Bitcoin Forum
November 22, 2026, 09:12:50 AM *
News: Latest Bitcoin Core release: 32.1 [Torrent]
 
   Home   Help Search Login Register More  
Pages: « 1 ... 1742 1743 1744 1745 1746 1747 1748 1749 1750 1751 1752 1753 1754 1755 1756 1757 1758 1759 1760 1761 1762 1763 1764 1765 1766 1767 1768 1769 1770 1771 1772 1773 1774 1775 1776 1777 1778 1779 1780 1781 1782 1783 1784 1785 1786 1787 1788 1789 1790 1791 [1792]
  Print  
Author Topic: Pakistan  (Read 7329723 times)
JunaidAzizi
Hero Member
*****
Offline

Activity: 1428
Merit: 669

View Profile WWW
November 20, 2026, 06:46:40 PM
 #35821

Bilkul Sahi kaha zardari khud bhi daku ta aur Sindh Mai MPA bhi aisy select Kiya Jo sab ky sab chowdary aur wadairy ty jinky dar sy log waha pa inky ilawa kesi ko vote nahi daity, aur yahe reason ha ky dar ke wajah Sy waha itny bury halaat hony ky bawajood koi complain nahi kar rahy ha Kyu ky they know ky kaam hony wala nahi but inka hashr moot hoga. Abhi like woh videos daikhe jaha pa road ky beech lamby ha like agr kaam kar bhi Lai main city Mai toh woh bhi nikamoo ke Tarah aur gawo dihat Mai toh choro waha toh sab 1900 ka chal Raha.

Well establishment gussa ha ky itna sab Kuch provide Kiya free ky seats diya khud ik bhi earn nahi Kiya aur progress zero, aur bilkul Maryam sahiba AJ tak nazim ke seat nahi jeete koi aur direct CM bane aur ab PM baany ka sooch Rahe ha toh phir definitely party Mai cheezy out of control Hoge and then establishment ko phir PTI ko revive karna hoga.
And unfortunately such people rule on us  Lips sealed , Pakistan ma jo banda jetna bara daku hoga unphar jahil hoga wo ut i taraqi karega q ke establishment ko ayse he donkey log chahye jo yes sir no sir kahe agr koi aysa banda ajaye jo khud se sochta ho tu wo unke leye kbtra ha , Bacha khan ko Quaid e azam ko daik lo Imran khan ko daik lo ye sub se prominent leader ha es ke elawa aur be daik lo jaise akbar bugti ye sub ayse log ha jo khud se sochte te apne awam ke leye fikar kar rahe te per establishment ne enka kia keya sub ke sub ko zalil keia loi margrya tu kesi ko jailo ma dala geya aur unke khelaf kia kia propaganda keia , ye mulk bs Allah ke karam se chal raha nahe tu yahan ke leaders sub donkey's ha.

MusaPk
Hero Member
*****
Offline

Activity: 1512
Merit: 500

View Profile WWW
November 20, 2026, 08:07:20 PM
 #35822

G main ny bhi ya news read ki hain ke Nvdia ke jo former CEO thy wo wapis anay par raza mun hain laikn board ke jo majority members hain wo nhi chaa rhy ke ya wapis ayee. Ap heraan hoongy, bari bari companies ny petiton file ki hai ke yahee as Nvidia CEO wapis ayee aur signature ki total tadat 200k exceed kar chuki hai.

jo ke bohat bhari baat hai. Lekin board ke members ke pass power hai aur unki raza mandi zaroori hai is ki wapsi ke liya.
Is ki kafi logon ka support hai, like Elon Musk, president trump laikn wo just eski favor main support kar skty hain, laikn a i guess onke pass ya wali power nhi hai jo company board hold karti hai. Well, case kafi controversial ho geya hai; dekho kya banta hai.

