 👍👍👍👍👍
Brother, Yeh ek karwa sach ha jis hamari quom ko samjhna ha ap scientific facts ko adopt krny ker k hee apni her kism ki mushkilat pa kaboo pa sakty han. Duniya ki jitni tarakki yafta quomein han uno ne natural resources ko use ker k hee tarakki manzeon ko choa. nature ne hamein zaqmee, pani, soraj ki roshni or hawa dee ha or hum esko use ker k energy produce ker sakty han pani ka dams bna ker agriculture ko develop ker sakty han, wind mills laga ker electricty produce ker sakty ha. China ne eni qudrat ki nimaton ko use ker apni ghurbat ko khatam kia ha hum bi aisa ker sakty han agr hamein koi visionary leader milay.
G bilkul darusta farmaya ap ny. Ap hm dekhen to ek mohtat andazy ky mutabiq hmara ye barshi pani kul mila ky 80% zaya ho jata hai.
Ham sirf ye dekh rahy hen ky selab aya or tabahi mchai kabhi ye nai socha ky akhir ye sara pani jata kahan hai. Ravi Satluj Cinab Jehlum in sab kaa pani jaa ky Sind sy milta hai to phr kahan jata hai. Sara Samundar my bekar jata hai.
Yani 80% zaya. Or agar is ko istmal kiya jaye to selab sy b bacha jaa sakta hai or pani karamad bhi ho skta hai.
Lekn qom ka kaya karen zameer marra huwa hai. Ye qom metro buss and train par kharbon lagta dekh kar khush hoti hai. Par har saal arbon ka nuqsan bardasht kar leti hai.
Lekn kabhi bhi demand nai kary gi. Ky Dam bnaya jaye. Han sab mil ky zor dalen ehtjaj apny leader ky liye kar ly gi apny haq ky liye nai kary gi. Leader bhi kaya? Aaty hen apna matlab pura kar ky side ho jaty hen.
It’s so unfortunate that we don’t have any major development in last 40 years. Let it be dam or any other project also let say we couldn’t build dam how about other options? Solar or Wind?
After all dam might not be a “quick” solution to all of our problems
https://youtu.be/GajhYkqVA3IAp ki or in hazrat jin ki ap ny video bheji dono sy zara sa ikhtlaf hai mujhy.
Dekhen ji Dam ka asal mqsad hi pani ko store karna hota hai. Bijli to ek bahana ban gaya hai bnany ka.
Or Flood rokty bhi Dam hi hen.
Ab zara in hazrat ny farmaya ky agar ky pani agar zyada ho jaye Dam ki Capacity sy to kaya hoga.?
To iska hal ye hai ky Dam bnany ki management ki jaye. Matlab kesy?
Yani jis traf sy Flood ata to pehly barra Dam bnaya jaye phr us ky bad munasib waqfy par agla Dam ho. Or us ky aagy phr choti capacity kaa Dam ho. Or har saal aany waly Flood ki maximum value ky mutabiq hi Dam ko tameer kiya jaye.
Or Number 2 par hazrat ny bat ki. Ky pani roka jaye or chora jaye to zyada nuqsan hota hai. To in ko zara ye bhi btaen ky wahan pani ko chorny ka scale hota hai ky kitna pani chora jayee.
Number 3 Hazrat ny farmaya ky Silt bhar jati hai. To silt ko nikalny ki management ki jaye. Or ye ki bhi jaa sakti hai. Silt jama hona fitrti bat hai par masnui tariqy sy nikali jaa skti hai.
Bohat sy tariqy hen jis sy silt ko jama hony sy roka jaa sakta hai bass management ki zarurat hai.
Number 4 ye haqiqat hai ky solar system sy bijli sasty tariqy sy bnai jaa sakti hai.
Par yahan maqsad bijli bnana nai hai. Yahan maqsad Flood sy bachna hai. Jiss ka hmen har saal bohat nuqsan hota hai.
Or Flood sy bachny kaa filhal hal Dam hi hen. Bijli to ek izafi faida hai.
Sirf hazrat ny btaya ky ye ho skta hai. Par inhon ny hall bhi to nai btaya. Dam ky ilawa koi hall hai to wo bhi pesh karen.
Lamha fikrya yeh hai ky hmari awam har saal Flood sy nuqsan uthati hai. Yani sindh ky log. Par Dam nai banny dena.Kala bagh Dam bana parra hai par us ko chalny nai diya jaa raha..
Bass Allah hi reham karry. Allah sab ko apny hifzo aman my rakhy.