Mamla dil ka hy oper sa rola bun gya hy ka Jensen Huang na jis hasina ko apna dil dy dea tha un ka barya ma kaha ja rha hy ka wo Chinese jasoos hn. Ab is kadsha ka izhar bhe kea ja rha hy ka China ka pass ab Nvidia ke hasas information ponch gai hn jo ka AI related chips bnana ma China ke madad kr saqte hn. Is masla ke wajha sa Nvidia ka apna stock bhe kafi down ho gya hy aur saath ma Bitcoin bhe rul rha hy. Dono ka dekhna ho ga ka agya kya bnta hy, dono he necha ja rhya hn aur dono ke ashd zarorat hy kise support ke. 

Emitdama
Sr. Member
****
Offline

Activity: 2506
Merit: 387

View Profile
November 20, 2026, 08:08:31 PM
 #35823

Bilkul Sahi kaha zardari khud bhi daku ta aur Sindh Mai MPA bhi aisy select Kiya Jo sab ky sab chowdary aur wadairy ty jinky dar sy log waha pa inky ilawa kesi ko vote nahi daity, aur yahe reason ha ky dar ke wajah Sy waha itny bury halaat hony ky bawajood koi complain nahi kar rahy ha Kyu ky they know ky kaam hony wala nahi but inka hashr moot hoga. Abhi like woh videos daikhe jaha pa road ky beech lamby ha like agr kaam kar bhi Lai main city Mai toh woh bhi nikamoo ke Tarah aur gawo dihat Mai toh choro waha toh sab 1900 ka chal Raha.

Well establishment gussa ha ky itna sab Kuch provide Kiya free ky seats diya khud ik bhi earn nahi Kiya aur progress zero, aur bilkul Maryam sahiba AJ tak nazim ke seat nahi jeete koi aur direct CM bane aur ab PM baany ka sooch Rahe ha toh phir definitely party Mai cheezy out of control Hoge and then establishment ko phir PTI ko revive karna hoga.
Or agar muj sy puchen to main Kahin gaa. Hamary provinces main sy sab sy Bura Haal Sindh kaa hai. Main ny visit Kiya huwa hai. Like main ny daikha hai wahan ky log abhi Bhi jhugyon main rehty Yani wo tant wagera lag Kar apna guzar basar Kar rahy hain. Jo apny villages ki BAAT ki hai ye uss kaa Haal bata Raha Hun. Iss ky ilawan paani kaa nizam bohat ganda. Shehron ki gandgi kaa Bura haal. Qul Mila Kar sab sy zyada Bura Haal hai. Like Balochistan to west hi pasmanda ilaqa hai. Uss KO baqi provinces ky sath compare Nahi Kar sakty taraqi ky lihaz sy awwal to Balochistan par Bhi Puri Tarah nazar rakhni chahye lekin ESA Nahi Hai. Lekin agar Sindh ho dekhen to baqi provinces sy iss Ka compare Karen to sab sy badtar is kaa Haal hai.
Mai aap ki is baat sai ittifaq kerta hu kiunkai mai bee 15 saal pahlai andron Sindh gia tha aur mujai laga mai kareeban 100 peechai chala gia hai waha per kuch bee nahi tha bas aik cheez thee sab sai achi Bhutto zinda tha kiunkai is ko zinda rakhnai kai liai Sindh ka is haal mai rahna zaruri hai agar jis din Bhutto mar gia pakka Sindh taraigee karai ga aur sab sai agai chala jai ga kiunkai waha potential bohut ziada hai laikin waha jo system hai wo kabi bee aisa nahi hai jo awam kai liai faida mund ho.

Bhutto kai baad ab Zardari chimat gia hai wo to bohut hee zalam hai is ki bahano nai jo kuch kia ha jald hee awam kai samnai aai ga to awam yaqeen karo in ko qabro sai nikal ker sumandar mai daal dai gai laikin phir wohi aik baat yaha zinda rahna asan nahi wo bee establishment kai bagair aur wo sirf corrupt logo kao sath rakhtai hai aur kissi be nahi.

Balochistan jo hai wo bee same issi level per aur dono subai jo hai control ho rahai hai sardaro sai aur kuch nahi.

bitwalhr
Member
**
Offline

Activity: 160
Merit: 31

View Profile
November 20, 2026, 08:15:49 PM
 #35824

Kuch mix se news a rhe hn Jensen Huang sa related. Ya bhe news a rhe hn ka Jensen Huang na willingness show ke hy ka wo Nvidia ka CEO ke post pr wapis ana pr razamand hn to dosre trf Nvidia ka board of governors na is baat ke tardeed ke hy ka company Jensen Huang ko as a CEO wapis la rhya hn. Dekhta hn ka ount kis karvat bethta hy. Mera to yahe khayal hy ka Nvidia ka crisis ka Bitcoin sa zayda taluq nhi hy. Waisa bhe jb Bitcoin ke price necha jate hy to jo event bhe ho rha ho usko Bitcoin ke price sa jor dea jata hy. Mera khayal hy ab kuch arsa tk price zara down he rhya ge, to thora break lena chahya market sa.     
G main ny bhi ya news read ki hain ke Nvdia ke jo former CEO thy wo wapis anay par raza mun hain laikn board ke jo majority members hain wo nhi chaa rhy ke ya wapis ayee. Ap heraan hoongy, bari bari companies ny petiton file ki hai ke yahee as Nvidia CEO wapis ayee aur signature ki total tadat 200k exceed kar chuki hai.

jo ke bohat bhari baat hai. Lekin board ke members ke pass power hai aur unki raza mandi zaroori hai is ki wapsi ke liya.
Is ki kafi logon ka support hai, like Elon Musk, president trump laikn wo just eski favor main support kar skty hain, laikn a i guess onke pass ya wali power nhi hai jo company board hold karti hai. Well, case kafi controversial ho geya hai; dekho kya banta hai.
Bhai ab yai na mumkinaat kai qareeb hai kai American authorities former CEO ko wapis anai dai kiunkai ab yai jo aglai larai hai is mai Nvidia kai role aham hai aur is kai liai ab wo Jensen Huang per kissi bee sorat barosa nahi ker saktai is nai 33 saalo mai kia sai kia ker dia ab jo nai CEO Colette Kress is ko waha per sab sai ziada support Israeli lobby ker rahi hai wo bee aik experienced executive hai aur kafi achai sai sab kuch handle ker sakti hai.

Nvidia financially bohut hee solid hai jis ki waja sai ab wo kuch bee ker saktai hai in ko nai CEO kai sath kafi had tak positive response milai ga jo kai company ki earning bee increase karai ga AI ka future uncertain hai per still bohut sari cheezai aisee hai jo in ko top per rakhai gee is change nai dunya ko bohut hee ziada hela dia hai per umeed hai ab kuch bahtry aai gee.
General_Bitcoin
Full Member
***
Offline

Activity: 516
Merit: 108

★Bitvest.io★ Play Plinko or Invest!

View Profile
November 21, 2026, 02:37:21 AM
 #35825

Mai aap ki is baat sai ittifaq kerta hu kiunkai mai bee 15 saal pahlai andron Sindh gia tha aur mujai laga mai kareeban 100 peechai chala gia hai waha per kuch bee nahi tha bas aik cheez thee sab sai achi Bhutto zinda tha kiunkai is ko zinda rakhnai kai liai Sindh ka is haal mai rahna zaruri hai agar jis din Bhutto mar gia pakka Sindh taraigee karai ga aur sab sai agai chala jai ga kiunkai waha potential bohut ziada hai laikin waha jo system hai wo kabi bee aisa nahi hai jo awam kai liai faida mund ho.

Bhutto kai baad ab Zardari chimat gia hai wo to bohut hee zalam hai is ki bahano nai jo kuch kia ha jald hee awam kai samnai aai ga to awam yaqeen karo in ko qabro sai nikal ker sumandar mai daal dai gai laikin phir wohi aik baat yaha zinda rahna asan nahi wo bee establishment kai bagair aur wo sirf corrupt logo kao sath rakhtai hai aur kissi be nahi.

Balochistan jo hai wo bee same issi level per aur dono subai jo hai control ho rahai hai sardaro sai aur kuch nahi.
Yehi masla hai. Or main issue hi ye hai ky wahan ky logon KO zehni tor par itna torcher Kiya jata hai ky wo khud KO wesy hi haqeer samjna shuru Kar dety hen. Like in all over the Pakistan my dekh len. Ab Jo marzi hota rahy hukumat Jo marzi karti rahy lekin ye Yani awam ye keh Kar khamosh ho Jaye gi ky aakhir ham Kar hi Kaya sakty hen. Issi liye to wo siyasat waly ham par raj karty hen or ham un KO apni mehnat ki kamai khilaty hen taxes ki Surat main. Bass issi Tarah wahan kaa Bhi hisaab hai. Wahan ky log zehni torcher seh seh Kar ussi KO apni life bana Bethy hen. Or khud ky haqq ky liye Nahi bolty.

Misbah2002
Member
**
Offline

Activity: 147
Merit: 17

View Profile
November 21, 2026, 09:51:09 AM
 #35826

Exactly mein bhe yahi notice kr rha hoon. Qk muslim league walo k par todhy ziada nikal aaye hy aur ab inko lagam dhaalna parhay ga even Pti ki shuruwat bhe isi tarha huwe thi khair shuruwat toh 1996 mein huwe thi but jb hype bana tb ki bt krrha hoon  back in 2008 jb zardari aur muslim league walaymill kar establishment ki chutti krwanay ka plan krrhe thy tb khan sb enter huwe market mein . Anyways abhi bilawal bhe pti k favor mein boll rha hy lekn yeh politicians srf apnay mafaad ki zuban bolty hyy inko smjhna boht mushkil hy wo kehty hy na k agar siyasatdaan aik dam sedha hojaye toh jalebi ki tarha hoga.
Ab establishment in sy bezaar ho chuki hy. Jo ky saaf nazar araha hy. Or ye establishment kaa bhi husn hy. Ky wo zyada der kissi ko tikny nahi dety. Taa ky ye ham par hi naa uchlny lag jaen or ye shuru sy hi hota aya hy. Ap jitny marzi boot polish kar len akhir ap ko jana hi hy. Hahaha.

Or Maryam kaa to jahaz bhi chala gaya. Wo my post parh raha tha. Pehly Jahaz diya... Phr jahaz my li... Phr jahaz wapis ly liya.... Hahaha. Ab bass kam pura ho gaya hy. Ab dekho kiss lo aagy laaty hen. In ka to nazar nai araha hy kuch bhi. Because shikanja full sakht ho raha hy in ky khilaaf yaani Muslim League N ky khilaf.
Bhai establishment in sai bezaar nahi hai in ka kaam nikal gia hai ab wo change chahtai hai yai log bilkul hee nalaiq hai kuch bee improvement nahi la sakai jis ki waja sai logo kai dillo mai establishment kai lia nafrat ziada ho gai hai jabkai Imran Khan maan nahi raha hai yai bee in ko bohut bari tension hai agar wo maan jai to in ka sab masla hal jo jai aur yai sab fariq ho jai laikin deadlock hatam hee nahi ho raha.

Maryam ab prime minister bananai kai hawab daikh rahi hai jabkai wo chief minister ka bee material nahi hai to ab daikhi nai log kon atai hai aur kis tarah ham per masalat hotai hai kiunkai ab kuch change ki bee zarurat hai jo badalti dunya kai sath chal ker Pakistan mai bee much bahtry la saksai jo kai asan nahi hai is kisam kai halat mai.
Pakistani Shaheen
Jr. Member
*
Offline

Activity: 42
Merit: 5

View Profile
November 21, 2026, 11:36:35 AM
 #35827

Market ke halaat kaafi bearish hain, or yeh huwa he kuch factors ke pile hone ke wajah saii. Sab se pehle too ham dekh len ke market ke kya halaat hain abhi. Mere post likhte waqt BTC ke price $60,1XX hain or interesting baat karun to BTC ke history me 2nd time hai ke 7 consecutive weekly candles red ja rhi hon. Agar is week ki closing red ho jaey to it will be 7th

Abhi price ek significant level par trade kar rahi hai, or is level se boht dafa ye dobara ooper gayi hai and last time is ko thora saa slice kiya gaya thaa or liquidity grab karne ke baad upwards shoot howa thaa so we can expect the same with the upcoming week. There is a high chance ke aney wala week green ho.

To is ke reasons ke baat karen so as we know ke 8-9 December ko FOMC ke decisions hain and is dafa insider info hai ke interest rates increase kiye jaengy sath sath Bank of Japan bhi rates increase kar rahi hai too we know ke jab interest rates increase hone lagtey hain to log risky assets se nikalne ke koshish karte hain. Baqi wall street bhi BTC ETFs ke selling kar raha hai jis se logon me uncertainty a rahi hai and woh fearful hoke sell kar rahy hain. Ek do oor bhi events hain magar mere khyaal se ye events major hain. Baqi we can expect next week to be green based on a pattern. But as always DYOR!

7 weeks ki ye red candles waqy hi my unusual saa hy. Lekin yahan main ye kahun gaa ky history ki waja sy ham ye nahi keh sakty ky next week green jaye ga. Or agar bilfarz green candle aa bhi jati hy to ye nahi kaha jaa sakta ky trend reverse ho jaye ga. Han iss ko ap temporary relief zaroor keh sakty hen. Or abhi filhaal yehi keh sakty hen ky ETF outflow or major uncertainty ki waja sy market ka kuch pata nahi ky ye kis taraf ko move kar jaye gi? Or agar muj sy puchen to my ye kahun ga ky trend reversal kaa wait karna chahye naa ky only one week green kaa wait. Agar trend reversal hota hy to phir entery li jaa sakti hy.
Multani Boy
Jr. Member
*
Offline

Activity: 56
Merit: 60

View Profile WWW
November 21, 2026, 02:24:29 PM
 #35828

Market Update

Abhi filhaal market ki baat karen to abhi immediate support jo nazar arahi hy wo 61000 or 61500 tak nazar arahi hy. Or Major Support iss waqt 57000 sy 58000 hy. Jo ky 52 weeks low bhi hy. Ir agar resistance ki baat karen to immediate level my 62500 or 63000 nazar araha hy. Or higher resistance dekhi jaye to 65000 sy 67000 nazar araha hy.

Price abhi dekha jaye to lower highs bana rahi hy. 63000 ko reclaim karny ki Koshish ki lekin wo nai ho paya. RSI dekhen to abhi bhi oversold hi hy or sath my trend abhi bhi down hi nazar araha hy. Or index abhi bhi Extreme fear my hy. So ap sab ko kaya lagta hy. Kuch thori bohat recovery ho gi yaa still down aany ky hi chances hen?

Market kaa to biii bura haal hi ho gaya hai. Me itna bura bhi expect nahi kar raha tha. Lekin still abhi bhi yehi lagta he ky new bottom ban'ny wala he again. Kaya ap logon ny the Economist ka new future prediction par jo photo share huwi kaya ap sab ny dekhi wo?

Ye he wo photo. Wesy to me iss par believe nahi karta lekin kehty hen last time iss ki bohat si baaten durust sabit huwi thi. Is ko decode kar ky samjny my lagy huwy sab. Or jo iss photo sy samaj araha he. Ky 2027 bohat bura hony wala he. Agar ye sach ho jata he to. To markets kaa or bhi zyada bura haal hony wala he. Or sunany me aya he ky Trump kaa akhri saal he or ye wo sab kary gaa jo ye nahi kar paya tha.
qurbanshah02
Hero Member
*****
Offline

Activity: 812
Merit: 623

View Profile WWW
November 21, 2026, 02:44:12 PM
 #35829

Me bi yahi samjta Tha ky Bitcoin 60k$ se Ni by nai ja sakta Tha Magar rat me ny Deka Bitcoin 58k$ se Nichy bi Chaly Gia Tha Jo ky mery lye bohat hi Zada shocking Cheez Thi. Bhai Abhi Bitcoin ky liye price Abhi stable hona zaroori ha agar ye Cheez na ho hui to bottom ka Bana bi mushkil ho Jaye ga. Abhi to Bitcoin Ki price or Zada dump effect KR sakta ha.

Bhai me to kud Ni janta Magar muje bi ASA hi lagta ha ky 2027 kafi tahabi ban sakta ha agar to trump pir se president ban Jata ha to ye Zada tabahi ho Sakti ha q ky Iran KY pass time kafi short ha q ky uny nuclear power Bana ha is se America Ki takat kafi Kam ho Jaye gi or agar next sal bi Iran nuclear power na bana to masly kafi Zada ho sakty ha or ye elements per kafi asar pary ga. Agar 50k$ se Nichy Bitcoin Chaly Gia to market kadi Zada dump ho Jaye gi or Jo 50k$ me Jo strong level ha vo bi breakdown ho Jaye ga.

Junii
Full Member
***
Offline

Activity: 392
Merit: 180

Not chasing hype just accumulating freedom

View Profile
November 21, 2026, 03:43:10 PM
 #35830

Ye he wo photo. Wesy to me iss par believe nahi karta lekin kehty hen last time iss ki bohat si baaten durust sabit huwi thi. Is ko decode kar ky samjny my lagy huwy sab. Or jo iss photo sy samaj araha he. Ky 2027 bohat bura hony wala he. Agar ye sach ho jata he to. To markets kaa or bhi zyada bura haal hony wala he. Or sunany me aya he ky Trump kaa akhri saal he or ye wo sab kary gaa jo ye nahi kar paya tha.
Bilkul bhai economist magazine k is photo py mein ny bhe aik article parha. Actually pechlay kaii saalo sy inki predictions sahi arahi hy jaisa k last year inho ny 2026 mein tarrifs ki bt ki thi jo k phir sach huwe. Is k elawa jo trump ka zikr hy is image mein wo toh already US ka law yahi hay k 2 bar sy ziada koi president nahi bnta toh trump toh zaror jaiga lekn  is mein kuch aur chezo ka bhe zikr hy jaisa Europe mein strikes aur bhe barhay gi is k elawa markets aur bhe giray gi and many other different things  toh dekhte hy k is dafa inki predictions kitni sach sabit hoti hy.   

qurbanshah02
Hero Member
*****
Offline

Activity: 812
Merit: 623

View Profile WWW
November 21, 2026, 03:57:07 PM
 #35831

17 years of satoshi

Assalamualaikom !!!
17 years ago today satoshi nakamoto joined the bitcointalk forum as member profile link
Aaj say takreeban 17 saal pehlay 19 November 2009 ko satoshi nay yahaa bitcointalk forum par aapn account registered kiyya. Like aap sochay toh sahii kay kistarah kee planning or vision say yeh bandaa ayaa thaa or iss banday nay aapna account bee aik doosray name say register kiyya hay like iss kee real identity abtak kesee ko bhee nahii pata.
Walaikum Asalam
Kia Hal ha Bhai kesy ha ap.
Bhai mery kayal se kehna Sai ho ga ky us ny Bitcointalk per account registration Kia mery nazdeek ye hona chaiye Tha ky us ny Bitcointalk ko banaya jab ky Apki bat bi bilkul 100 percent thk ha Bitcointalk forum per registration hony se pehly apnia forum ka hisa Ni ban sakty. Bs vo iska founder ha is liye me ny ASA Kaha me Apko Galat bilkul bi Ni keh rha. Baqi iska ye step bohat hi acha Tha or world me Kisi ko bi Ni pata Tha ky ASA aik Banda aye ga Jo ky fourm Bana KR 16 sal ky bad is coin or fourm ko Kis tarah run hota dekaye ga. Me ny in 2 salo me kafi kuch is forum me Deka ha Jo ky theymos ky zariye kafi achy achy step liye gye ha. Mery nazdeek agar theymos rules ko is tarah na banata to shaid forum kahi Hor hota Jo ky up ya down kuch bi Ni Kaha ja data. Magar ab ky halat se Bitcointalk kafi Zada growth me Chaly Gia ha.

HustleZ
Full Member
***
Offline

Activity: 476
Merit: 228

While they gamble, DCA.

View Profile
November 21, 2026, 04:02:08 PM
 #35832

7 weeks ki ye red candles waqy hi my unusual saa hy. Lekin yahan main ye kahun gaa ky history ki waja sy ham ye nahi keh sakty ky next week green jaye ga. Or agar bilfarz green candle aa bhi jati hy to ye nahi kaha jaa sakta ky trend reverse ho jaye ga. Han iss ko ap temporary relief zaroor keh sakty hen. Or abhi filhaal yehi keh sakty hen ky ETF outflow or major uncertainty ki waja sy market ka kuch pata nahi ky ye kis taraf ko move kar jaye gi? Or agar muj sy puchen to my ye kahun ga ky trend reversal kaa wait karna chahye naa ky only one week green kaa wait. Agar trend reversal hota hy to phir entery li jaa sakti hy.
I appreciate your reply,
Atey he mere post ki taraf to mene just apna POV share kiyaa not an Advise!! Yeh baat clear hogyi, acha to is ke baad historical pattern ke baat karen too main yeh kahunga ke you are absolutely correct. Kisi bhi ek historical trend ke based par bilkul entry nahin leni chahiye as history me jo huwa hai yeh zaroori nahin ke ab bhi wahi hogaa, it was just my thinking kyunke Market consistently ek direction me nahin ja skta it needs room to breathe, or ab jab market ne 7 consecutive red candles bana liye hain too it’s time for it to recover a bit or is basis par meraa prediction yahi hogaa ke next week will be green, Higher $50ks ki liquidity bhi grab ho gayi hai market also has found fuel for it and a green candle is almost certain. I can be wrong so DYOR!

██ ████████           R O L L B I T      │      THE #1 SOLANA CASINO           ████████ ██
█████████████████████████████████████████████████████████████████
|    5,000+ GAMES    |    INSTANT WITHDRAWALS    |    HUGE REWARDS   |    VIP PROGRAM   |]www.rollbit.com██ ████████           R O L L B I T      │      THE #1 SOLANA CASINO           ████████ ██
█████████████████████████████████████████████████████████████████
|    5,000+ GAMES    |    INSTANT WITHDRAWALS    |    HUGE REWARDS   |    VIP PROGRAM   |
MusaPk
Hero Member
*****
Offline

Activity: 1512
Merit: 500

View Profile WWW
November 21, 2026, 06:01:40 PM
 #35833

Yehi masla hai. Or main issue hi ye hai ky wahan ky logon KO zehni tor par itna torcher Kiya jata hai ky wo khud KO wesy hi haqeer samjna shuru Kar dety hen. Like in all over the Pakistan my dekh len. Ab Jo marzi hota rahy hukumat Jo marzi karti rahy lekin ye Yani awam ye keh Kar khamosh ho Jaye gi ky aakhir ham Kar hi Kaya sakty hen. Issi liye to wo siyasat waly ham par raj karty hen or ham un KO apni mehnat ki kamai khilaty hen taxes ki Surat main. Bass issi Tarah wahan kaa Bhi hisaab hai. Wahan ky log zehni torcher seh seh Kar ussi KO apni life bana Bethy hen. Or khud ky haqq ky liye Nahi bolty.

Kuch din pehla Mr. Pattlo na Sialkot ma apni Shadi sa related koe function rekha tha, kise bra ground ma aur elan kea ka wahan ana waly shurka ko bikes, mobile phone waghra dea jyn gy. Ap heran ho jyn gy ka awam ka samandr tha wahan. Matlab muft ka motor cycles lena ponch gya pr apna haq lena ka lea nhi niklta. To bus phr agr ap chup kr ka sub bardshat krta rhyn gy to phr jo ho rha hy wo hota rhya ga. Agr apna haq mangna sa na mila to chena parta hy aur uska lea sakhte bhe bardshat krna hote hy. Hum log mehangai, taxes ke sakhte bardshat krna pasand krta hn ise wajha sa mulk ka ya haal hy.

Bityar
Full Member
***
Offline

Activity: 224
Merit: 120

View Profile
November 21, 2026, 07:17:21 PM
 #35834

17th Anniversary of Bitcointalk forum

Assalamualaikom umeed hay aap log kheriat say hongay waisay toh yaha kay time kay mutabik yeh event kal hay lekin pakistan may choonkay 22 nov hochuka hay toh mainay socha yeh share kardoo.

So 22 nov 2009 ko satoshi nakamoto aik bitcoin discussion forum launch kiyya jsko baad may bitcointalk kay naam say yaad kiyya jaraha hay. Satoshi nay 22 November 2009 ko forum kay time kay mutabik 06:04:28 PM par

ka first ever post kiyya and us time bitcoin kee price takreeban $0.0009 thee or 1 dollar ka rate takreeban 1309 btc rakha gaya thaa.

Aik interseting baat yeh thee kay iss forum say pehlay bitcoin ka aik or discussion forum mojood thaa jo source forge par host kiyya gaya thaa kher ab yeh forum bitcointalk 17 saal baad bhee active hay or dunya bhar kay log yahaa bitcoin or cryptocurrency kay mukhtalif topics discuss kartay hay.

Source

▅██████████      Nox Swap    ⬤    Swap crypto Anonymously      ██████████▅
▬▬▬▬▬▬▬▬▬•🔸🪙 500+ Coins🔸•▬▬▬•🔸⚡ Fast Swaps🔸•▬▬▬▬▬▬▬▬▬
▀███████████     PRIVACY FIRST•NO KYC•NO SIGN UP     ███████████▀
Abdul Sami786
Full Member
***
Offline

Activity: 238
Merit: 134

★Bitvest.io★ Play Plinko or Invest!

View Profile
Today at 05:36:33 AM
 #35835

17th Anniversary of Bitcointalk forum

Assalamualaikom umeed hay aap log kheriat say hongay waisay toh yaha kay time kay mutabik yeh event kal hay lekin pakistan may choonkay 22 nov hochuka hay toh mainay socha yeh share kardoo.

So 22 nov 2009 ko satoshi nakamoto aik bitcoin discussion forum launch kiyya jsko baad may bitcointalk kay naam say yaad kiyya jaraha hay. Satoshi nay 22 November 2009 ko forum kay time kay mutabik 06:04:28 PM par

ka first ever post kiyya and us time bitcoin kee price takreeban $0.0009 thee or 1 dollar ka rate takreeban 1309 btc rakha gaya thaa.

Aik interseting baat yeh thee kay iss forum say pehlay bitcoin ka aik or discussion forum mojood thaa jo source forge par host kiyya gaya thaa kher ab yeh forum bitcointalk 17 saal baad bhee active hay or dunya bhar kay log yahaa bitcoin or cryptocurrency kay mukhtalif topics discuss kartay hay.

Source
Walikumaslam shukar ALLAH KA thek AP sunao Bhai AP thek hai Bohat achi information share ki hai Bitcointalk sirf aik discussion forum nahi balkay Bitcoin ki history ka aik important hissa hai Us waqt shayad kisi ne socha b nahi hoga ke Bitcoin or yeh forum itni door tak safar tay karenge $0.0009 ki price se shuru hone wala Bitcoin aaj duniya ki sab se mashhoor cryptocurrencies me shamil hai Sab se interesting bt yeh hai ke 17 saal guzarne ke bawajood yeh forum aaj b active hai Happy 17th Anniversary Bitcointalk

Pages: « 1 ... 1742 1743 1744 1745 1746 1747 1748 1749 1750 1751 1752 1753 1754 1755 1756 1757 1758 1759 1760 1761 1762 1763 1764 1765 1766 1767 1768 1769 1770 1771 1772 1773 1774 1775 1776 1777 1778 1779 1780 1781 1782 1783 1784 1785 1786 1787 1788 1789 1790 1791 [1792]
  Print  
 
Jump to:  

Powered by MySQL Powered by PHP Powered by SMF 1.1.19 | SMF © 2006-2009, Simple Machines Valid XHTML 1.0! Valid CSS!